Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalamualekum wa rehmatullahi wa barkatahum : hazrat mera sawal yeh hai ki 7 saal pehle mera ek ladki se contact hua woh bhi musalman hai. Uss waqt mera rishta apne hi rishtedaro mai hua tha. Uss ladki ne kaha bhi ki rishta chudwalo aur mujhse nikah karlo. Par uss waqt ke halat dekh kar aisa nahi hua aur meri shadi mere rishte daro mai ho gayi shadi ke 15 din baad woh larki phir contact mai aa gayi. Jisse meri shadi huyi thi usse 2 judwa bache bhi ho gaye. Phir wih ladki aur mai milne bhi lage. Dono ne faisla kiya ki hum dono gunah kar rahe hai to dono ne nikah ka faisla kiya. Aur 2 saal pehle nikah karliya. Nikah se pehle ladki ki shart thi ki tum pehli biwi ke pass nahi rahoge to maine kaha ki aisa nahi ho sakta waha bache bhi hai unka bhi haq hai to hafte mai 2 raate waha rukne ki baat par nikah ho gaya. Woh ladki job bhi karti hai. Iss nikah ke bare mai ladki ki 2 behne hai unko pata hai aur meri pehli biwi ko bhi pata hai. 2 mahine se jisse maine nikah kiya tha woh mujhse baat nahi kar rahi hai. Baat na karne ki wajah yeh hai uska kehna hai ki tum pehli biwi ke saath humbistri karte ho aur mai yeh bardhast nahi kar sakti aur sab mujhe dusri wali kahege. Aur 15 din se woh city se bhi bahar chali gayi hai maine bahut koshish karli uske dosto se aur behno se puchne ki par koi nahi bata raha ki kaha hai woh. Aur jane se pehle jab baat huyi thi to keh kar gayi thi ki dono biwiyo mai se ek ko rakhna padega. Mai dono mai se kisi ko nahi chodna chahta. Uske ghar mai maa bimar hai phir bhi woh ghar se chali gayi. Aur mere ghar mai jo meri biwi hai woh meri haalat dekh kar kehti hai ki agar woh yeh kehti hai ki mujhe talak dedo to usko manzur hai par usko jaha bhi gayi hai dhund kar uske ghar le aao. Iss halat mai mai kya karu. Aur jo bahar gayi hai usme nikah nama bhi phad diya. Deen ki roshni mai app hazrat se guzarish hai ki masle ka solution bataye. 
Answer Aap ke liye dono ko rakakhna mustahab hai, lehaza 1st bivi or bacho ke sath achi zindagi guzaarye, ager 2nd bivi Shariat e Muqaddasa ke hokum se razi ho jayae to dono biviyon ko kush rakhye, or ager na mane to usko talaaq dena jaiz hai (q k unka mutalba gher-sharaee hai). (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 105 ). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.