Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Kya aap roze k baad hand practice kar sakte ho? Aur dosra question k agar aap kisi larki se true love karte ho tu us ko hasil karne k liye koi wazifa batain 
Answer 1)Hand practice (Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) Shadi k lie wazifa : 1. Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 2. kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314). 3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.