Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question hazrat khadija (R.A) pehli wahi k baad hazoor pak (S.A.W) ko apne kis chacha zad bhai k paas lay gaein? 
Answer Nazool e wahi k silsilay mai hazrat jabriel a.s. ka pehli martaba aana, Hazoor s.a.w.w. par kap-kapi ka tari hona, surah e alaq ki ibtedai ayaat ko 3 bar israr k sath hazoor s.a.w.w. ko parhnay k lie kehna, aur hazoor s.a.w.w. ka itni hi bar “mai parhna parhna nahi janta” kehna, farishtay ka garift mai lai kar dabana, kaptey huay ghar ana, kapra aorhna, Hazrat khadija s.a. ka itminan dilana, apnay chacha zad bhai aur asmani kitab k aalim warqa bin nofal k pas lai jana, warqa ka aap s.a.w.w. ko nabuwat ka yaqeen dilana, aur nauzubillah ye bayan k aap s.a.w.w. apnay aap ko pahar ki choti sai ghira detna chehtay hain, jabriel a.s. k kehnay par ruk jatay hain, khabi nauzubillah nazool e wahi par bhi nabuwat ka yaqeen na ana aur jabriel a.s. ka bar bar yaqeen dilanay par bhi yaqeen na hona laikin warqa bin nofal k kehnay par mukammal aetibar karna, jaisay bayanat musalman k zahan mai uljhan paida kartay hain . aisa mehsoos hota hai k aisi riwayat bayan karnay walay shan e risalat s.a.w.w. hi nahi samajhtay aur is terah ki tareekh aur ahadees ka ikhtilaf aam logo mai hasi ka mauqa farahm karta hai. Laikin haqiqat is sai mukhtalif hai. (Ref : Kitab mohsinan e Islam pg # 38)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.