Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question haiz ka khoon bnd hone k baad agr ganda pani ata rhe or 10 din baad mukamal bnd ho jay to tb nahana chahye ya khoon bnd hone k baad naha lena chahye?  
Answer Agar kise aurat ko 3 din se ziyada aur 10 din se kam khoon aahe aur ise ye ilm na ho ye khoon phore ya zakam ka hai ya haiz ka hai to zarori hai k is khoon ko haiz na samage (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #443 ) Agar kise aurat ko aisa khoon aahe jis k baare me ise ilm na ho k zakam kan khoonn hai ya haiz ka to zarori hai k apne ibaadaat (namaaz, roza waghaira ) baja laate rahe laikin agar is ki sabeka halat haiz ki rahe ho to is surat me ise haiz qaraar de (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #444 ) Agar kise aurat ko khoon aahe au rise shak ho k ye khoon haiz hai ya istehaaza to zarori hai k haiz ki alaamaat moujood hone ki surat me ise haiz qaraar de (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #445 ) Agar kise aurat ko khoon aahe au rise ye maloom na ho k ye haiz hai ya bukaarat ka khoon hai to zarori hai k apne baare me tehqeeq kare yaani khuch rohe sharamgha me rakhe aur thori dair intezaar kare phir roi bahar nikale paas agar khoon roi k atraaf me lagha ho to khoon bakaarat hai aur agar saare ki saari roi khoon me tar ho jaay to haiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #446 ) Agar kise aurat ka khoon 10 din ghuzarne se phele ban ho jaay aur is baat ka ehtemaal ho k is k batin me khoon haiz hai to zarori hai k ya ehteyaat karte hoay ibaadato ko anjaam de ya istebra kare aur istebra kiye baghair ibaadat ko tarak karna zarori nahe . istebra ye hai k apne sharamgha me roi rak kar khuch dair intezaar kare . hah agar is ki aadat aise hai k haiz k dourain bhi is ka khoon khuch dair k lie rok jaata hai jise k baaz aurato k baare me aisa kaha jaata hai to zarori hai k is miqdaar se ziyada dair tak intezaar kare is k baad nikaale pas agar khoon agar khoon khatam hoghaya ho to ghusal kare aur ibaadaat baja laahe aur agar khoon ban na hoya ho ya thora sa yellow paani lagha ho .pas agar wo hai ki moaiyan aadaat na rakhte ho ya is ki aadat 10 din ki ho ya abhi is ki aadat k din tamaam na hoe ho to zarori hai k intezaar kare aur agar 10 din se phele khoon khatam ho jaay to ghusal kare aur agar daswe din k khateme per khoon aana ban ho ya khoon 10 din k baad bhi aata rehe to daswe din k endding per ghusal kare aur agar is ki aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho k 10 din khatam hone se phele daaswe din k khatame per khoon ban ho jaay gha to wo ghusal nahe kar sakte . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 496) Haiz ka khoon umoman ghara aur kharam hota hai aur is ka rank siya ya suruk hota hai wo these se aur thore se jalan k saat kharij hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #432 ) Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahe hote aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiznahe hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 438) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.