Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani 
Question agar haiz ki halat se pa honay ka yaqeen na ho means shaq ho aur ye bhi na pata ho k dobara ai ga y nhi .....to kya ghusal ada kiya jiiye roza rkhnay k liye?????????/plzzzz replyyyy fst  
Answer ager 10 din se pehle koon e haiz ruk jaae or yaqeen ho ke koon e haiz sharam gaah main mojood nahi hai to gusal kar ke apni ibaadaat ko anjaam dain chahe ap ko gumaan ho ke 10 din pure hone se pehle dubara koon ajaye ga, or ager ap ko yaqeen ho ke 10 din pure hone se pehle dubara koon e haiz ajayega to ehtiyaat e wajib ki bina per gusal e haiz karain or apni ibaadaat ko anjaam dain or wo cheezain jo haiz per haraam hain un ko tark bhi karain. Or ager 10 din se pehle koon e haiz ruk jayae or imkan ho ke sharam gaah main koon e haiz mojood hai ya to ehtiyaat karain (yani gusal e haiz kar ke apni ibadatoo ko anjaam dain or un cheezoo se jo haaizah per haraam hain un ko tark karain) ya istabraah karain (yani apni sharam gaah main kuch din rooi rakh kar intizaar karain) pas ager koon khatam ho gaaya ho to gusal kar ke ibadatoo ko(or is sorat main ager ap ko 10 din se pehle is ke aane ka gumaan ho ya yaqeen ho to bataae gaae hokum per amal karain) or ager khatam na howa ho to ye haiz hai or is ke ehkaam per amal karain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 495 , 496 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.