Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Mera sawal yeh hai k auraton k khas din jo hain un k beqaidge k bare main yeh tu mujh ko maloom hai k agar 10 din se zada khoon aata hai tu hum wodhu kar k namaz or roza rakh sakte hainmere problem yeh hain k mujh ko jab bleeding start hoti hai tu dark brown sa blood aata hai or thore din bilkol her roz halka halka drops hote hain us k baad 6 se 7 din baad fresh blood aata hai or woh phir 10 se 12 din rehta hain main is bare main confuse hoon k mujh ko jab thora blood aata hai tu namaz parhni chahiaa b k nai plz must answer n help me  
Answer ager ap ke haiz ki date or limits fix hain (yani pichle 2 mahine 1st se 7th tak koon e haiz aaya ho to ager is mahine ap ko is terhan koon aae ke wo 10 din se ziyada ho jayae to ap ka fareza hai ke apni haiz ki limits ke mutabiq din ko haiz (masalan 7 din) or baqi dino ko istihaza ke din qaraar dain. ager ap ki haiz ki date fix hai (masalan 1st) or date main khoon aaye ya date or limit (khoon ke aane ke din ki tadaad) dono fix nahi hai (jese kabhi 1st ko or kabhi 5th ko aata hai or is hi terhan kabhi 5 din or kabhi 7 din aata hai) to jis khoon main haiz ki alaamaat hon or ye (alamaat wala koon) 3 din se ziyada or 10 din se kam ho to is alamaat wale khoon ko haiz or dosre ko istihaza qaraar dain. Or ager ap ke koon aane ke din ki limits hain (jese pichle 2 mahine 7 din koon aaya ho) to ager ap ko is mahine khoon aaye or 10 din se ziyada ho jaae or baaz din haiz ki alamaat ke sath aae or dosre dinoo main is alamaat ke bageer to ager alamaat wale khoon ke dinoo ki limits (tadaad) pichle do mahinoo ki limits ke baraber hai to is alamat wale khoon ko haiz or baqi ko istihaza qaraar dain.Or ager is mahine alamat wale khoon ke dino ki limits pehle do mahinoo ke koon ki limits se ziyada ya kam ho to pehle dino ki limit ke barabar dino ko haiz ke din or baqi ko istihaza ke din qaraar dain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 476 , 479 , 483 , 485). Note jin dino main koon ko haiz qaraar dain un main haiz ke ehkaam per amal karain or istihaza ke dino main is ke ehkaam per amal karain. Hosake to kisi qaribi Alim ko apna masala sahi tor per bayaan kar ke jawaab hasil karain. (ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.