Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question agar roza ki sehere karna bhool chuke tho marad ya aurat ko kya karna hy? 
Answer Agr aap ne raat ko roze ki niyyat nhi ki thi or ap zuhr se pehle pehle uth gaye the, or uth`te wqt roze ki niyyat krlen to apka roza sahi hai, or agr namaz-e-zuhr k bad uthen hen zaroori hai k ihtiyat krte hue qurbate mutlqa ki niyat se baqi din apne apko roze men rakhe or us din k roze ki qaza bhi kre, lekin agr ap ki niyat thi roza rakhne ki or agr ap subah sehri k liye nhi uth paye to koi msla nhi q k sehri krna wajib nhi ap din k kisi bhi hisse men bedar ho nap ka roza sahi hai lekin agr apne sehri pr na uthne ki waja se roza khtm krdiya , to phir is soorat men faqat is roze ki qaza wajib hai ap pr koi kffara nhi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msal#1535_1625). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.