namaz-e-eid aur juma k baray mian mutadad ahadis rawayat hoi hain k is namaz k parhanay ka haq sir IMAM -E-MASOOM ka ha?
aap bataeen is ki rad mian dalil ...
Country
hyd - pak
Answer
Namaz e eid aur namaz e juma imam e zamana(a.s) ki maujodgi main wajib hain.or in ka jama’at k saath perhna zarori hay.laikin hamaray zamanay main jab keh imam asr(a.s) ghaibat main hain,tu namaz e eid mustahab hain or jama’at wa furadah(akailay) dono terah perhi jasakti hain) or namaz e juma imam asr(a.s) ghaibat main wajib e takhyiri hay.is say muraad ye hay k juma k din ikhtiyaar hay agar namaz e juma ki shara’it maujood hoon tu juma ki namaz perhay ya zuhar ki namaz perhay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), maslah #720,1497).
aap nay farmaya namaz-e-juma wajib--e-takhiri hai... kiya koi fail takhyiri bhi hota hay isay ahadis ki ro say prof karen...
Country
hyd - pak
Answer
Jee haan. islam main kuch amaal aisay bhi hain k jo takhyiri(optional) hain.maslan
1) ramzan k wajib rozay torhnay ka kaffarah main zarori hay k aik ghulaam ko azaad kia jaay ya 2 mahinay k rozay rakhay jain(jin main say shuru k 31 raozay lagataar rakhna zarori hain) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaya jaay ya 60 faqiro main say har aik ko ¾ kilo khana(yani aata, roti waghaira) day.
2)qasam k torhnay ka kaffarah ye hay k aik ghulam azaad karay ya 10 faqiro ko pait bhar k khana khilaay ya unhain kaprhay pehnaay or agar in amaal ko injaam nah day sakta ho tu zarori hay k 3 din musalsal rozay rakhay. .(Ayat Ullah Seestani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#1632, 2633).
namaz-e-jumma kai waqt ka aghaz aur ikhtitma ka waqt bayan kar dai? tafseel kai sath
Country
karachi - pakistan
Answer
Namaz-e-jumma ka waqt zawaalay aaftaab say shoru hota hay or insaani qad k saya k 2 /7 honay tak rehta hay.or jab bhi is waqt say takheer hojay to phir zarori hay k namaz e zuhar ada ki jay.)Ref: Aytullah Khamnaie (d.b.) tauzee hul masail maslah #641.)
agha sawal yai hai kai namaz-e-jumma ka asal waqt kab sai shoro hota hai aur kab tak rehta hai? tafseel sai jawab dain
Country
karachi - pakistan
Answer
namaz-e-jumma ka waqt bohat qaleel hay.is ka awal waqt ye hay k jab awam ki nazar main zawaalay aaftaab hojaay.or jab bhi is waqt say takheer hojay to phir zarori hay k namaz e zuhar ada ki jay. ). (Ref: Ayat ullah Seestani(D.B) tauzee hul masail maslah #720.)
agha sawal yai hai kai namaz-e-jumma ka asal waqt kab sai shoro hota hai aur kab tak rehta hai? tafseel sai jawab dain
Country
karachi - pakistan
Answer
Namaz-e-jumma ka asal waqt Zawaal e Aaftaab(awal waqt e zuhar) say shoro hota hai aur insaani qad(hight) k saya(shadow) k 2/7 honay tak rehta hai.(ref: Ayat ullah Khamnaie (D.B),Tazee hul masail,maslah # 641)
Aslam kya hum us masjib may jumeh ke nemaz ada karsakte hain jaha panch waqat ki nemaz nahe honti hai khali 2 waqat ke he hote hai
Country
srinagar - j&K
Answer
w.s., agar namaziyo ki taadad imam ko milakar kam-s-kam panch ho aur dusri namaze juma qaim hone ki jagh aur is masjid k darmiyan ek farsakh ka fasela ho to ho sakti he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.720)
mere job ke vajase juma ki namaz nahi ho rahi hai kya mera liya wo job sahi hai? mai 2 mahenia se yeh job kar raha hoon aur meri 8 juma ke namaz nahi hove hai.
Country
Aurangabad - India
Answer
bismehi taala, namaze juma me shirkat karna sawabe azeem ka baes he aur agar is me namaze juma ki sari sharayet majood ho to phir zohar padhne ki zaroort bhi nahi raheti. lekin b-har-hal is ka wujoob takhyeeri he, taayyoni nahi. (yaani aap ko ekhteyar he k is me shirkat karain ya zohar ada karain). (ref: www.qoitrat.org/Books/book3/p36)
SALAMWALEYKUM,MERA SAWAL YEH HAI KI HAMJUME KI NAMAZ ADA KARTE HAI USKE BAD JOHAR KI NAMAZ WAJIB KI NIYAT SE[FURADA] ASR KI NAMAZ HAM KIS NIYAT SE PARLHE GE.
Country
LUCKNOW - INDIA
Answer
w.s., jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)(namaze asr to wajib ki niyyat se hi padhni hogi)
Assalamulalikum, Jume ki namaz imam ne wajib ke hai magar is dor me wajbe tekhyeeri kis ka hukm he kewnke imam ne to iski wajib qarar kia he agar imam ke farameen ko koi badal de to wo gunnah kar raha he. Men sirf ye pochna chahta hon ke wajbe takheeri kis ka hukm he. shukria
Country
KARACHI - PAKISTAN
Answer
w.s. shariyat ne kis masle me kiya hukam lagaya he yeh Quran aur farameene Masoomeeen alhemus salam k sab se bade janne wale mujatheede aalam hi bata sakata he, ham faqat ek ya do hadees ko padh kar yeh jane bagair k is ke alawa digar ahadees kaya kaheti hain, in hadees k rawi kon he, riwayat k alfaz kya hain, yeh sab kuchh jane bagair yeh nahi keh sakte k Imam alhis salam ka kaya hukam hain, gaybat k jamane me hamari zimmedari mujthide aalam k fatwe par amal karna he, chunke mujthide aalam Imam alhis salam ki tarf se ham par hujjat he.
Mera sawal ye he ke namaz e juma farz he ya mustahab agar farz he to mustahab ki niyat se kewn parte hen agar mustahab ki niyat se parte hen to imam ke farman ki nafi karte hen. to is surat men juma ki namaz parni chahye ya nahi.
Country
karachi - pakistan
Answer
bismehi taala, jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)shariyat ne kis masle me kiya hukam lagaya he yeh Quran aur farameene Masoomeeen alhemus salam k sab se bade janne wale mujatheede aalam hi bata sakata he, ham faqat ek ya do hadees ko padh kar yeh jane bagair k is ke alawa digar ahadees kaya kaheti hain, in hadees k rawi kon he, riwayat k alfaz kya hain, yeh sab kuchh jane bagair yeh nahi keh sakte k Imam alhis salam ka kaya hukam hain, gaybat k jamane me hamari zimmedari mujthide aalam k fatwe par amal karna he, chunke mujthide aalam Imam alhis salam ki tarf se ham par hujjat he.
Assalam O Alaikum, 1. Namaz-e Jumma farz hai ya nahin?
Country
Jhang - Pakistan
Answer
w.s. namaze juma dore hazir me wajibe takhyeeri ha, is ka maani hain k jume k din mukallf ko ikhteyar he ko wo namaze juma padhe ya namaze zohar.(ref: istiftaat k jawabat Aytullah Khamenai (d.b.) page no. 173)
Salam
Agar ek shaks ko namaz jamat per etraz hy tu woh uc jamat ma namaz parh sakta hay ya nahe.
uc shaks ka kahna hay ke ma neyat furada ke karta hun or jamat ke sat namaz parta hun or woh namaz juma hay aya woh thek karta hay ya nahe.
Talib e dua.
Syed Khawar Abbas Zaidi
Country
Karachi - Pakistan
Answer
w.s. namaze juma ke sahih hone ke liye jamat ke sath padhna zaroori he, ise furada ada karna sahih nahi. (tawzihul masail Aytulla Sistani (d.b.) masala no.720)
Hazrat Zain-ul-Abideen(a.s) nay namaz-e-juma parhne walay ko malamat ki hai. Bcoz ye haq IMAM ka hai .. and I have never seen Hazrat Sistani or Hazrat Khamanie k wo Juma ki namaz parhye ho.
What is the reason then ?
Country
karachi - pakistan
Answer
bismehi taala, masoomeen alhemus salam ki janib se ham par kya zimmedari ayed hui he is ka tayyun sab se ziyad ilam rakhne wala jameush shrayet mujtheed hi kar sakate he, aur wo ham se yaqeenan seerate masoomeen alhemus salam se ziyada waqif he, jahan taq marajeen ki namaze juma ka talluq he to aap iran k televisions par Aytullah Khamenei ki namaze juma ko mushaheda kar sakte he. namaze juma k mutalliq Aytullah Seestani farmate hain: jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)
Asalam Elekum
Juma ki namaz na parhna, ghar per bhtey rehna, kia 3 juma na perhna tajdid e iman krana perhta hey.
Country
Karachi - Pakistan
Answer
w.s., jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)
bismehi taala, Aihtiytat-e-Wajib ki bina par dono khutboon ka sunna wajib hay laikin jo log khutboo kay meaning na samajhtay hoon un kay liye sunna wajib nahi hay (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.742) (bethney k liye koi makhsoos tariqa zaroori nahi he)
agar masjid jaymusalla ho awar loogon ke tadad bhe kam ho awar dosre masjid bhe 100 meter kay fasilay per ho to kya nimaz jumma she towr par ada hojayge ya nahi
Country
islamabad - pakistan
Answer
bismehi taala, jume ki do namazo k darmiyan ek farsakh se kam phasela nahi hona chahiye (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 720)
Q.1- Agar main Naamaz-e-Jumma agar wajib-e-tehremi ki neyat say perta hoon to zoher ki namaaz sunnat ki neyat say perhoon ya farz ki.
please jawab jald dain. shukriay
Country
karachi - pakistan
Answer
B.T. jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)
asslaam-o-alikum
agar namaaz-e-jumma ko wabib-e-tehreemi perhain (jaisa ky ayatullah seestani ki tozeh main likha hy) to zoher ki namaaz ko sunnat ki neyat say perhain ya wajib ki.
2nd Q. namaaz-e-jumma main aik masjid say doosri masjid mian kitna fasla hona chahey.
Country
karachi - pakistan
Answer
1. juma (friday) ki namaz wajib-e-takhyeeri hai. lihaza agar namaz-e-juma ki sharait (conditions) maujood ho to juma ki namaz parhay. aur agar insaan juma ki namaz parh lay to phir zuhar ki namaz parhna wajib nahi hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, masla no. 720.
2. juma ki 2 namazon kay darmiyan 1 farsakh (means 5.485km or 3.409miles) se kam ka fasila nahi hona chahiyeh. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, masla no. 720.
asslamo likom. app ney ik sawal key jawab mey kaha,(key ager joma ki namaz ki tamam saraid mojod hon). baraey karm. keya app wo sharaet bata saktey han walikom salam . hamid...madina gujrat
Country
gujrat - pakistan
Answer
Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka dakhil hona,jo kay Zawal-e-Aftab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zaroori hay kay zohar ki namaz ada ki jaey...2:Namaz parhnay waloon ki tadad jo kay Imam kay saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan ikathay na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti...3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti...Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain ...1:Ba-Jamat parha jana...2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna...3:ye kay Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 KM (Sarhay Paanch Kilometer) ka fasla maujood ho)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.123 Masala No.720.
aok, if a person wants to offer jumma as well as zohar prayers then what will be his niyat for both zohar and jumma prayers?
Country
karachi - pakistan
Answer
Agar Namaz-e-Juma apni tamam sharait kay saath ada ki ja chuki hay to zohar ki namaz parhna jaiz nahi hay...Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka dakhil hona,jo kay Zawal-e-Aftab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zaroori hay kay zohar ki namaz ada ki jaey...2:Namaz parhnay waloon ki tadad jo kay Imam kay saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan ikathay na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti...3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti...Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain ...1:Ba-Jamat parha jana...2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna...3:ye kay Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 KM (Sarhay Paanch Kilometer) ka fasla maujood ho)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.123 Masala No.720,I-23.
SALAM
KIA JUMA NAMAZ PHARNA WAJIB HAI OR KHUTBA SUNE K KIA EHKAM HAI
TAI PHANA HARam hai ya nahi
Country
KARACHI - PAKISTAN
Answer
Ghaibat e Imam(AS) kay zamanay main Namaz-e-Juma Wajibe-e-Aini nahi hay,balkay Wajib-e-Takheeri hay.Is se muraad ye hay kay Juma kay din mukallaf ko Ikhtiyar hay kay Agar Namaz-e-Juma ki Sharait maujood hoon to Juma ki Namaz parhay ya Zohar ki Namaz parhay.Lihaza Agar insaan Juma ki Namaz parhay to wo Zohar ki Namaz ki Kifayat karti hay.(Yani phir Zohar ki Namaz Parhna zaroori nahi hay)...Aihtiytat-e-Wajib ki bina par dono khutboon ka sunna wajib hay laikin jo log khutboo kay meaning na samajhtay hoon un kay liye sunna wajib nahi hay...Tie pehenna bazaat-e-Khud Haram nahi hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.722,720...Book-2 Q.No.185,Pg.185.
asslamo likom. namaz e joma key bad zoher ki namaz parni chaey ya nahen. agr parni cheay tu iss ki neayet keya ho ge. walikomsalam. hamid shah
Country
gujrat - pakistan
Answer
Agar Namaz-e-Juma ki tamam sharait maujood hoon aur phir juma ki namaz parhay to phir ye Namaz-e-Zohar ki kifayat karti hay.(yani Zohar parhna zaroori nahi hay)Ref:Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.720.