Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name shia  
Question AoA. ya ali madad . alama sahib meri ek problum hin wo ye hin k mujhy chotey peshab k saath mani k qatrey atey hain kabhi kabhi wasey bhi atey hain tu mujey bataye ke asi khalat main ghusal karna wajib hin ya nahi agar wajib hin tu koon si niyat pardni chahiye plz alama sahib mujey reply karin .khuda hafiz 
Answer Ager kisi shaks ke badan se koi ratoobat kharij ho or wo ye na jaanta ho ke mani hai ya pishab ya koi or cheez to ager wo ratoobat shehwat ke sath or uchal kar nikli ho or is ke nikalne ke baad badan sust hogaya ho to wo ratoobat mani ka hokum rakti hai(phir namaaz ke liye or is jesi ibaadaat ke liye gusal e janabat wajib hai), likin ager in 3 alaamatoo main se sari ki sari ya kuch mojood na ho to wo ratoobat mani ke hukum main nahi aae gi(yani wo mani nahi hai to gusal e janabat bhi wajib nahi hai). Likin ager insaan bimaar ho to phir zaroori nahi ke wo ratoobat oochal kar nikli ho or is ke nikalne ke waqt badan sust ho jaae balke ager sirf shehwat ke sath nikle to wo ratoobat mani ke hokum mian ho gi or agr shehwat k bger ho to mani ka hukm nahi rakhegi lehaza us ki waja se ghusl bhi wajib nahi hogi. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzeeh_ul_Masaail, 31st edition, maslah # 345).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.