Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question asalamoalekum mere sawal ye hay k may jb b apne mangetar se bat karti hon to mamoli si bat par geli ho jati hon kia es k lia ghusul wajib hay 
Answer Mangeter na-mehram he aur Aik (na-mehram) khatoon se aise baatain ki ja sakti hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota. Ise tarah baghair lazzat k irade k is ki batain bhi soni jasakti hai jab k haram me bhi na perhne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne waali ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57). (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) Jis se ghuna hoya ho wo Suche dil se toba karni chahea. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karay. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba) Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Hadd tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat waajib ki bina agar hizaan shewat ki inteha tak nab hi pouche maqar paani itna ziyaada ho jitna pure razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.