Answer |
1)Jis musafir k liay safir me 4 rakati namaz k bajaye 2 rakat parhna zaroori ho ose roza nahi rakhna chahiay. Aur is ka safar aana or jaanna mila ker taqriban 44 kilometers se kam na ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1685).
2)Ramazan main safar kernay main koe haraj nahi laikin rozay se bachnay k liay safar kerna makhroh hay.yehi hokum her safar ka hay siwaay os safar k jo haj, Umrah ya kisi zarori kaam k liay ho. )Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 1686) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|