Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Sir jee meri problem ye hai mujko bohut time ho gaya hai mai mast zanni karta raha hoo urine karte time phly ya baad mai ya urine bi na kar rahay hoo tou meri semen khudbakhud nikal rahi hai aur penis ki jo pulse hai wo bi moti ho gai hai akrhi hohi hai urine mai jalan hai stomach, constipation, dysentery aur fever utar charh raha hai aur janay ka naam nahi lay raha hai sari body mai pain shoulders, back and knees pain bi hi chest mai jacran aur cough bi hai condition bohut khuraab hai please sir jee meri madad karay koi eslami elaaj aur kisi acchay hakeem ka pata bi dai dai mai nay bohut thonda hai par koi asa nahi mila bas abb sir app hi omeed ki kiran hai. mai app kay reply ka bechani k sath wait kar raha hoo omedd karta hoo app jald reply kar dai gai. thanks, Best regards, 
Answer Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 1)sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gay.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah kin a fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray.or agar aap khud per qaabo nah rakh saktay hoon tu aap k liay wajib hoga k aap nikah karain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) 2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Hazrat imam jaffer e sadiq (a.s.) ka irshad he k surah e alhamd ka parhna mout k siwa har bemari ki dawa he. surah e hashr ko kholoos e dil k saath parhein to inshallah shifa ho gi. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 208 , 209)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.