Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question sir pls send me rozay ki Niyat 
Answer Insane k lie rozay ki niyat dil se guzarna ya maslan ye kehna k “me kal roza rakhoo ga” zaroori nahi he. balke is ka irada karna kafi he k wo bargah e ilahi me apni zillat k izhar k lie azan e subah se magrib tak koi aisa kaam nahi karay ga jis se roza batil ho aur ye yaqeen hasil karnay k lie is tamaam waqt me wo rozay se reha he zaroori he k kuch dair azan e subah se pehlay aur kuch dair magrib k baad bhi aisay kaam karnay se perhaiz karay jin se roza batil ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1531) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.