Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assala Waalaikum...Na samjhi me maine kisi se mohabbat kr lya mgr mjhe is bat ka ilm bhot der bad hua k islam me Duniawi mohabbat jaij nhi,mgr hmara relation takreeban 7 salo se hai aur ab wo meri Jarurat si ban gai hai jis k begair jeena duswar sa lgta hai us se door rhne k nam se dar sa lgta hai..ab aap btaiye mjhe kya us se riste ko khatam kr dena chahiye ya us k sath Nikah kr lena chahiye pls is ka jawab jald se jald de ta ke mai sahi faisla kr sku... 
Answer Ap ko aik fiqhi masle ki taraf mutawajah kia jata hai k Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) (Albatta isalm pasand ki shadi se nahi rokta to behtar hai ka shadi krlen, is k liye hm apko wazeefa dete hen) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.