Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ahsan 
Question assalam o aliakum......sir me aik muslim lrki hn me ny aik lrky sy zina kia na chahty huy me hr galt km chorna chahti hn khuda k rasty par ana chahti hn par iman bht kamzor h bar bar us na mehram js k sth zina kia h dubara bt krny ko dil krta h...phr wo zana he ki bt krta h jo sb me ni krna chahti...me bht pareshan hn  
Answer Zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30). Apko chahiye k sache dil se toba karen. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karay. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Jo shaks shadi na kerne ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os per wajib hay k shadi karay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 2407, eidition31). Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Hazrat Ali a.s irshad farmatay hain k Jo shakhs namaz e subah k baad 11 martaba surah e tauheed ki tilawat karay to os din wo koi gunah na karay ga chahay shaitan kitni hi koshish karay. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 42) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.