Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question A-s-a sir meri shadi ko 2 saal hony ko hn or ak byti b hy 10 mah ki magar mery husband hm sy juri ko zimmay-dari pori nae karty garh ma b hr waqat larayn rahti hn meri sas b in larayn ma barpoor kirdaar ada karti hn mera wahn rahna mushkil ho gaya hy or ak mah pahly meri ami mujy apny garh ly a e the or a b tak koe lyny nae aya jb k mery husbnd ny kaha tha ma aon ga or ab ma wahn jana nae chah rae asal ma mujy ye janna hy k mery liay kaya theek hy ???????? Plz help me ma us garh ma nae jana chahti par ma apny husbnd ko chorna nae chahti plz help me 
Answer Hadees main manqool hai, jis main (aik orat ne sawaal kiya) kiya, ya Rasool Allah! Shohar ka haqq zoja per kya hai (ya bivi per kya kya cheezain farz hain)? Farmaya, lazim hai ke us ki itaat kare, kisi waqt or kisi hal main us ki nafarmaani na kare, jis waqt wo mubashirat ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot ki pusht per hi kun na sawaar ho, phir us(orat)ne arz ki, ya Rasool Allah! Mard per kis ka haq sab se bara hai? farmaya, baap ka, arz ki (orat ne) orat per sab se bara haq kis ka hai? farmaya, shohar ka, arz ki (orat ne) shohar per mera haq itna nahi hai(jitna mere per shohar ka hai)?farmaya, nahi. or ik dosri Hadees main manqool hai ke (orat per farz hai ke )kisi raat is halat main na sooe ke us ka sohar us se naraaz ho, us orat ne arz kiya, ya Rasool Allah! Chahe us orat ke shohar ne kitna hi zulum kiya ho? Farmaya han chahe kitna hi zulum kiya ho. (Ref : tehzib ul islaam , baab # 4 , topic # hoqooq e zojain , pg # 140 , 141).( Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.