Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question fajar ky azan sun k roza band karne se ,kia roza nahe hota ? jesy ko sehr kar raha ho aur azan ho jae tu kia us ka roza nahe ho ga ? 
Answer 1)Pehli baat to ye zehan mai rakhain k roza rakhnay k lie jo waqt hai wo namaz e fajar ka waqt start honay sai start hota hai azan ka koi aetibar nahi hai q k azan aam tor par waqt par nahi di jati hai wo kuch dair k baad di jati hai. Is lie roza band karnay k lie aap azan ko meyar na banain bal k waqt ko dekh kar roza band karain. Is k alawa ye yaqeen hasil karne k lye k tamam waqt me aap roze se rahain hain zaroori hai k khuch dair waqt fajar se phele aur khuch dair magrib k baad aise kaam karne se perhaiz karain jin se roza batil hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1531 ) 3)Reha aap ka masla to agar ye yaqeen hasil ho jay k waqt namaz fajar k baad khana khaya hai to is roze ki qaza karna zaroori hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, hissa ,roza, sawaal # 6, pg # 19) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.