Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Aoa.sir mujy apsay poochna k ma aik larky ko pasand krti hon or aksar aisa hota k us say bat krty waqt mujy feel hota k jesy kuch kharij howa lakin main yah samj nhi pati k wo mani hy ya mzi,,,,kindly ap in dono chezon ki tafseel bta dain or yah b k kia muj py ghusal wajib hota...general topic py bat hoti hain phir b kharij hoti hai koi ratoobat...apka bht shukria  
Answer 1)kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 ) 2)larkay aur larki ka baat karnay me agar lazat aur haram me parhnay k khof ho to haram he. (ref : kitab nigah aur libas Sawal # 84 Pg # 59) 2)Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Kharij hoti hay Agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intehaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.