Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question AOA, Main nay past main kuch Gunah-e-Qabera kiya thay like Mard to Mard Sex, Mard kay Nafs ko Mouth main Laina, phir shadi kay baad Roza rakh kar Wife kay saath Hambistri karna etc. etc. Main Gunah kay baad bahot sharminda hota hun, plz rahnumae farmain, aur is Gunah ka Kiya Kaffara hai? Plz Plz help me. Main Toba aur Mafi mangna chahta hun. Kiya 60 people ko khana khilaon ya Siraf Allahtala say Mafi maang lon ya Toba kar loon? Please reply me. 
Answer Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) Ap pr is roze ki qaza or kaffara dono wajib hen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1630) Ramzan ka roza torne ka kaffare k tor zaruri hai k insan ek ghulam azaad kre ya do mahine roze rakhe ya 60 faqeeron ko pet bhr kr khana khilaye ya hr faqeer ko ek Mud tqreeban 3/4 kilo ta`am yani gandum ya jao ya roti wgera de, or agr ye kaam anjam dena us k liye mumkin na ho to beqdre imkaan sadqa dena zaruri hai or agr ye bhi mumkin na ho to oba o astaghfaar kre or Ehtiyat wajib hai k jis wqt kaffara dene k qabil hojaye kaffara de. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1632) Jo shakhs ramzan k roze k kaffare k tor pr 2 mahine roze rakhna chahe to zaruri hai k ek pura mahina or us se agle mahine k ek din musalsal roz rakhe(uani 31 din) or agr baqi manda roze musalsal nab hi rkahe to koi hraj nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1633) S/no:6360  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.