Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam-o-Alikum, Mujhe Ghusle-Janabat Ka Mukammal Tariqa Batadain, Aur Shower Se Ghusle-e-Janabat Kis Tarah Liya Ja Sakta Hay? Bara-e Meharbani Tafsily Jawab mujhe E-mail Kar Dain. 
Answer Namaz aur is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. Ghusl me Ehtiyat e lazim ki bina per ghusl ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai, or behtar ye hai ke badan ka seedhe haath(right hand) ka hissa pehle dhoe phir ulte hath (left hand) ka hissa dhoe. kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 , Khuda tawfiqaat mein izafa farmaye). Jee haan ghusl e janabt shower k nichay kia ja sakta hai aur is ka tareeqa ye hai k ghusl ki niyat k sath pehlay sar aur garden ko dohay phir ehtiyaat e wahib ki bina per shower ko band karay ya sar ko pani se nikala jaay or os k bad shower ko kholay aur badan ko dain(right side) taraf sai dohae phir shower ko ehtiyaat e wahib ki bina per band keay ya badan ko pani se bahar nikale aur badan ko bayen(left side) taraf sai dohae. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,part#1 maslah #185) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.