Answer |
Ulamaa e Imaamia ke dermiyaan mashhoor (jese Allama Majlisi, Syed Mutuza etc) or mutaaddid tareekh ki kitaboo se pata chalta hai ke Syed ul Shuhda Janaab Imaam Husain (a.s) ka Sar e Aqdas Karbala Mualla main ap ke Jism e Athar ke sath dafan kiya gaaya hai, jesa ke Shaik Tosi habeeb ke hawale se likha hai ke yazeed ne tamaam Sar-haae-Shuhodaa Janaab e Sajjaad ke hawale kar diye the, or Ap ne Karbala aa kar (rihai ke baad 40 safar ko) inhen dafan kiya tha. (Ref : Malee u Sibtain , jild # 2 , fasal # 15 , majlis # 1 , pg # 383 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). |