Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Allah ne zameen pr kitny paigamber pr kitny rasool bejy????? 
Answer Allah ke bheje howe bando (nabyoon) ki tadaad 1,24,000 or ye 4 qismoo ke the, 1 – jin ke dil main ilhaam kiya jata hai lekin na hi wo kisi qoom ki tarf bheje gaae or na hi wo farishte ko deekhte hain, in ko abb-d kaha gaya hai, 2 – jo sirf sote main farishte ko deekhte hain, na ke jaagte main, lekin in ki awaaz sunte hain, in ko nabi kaha jata hai, 3 – jo sote o jaagte dono main farishte ko deekhte hain or in ki awaaz bhi sunte hain or Allah Taala in ko kisi qoom ki taraf hidayat ki garz se bhejta hai lekin in ke uper bhi ik Imaam hota hai jis ki ye ittiba o itaat karte hain, in ko rasool kaha jata hai, 4 – wo jo sote o jaagte dono mian farishte ko deekhte hain or awaaz bhi sunte hain or kisi qoom ki taraf bhi bheje jate hain or in ke uper koi Imaam nahi hota balke ye kud Imaam hote hain, or in ko ulul azam kaha jata hai jese Muhammad Mustafa (s.a.w). (Ref : usool e kafi , jild # 1 , kitaab e hujja , baab # 59 , riwayat # 1 , 2) , (Ref : Al-Etiqadaat , muallif # abi jaffer Muhammad bin Ali bin Husain , topic # 35 , pg # 282 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.