Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question As Salam O Alaikum Mujay Yeh Pouchna Hy K Maine Suna K Imam E Mehdi Ajf Jab Sa Ghabat Sughra Sa Ghabat Kubra Main Ghay Han Aun Ka Koi Naib Nahe Or Ghabat E Kubra Main Koi Mojza Nahe Hoga Maslan Jaisa Alam Ke Mashq Sa Pani Tapakna , Ya Pathar Sa Awaz Ayana .....Meharbani Kar K Agar Ye Imam Ka Qoul Ha Hy K Imam E Mehdi Ajf Ghabat E Kubra Main Ja Koi Mojza Pash Ya Numaya Nahe Hoga Is Ka Refrences Btada Mustanad Kitab Sa ....Mola App Ko ajar Dain Ameen 
Answer Imaam e Zamana (a.s) se mutalliq mujizaat ki 2 qismain hain, 1 – wo mujizaat jo Ap or Dosre Masomeen (a.s) main mushtarak hain, to ye Gebat e Kubra main bhi zahir howe jesa ke ghebat e kubra main Ap (a.s) ki mominoo se mulaqaat or in ki mushkiloo ke hal karne ke mojizaat kasrat se mojood hain. 2 – Dosre wo mujizaat jo zuhoor ke baad Ap (a.s)ke saath khaas kiye gaae hain, jese momino ke sar per Ap (a.s) ke hath rakhne se un ki aqlo ka kamil ho jana, Nabi e Mosa (a.s) k mojizaat ka Ap (a.s) se sadir hona waghera waghera to ye wo mojizaat hai jo ghebat e kubra main zahir nahi ho sakte. (Ref : Bihaar u Al-Anwaar , jild # Imaam e Zamana (a.s) , Baab # 27 , Hadees # 47 , pg # 330) , (Ref : Jamaal e Muntazar , fasal # 2 , baab # 29 , riwayat # 3 , pg # 423).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.