Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name shia 
Question asalam-o-alikum, 1.girls k liay kis had tk makeup krna jaiz hai?2.kia pairo (foots) ka chupana zaruri hai ? 3.kia ghusal k liay body ka dry hona zaruri hai ? 4-agar koi girls is trha ka dress pheny jo fit na ho,aur full sleeves ho,sar pay scarf bhei ho tou kia uska parda theek hai?ya parday k liay zaruri hai kay chadar ya abbaya pheni jai?5=parday k liay face ko kis had tk chupana zarurui hai? 
Answer 1) Aurato k lye makeup karna jaiz hai laikin make up karne k baad namehram mard se apna pura chehra chupana wajib hai (ref:nigha o libaas pg: 96)lekin agar makeup bauhat mamoli ho aur zahir na ho to phir makeup karne k baad chehra chupana wajib nahe hai. (Ref:sistani.org,urdu,zinat,que:1) 2) aurat k lye agar use koi namehram mard na dakh raha ho to namaz me use takhno tak pair(foot) chupana wajib nahe hai. laikin namehram mard ki moujoodghi me aurat ko namaz me aur aam halat me apne pairo (foot) ko namehram mard se chupana wajib hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #777,2399 ) 3) ghusal kye wqt badan ka dry hona zarori nahe .((Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 379) 4) aurat k lye zarori hai k wo (chehra aur kalahiyon tak hatho k elawa) sar k baal aur apna badan namehram mard se chupaye or ihtiyat lazim ye hai k apne badan or sar k bal us larke se bhi chupaye jo abhi baligh na ho klekin itna samjhdar ho k ache or bure ko samjhta ho or ehtamal ho k orat k badan pr uski nazar parne se uski jinsi khwahish bedar hojayegi, laikin orat na-mehram mard k samne chehre or kalaiyon tak hath khule rakh sakti hai lekin is surat men k haram men mubtala hone ka khoof ho ya kise mard ko(hath or chehra) dikhana haram me mubtela karne ke irade se ho to in dono suraton men inko chupana wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2399) 5) thori aur is se niche ka wo hissa jo maqna(chadar) pehante waqt mamolan chupaya nahe jata chere me shamil hai aur itne hisse ko chupana wajib nahe hai. laikin kaan ka shumaar chere me nahe hota aur perde me is ka chupana wajib hai. (nigha o libaas. Pg:83)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.