Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question kai bar apni hone vali biwi se bat kerke mujhe pehab k maqam se ktra nikalta mehsus hota hota hai jise mai dekh bhi sakta hu ? kya is surat mai pak hu dusra saval yeh hai ki mai stomach ka mariz hu lihaza bar bar mujhe aisa mujhe ahsas hota hai ki mujhe riya kharij (gas) ho raha hai. is surat mai kya karu wazu kerke namaz ko dohra lu ya namza ho jayegi jabki mai vakai stomach ka mariz hu. jabki mai pure yaqin k sath nahi keh sakta ki riya kharij hua bhi ki nahi lekin ahsas kai bar hota hai namaz k dauran ap plz meri islah ker de  
Answer Wo ratobat jo kabhi kabhar shehwat ubhrne par mard ki sharamgah se kharij hoti h ose Mazi kehte hen or wo pak h. Or wazu ko bhi batil nahi karti(Namaz parh sakte hen.) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) Wo ratoobat jo baaz oqat peshab k baad niklti hai agar peshab os se mila hua na hua to wo pak hai aur os ko Wadi kaha jata hai.wo mani nhi hai aur ghusl bhi wajib nhi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Ager kisi ko wazoo ke baad shak ho ke us ka wazoo batil howa hai ya nahi(masalan ke us ki gas nikli hai ya nahi) to usko samjna chahiye ke us ka wazoo baqi hai yani batil nahi howa hai. agr kise ko shak ko ye Aarza lahaq hua k riyah(gas) rokene per qadir na ho to zarore hai k un logo k fareeze k mutabiq amal kare jo pheshab or phakhana rokne pr qadir na ho. yani agr ise yaqeen ho ke namaaz ke awal se aakhir tak ise itna waqt mil jae ga jis men wo is tarah namaz pher sakta hai ke gas na nikle to zaroori hai ke us waqt men hi namaaz phare, or agr pata ho ke sirf itni mohlat mile gi ke namaaz ke sirf wajibaat ko anjaam de sakta hai to zaroori hai ke mustahabbat ko tark kar(chhorede) or wajibaat per iktifa kare,or agr ise wajibaat per iktifa karne ki mohlat bhi na mile is tarah k wajibaat ka sirf kuch hissa wazu ki halat men parh sakta hai to zarori hai ke wo kuch hissa wazoo ki halat main parhe, or agr wo namaz ka kuch hissa bhi wazo ki halat men na parh sakta to iska Ek wazu chand namaazo ke liye kafi hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 299, 306 to 314 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.