Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question hazrat may arsa-e 5 saal say mustzani ka shikar hon bohat koshish krta hon is kharab aadat ko khatm krnay ki pr nahi kr pata or ab aksar pishaab may qatray bhi aatay hain plz koi wazeefa ya dua batatin takay is kabees adat say nijaat pa sakon... Allah apko bohat sahaet-o-tundrasti ata farmai amine  
Answer 1)Istimna (kise tariqe se mani kharij) karna haram haiaur ghuna kabira hai.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009), 2) Mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344 ) 3) Jo shakhs shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 4) jo istimna karta hai wo sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.wo koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo wo ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar wo khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.