Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name I dont know what u asking 
Question kya kisi ladki se Muhabbat krna galat h.... me kisi ladki se bina uske or apne Ghar walo Ki rajamndi ke nikah kese kr skta hu jabki me bhi raji hu or vo ladki bhi..... kya Muhabbat me bhi nikah se pehle tuch krna galat h..... 
Answer Jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai. (Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69). Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Larki ka apne wali(bap ya dada) ki ijazat k bger nikha sahi nahi hai. Albatta larke k liye apne walden se ijazat lena zaruri nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #2341) Jab tak nikah nahi hojata tab tak namehram hi hen or us se pehle chahe use pasand krte hon ya na krte hon touch kran haram hai. (Ref: Ayat_ul_Allah Sistani)-( http://www.sistani.org/urdu/qa/01883/#18773) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) S/no:21  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.