Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question AoA. Q1. Muje yeh jana hai .agar ham koye wazifa paday ge jo 40 din har nimaz k baad padna hoga aur 40 k doran periods hojaye to ham ksay pad sakte hai kuinki wo har nimaz k baad padna hai jabk ham un dinu nimaz nai pad sakte to wazifa kse pura kar sakte hai plz explan.Q2. Agr koye wazifa 5 nimazu mai padna hai aur ham gar se bahar ya job ki wajah se nimaz zohar aur nimaz asar nai pad sakte to ham un nimazo k wazifa kse pura kar sakte hai.? Kya nimaz eisha k baad kazah nimaz pad k wazifa pad sakte hai meherbani kar k jaldi jawab dai.  
Answer 1)Periods k dinoo mai aurat un abadatoo ko anjam dai sakti hai jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum krna zaroori nhi hai. yani aap in dinoo mai asma e ilahi ka wird kar sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448) note : Periods k doran wazifay par amal kia ja sakta hai. 2)Aisi mulazimat ko ikhtiar karna jis sai namaz mai khalal hota ho to musalman ko chaheay k wo khuda sai daray aur aisi mulazimat ko ikhtiar na karay jis ki khatir deen ka wo ahm farz tark karna parayjo deen ka satoon shumar hota hai aur Allah k is farman Mubarak ko hamesha zehan mai rakhay. Aur jo khuda sai daray ga is k lie nijat ki surat nikal dai ga aur osay wahan sai rizq dai ga jahan sai waham bhi na ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 87 pg # 76-7)Is k alawa wazifay ka waqt hota hai wo bohat ahm hota hai osay osi waqt mai anjam dena hota hai jis waqt kaha gya ho warna o ski ifadiat khatam ho jati hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.