Answer |
jis per ghusal janabat wajib ho wo miyat ko kaandha de sakta hai aur surah fatiha per sakta hai laikin jis per ghusal janabat wajib ho us per quran ki surah sajda ayat no: 15, (surah haa meem sajda) ki ayat no:37, surah najam ki ayat no:62, surah alaq ki ayat no:19 ka perhna haram hai.(in k ilawa koi dosri surah ya dua perhna haram nahi hai)(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #354) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |