Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question sir ma ya pochna chahta hon k ighlam ka kafara kia hai? 
Answer Lawaat (iglaam/homosex) yani mard ka mard sai gaie fitri amal anjam dena, jaiz nhi hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 461 pg # 253) iglaam|(homo-sex) karwanay walay larkay ki maa , bahn aur bati aglam karnay walay per jabke (aglam karnay wala) balig ho haram ho jatay hain. Aur agar iglam krwanay wala mard ho ya iglam krnay wala na-balig ho tab bhi ehtiyat e lazim ki bina par yahi hokum hai laikin agar osay guman ya shak ho k dhokool hua tha ya shak kray k dhokool hua tha ya nhi to phir wo haram nhi ho ga. laikin aglam karnay walay ki maa , behan , aur bati aglam karwanay walay per haram nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2369) sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah kin a-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). 3)Jo shaks shadi nah kerne ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os per wajib hay k shadi karay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 2407, eidition31). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.