Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agha sistani 
Question Aoa mera sawal yeh hey k may ak larkey sey boht pyar karti hun wo b karta hey hmain 11 saal ho gaey hain ham shadi nai kar sktey q k mey syed hun or wo raja us ki shadi ho gai hey us k bawjood wo mujh sey baat karta hey kuch arsa qabal merey or us k beech ak larai hui jis k bais main us sey naraz ho gai may ney apni taraf sey taalluq khatam kr diya hey bt wo ab bi cal karta hey or rota hey to kya main us sey razi ho jaoun q k mujhey dar lagta hey k aj wo merey liey ro raha hey or mujhey us ki qadar nahi yeh na ho kal main rooun or usey meri qadar na ho may boht gunahgaar hun may ney bohat gunah kiey hain zindagi main pehli baar main shariyat k mutabiq faisla karna chahti hun esa nahi hey k may us sey baat nai karna chahti lakin sirf apney parents or ana ki khatir khamoush hun agha ji ap plz koi sharai rah nikal k bata dainmain khuda or apney imamoun ko b razi rakhna chahti hun or usey b plz ap mujhey jaldi btaiey ga. 
Answer ap ko use chor dena chahiye kun ke Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak phounch jay, ye jaiz nahi hai(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.