Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mera yeh sawal hai kay ihtelaam se kisi bhy qism kay maday ya kisi bhy cheez ka koi nuqsaan hota hai ya nai???? aur ghusul kis tarah kia jaiga?? 
Answer Agar ehtilam ho jae to namaz aur is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1) Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 ) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70). Note ehtilaam se nuqsaan hota hai ke nahi is ke liye doctor se mashora karian.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.