Answer |
Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai (Ref: Nigah aur libas sawal# 106 pg# 69)
Kunwari(virgin) lerki us waqt tak nikah(daimi/mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah 2341)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho gay (Ref: Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|