Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question assalamoalaikom kuch arsa pehlay meri university me ak larki thi ,,, mene ose behan banaya .. phir kuch arsa bad ose beti kehna shoro ker dia ,, wo muje apni betiyon jesi lagti thi .. me hamesha ose beti keh k bulata tha or mere dil me b yehi tha k wo meri beti he .. or mene ALLAH TAALA se b yehi bat kahi thi k AY ALLAH mera os k sath taluk bilkul saaf he wo meri beti he ,, lakin kuch arsa se muje lag raha he k wo larki muje pasand krne lag geyi he or shadi ki khawahishmand he mere sath .. me ne os se khul k bat ni ki is topic pe .. me ye pochna chahta hon k mom boli beti kon hoti he .. or kis terha se banti he .. kya kafalat lazmi he mon boli beti bananay k liye ..? or kya me os larki se shadi ker sakta hon .. ? or mon boli beti k baray me kya aehkamaat hain ? 
Answer Moo boli beti haqiqi beti ki tarah nahi hoti .wo larki namehram hai aur larki k lie namehram mard se perda karna wajib hai . moo boli beti k akhrajaat namehram mard per wajib nahi hai aur moo boli beti se shadi ho sakti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2349,2399, 2014). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.