Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Me aik shaks se bohot zayada payr karti hoon, itna zayada ke me un ke aur hamari shadi ke liye tahajud ki nimaz shuroo kar rahi hoon, me ye janna chahti hoon ki kya roze rakhne se mere dua ke barkat aur bar jai gi? Aur kya me apni pori zindagi roze rakh sakti hoon? Mujhe un rozo ka bhi batai jo haram hai aur kya aik muslim ko un haran rozo kie din ki ilawa wale roze rakhne ki ijazat hai? Alaah ap ko dher sari khuhsya de please ap mere madad kare. 
Answer 1)Quran majeed k sorah baqra ki ayat # 45 main hay k “sabr or namaz k zerye madad mango” or riwayaat main sabr se muraad roza hay or ye tay shuda baat hay k namaz or rozay se ziyada taqat kisi asleh main nahi hay or khuda se madad maangne ka is se behter zerya bhi nahi hay . Aal e muhammed(s.a.w.w) ne is qadar namazain perheen or rozay rakhay keh wo khud bhi iste, aa,nat(madad) ka behtareen wasila qaraar paa gay. Isi liay riwayaat main sabr ko nifs(aadha) emaan bataya gaya hay or ali(a.s) ko kul(mukammal) emaan.(Ref: Terjuma e quran Allama Zeeshan Haider Jawwadi, pg#47). 2)Eid ul fitr aur eid e qurban k din k roza rakhna haram hay. or jis din k baray me insan ko ye ilm na ho k shahban ki aakhri tareekh he ya ramzan ki pehli to agar wo is din pehli ramzan ki niyat se roza rakhay to haram he.or agar aurat k mustahab rozay rakhne se sohar k haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram he. 4) agar aulad ka mustahab roza maa baap k lie aziyat ka sabab ho to aulad k lie mustahab roza rakhna haram he.Is k alawa aur bhi haram rozay hein or is k alawa bhi khuch rozay haram hain jo tafseeli kitabo main zikr kiay gay hain. Ashoor k din roza rakhna makhrooh hay or os din ka roza bhi makhroh hay jis k baaray main shak ho k arfah ka din hay ya eid e quban ka din.Haram aur makrooh rozay k alawa saal k tamam dino k rozay mustahab hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1709-1718) Note: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q ke ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.