Answer |
Agar kise insaan k naik baat qabool karne ka ehtemal (chance ) ho to amar bil maroof ( naiki ka hokum dena ) wajib hai aur ghunah se rookna wajib hai .aur agar baat qabool karne ka ehtemaal nah ho to wajib nahi hai laikin ehteyat wajib ye hai k karahat aur naraazghi ka izhaar ghunaghaar k is fail nashaista per kare chahay jaanta ho k wo is ka asar nahi lay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2009 )
Agar kisi ka shohar ramzaan me roze nahi rakhta aur us k paas koi share wajah bhi moujood nah ho aur us ka shohar usay majboor karta hai k biwi us k lie khana tay,yaar kare aur agar biwi aisa nahi kare to us ka shohar biwi ko barha sakht maarta hai aur aurat apne baccho ki waja se talaaq lena nahi chahti to is surat me biwi apne shohar k lie khana tayyaar kar sakti hai laikin us waqt tak khana shohar k saamne paish na kare jab tak nuqsaan ya haraj ka khouf nah ho. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat roza, ques # 165, pg # 82). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
|