Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalamu,Alikum Mere name ussam hai,mera app se yeh sawal hai ke meri mother sugar ki mareez hain woh roza nahi rakh sakti.App batain kay kitna fidya dena hoga plz hamari maddad karen allah app ku kush rakhe (Ameen). 
Answer 1)Agar koi shakhs yaqeen ya ghuman rakhta ho k roza is k lie muzr (nuqsan day) he to agar chahe doctor kahay k muzr nahi he to zaroori he k wo roza na rakhay. 2)Agar koi shakhs beemari ki wajah se ramzan k rozay na rakhay aur is ki beemari ainda ramzan tak lambi ho jay to jo rozay os ne na rakhay hoon in ki qaza is per wajib nahi he. Aur zurari he k har din k lie aik mud(takreeban 750 gram ) twam yani gundum ya joe ya roti wagira faqeer ko de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1713, 1674) 3)sugar k mareezon k lie dua : sugar k mareezon ko chahaea k surah e bani israil ki ayat # 80 ko bila nagah taqreeban dhai mahinay tak 3 martaba subah aur 3 martaba sham parh kar pani per dam kar k pitay rehain inshallah sugar normal ho jay ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.