Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam u alaikum sir kiya roza ki halat me fahas, gandi movie dekhny se roza toot jata hai ya nahi 
Answer jinse filme (sexy video) ya (sexy) tasaveer ko shewat k sath nazar karna haraam hai balke Ehteyat wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna beghair shewat k bhi haram hai. laikin agar mani nikaalne ka irada na ho to is se roza batil nahe hota. lehaza jo roze daar mani nikalne k irade se chair chaar aur dil laghi kare laikin is ki mani na nikle to agar dobara roze ki niyat na kare to is ka roza batil hai aur agar dobara roze ki niyat kar le ehteyate lazim ki bina per zarori hai k roze ko tamaam kare aur is roze ki qaza bhi baja lae . (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal # 166,pg:82). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1575). Update on dated 12-07-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.