Sunni majority ka dawa hai ke Bibi Ayesha ki pakeezgi quran mein biyan ki gayi hai aur un ka Nikaah Nab-e-Pak sawaw ke sath arsh par hua tha , Soorah e noor ki tashreeh o tafseer konsi website se mil sakti hai?.
Country
Lahore - Pakistan
Answer
bismehi taala, sure noor me bibi ayesha ki jis pakeezgi ki bat ki gaee he woh us ilzam k silsile me thi k jo bibi ayesha par lagaya gaya tha, sure noor ke shane nuzul k silsile me jis waqee ko bayan kiya jata he is hawale se to shia aur sunni me koi ikhtelaf nahi he k woh ilzam jo bibi ayesha par lagaya gaya tha woh galat tha, aur khud quran ne bhi yeh wazeh kar diya he, magar kisi ko kisi ek burae se pak qarar dena us ki puri zindgi k achha hone par dalalat nahi karna, arsh par nikah ki bate aysa daawa he k jis ki koi daleel moatabar kitabo me nahi he, is me koi shak nahi k bibi aysesha zawj-e-rasool s.a.a.w. the maga nabi s.a.a.w. ki jawja ya rishtedar hona usi waqat mufeed ho sakat he jab muqammal tor par nabi s.a.a.w. ki farameen ki pervi ki jae warna Hazrat Nooh a.s. aur Hazarat Loot a.s. ki zawja ki misale hamare samne he. soorhe noor ki tafseer ke liye aap tafseere namuna ki tarf ruju kar sakte he k jo urdu me bhi availabel he.
SLAM MERA SAWAL HAY K SORAH AL HAMD MIEN HAY K [HUM TERI HI IBADAT KARTAY HIEN OR TUJH SE HI MADAD CHAHTAY HIEN] TO KYA HUM YA ALI MADAD KEH SAKTAY HIEN?
Country
DERA ALLAH YAR - PAKISTAN
Answer
w.s. is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hain, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hain or in ki itaat khuda ki itaat hain
salam alaikum
mera sawal ye hai ki shia hazrat Muhammad (Sl.) ke sahabi aur jowja ko gali kio dete hai pahli baat to yeh ki Muhammad (Sl.) ke yeh sab kareebi the in se khata hone ki gunjaish nahi hai agr nosibillah kuch hai bhi to ek amm admi ko admi ko kia haq hai ki woh sahabae rasool ki tauheen kare kia apki hadees me kahi jikr hai hazrat Ali ne Ya aur kisi sahabi ne inko public me gali di ye to bahut hi julm ki bat hai ki Ali Rj. ke nam per aur sahaba ko gali de meri samajh me to shia hazrat sahaba ko gali dekar Ali Rj. ki khud hi tuheen karte hai Aur apki nazar me aise karne wala iman wala hai
Country
dubai - uae
Answer
w.s. shia mazhab me gali dene or fahesh kalam karna jaiz hi nahi he to phir kayse mumkin he ke kisi ko gali dee jati ho ? na manna alag cheez he or gali dena alag cheez he, shia hazrat hazart Mohammad slllaho alhe w alehi wsallam ke farman ki roshni me quran or ahle bayte rasool (s.a.w.) se wabsta he.
phelay to yeh samajhnay ki zaroorat hai keh shia kisay kaha jata hai? aur Rasool SAWW ne shia ka lafz istimaal kia ya nahi kia? aur phir Rasool SAWW ne shia ka lafz kyon istimaal kia? to shia kay urfi manay "Hazrat Ali AS. aur un ki aulaad kay perokar" kay hain. aur baqi raha yeh sawal keh Rasool SAWW ne lafz-e-shia ka istemaal kia ya nahi? to biradiraan-e-ehle-sunnat ke jayyad alim Maulana ubaidulllah amar tasari ne Hazrat Ali AS ki sawaneh-umri ("arjah-ul-matalib fi manaqib-e-asad-ul-allah algalib", pg no. 657-659, tib-e-qadeem, matbooa Lahore) mein Rasool SAWW ki woh bohat sari ahadees ikhatti likkhi hain jin mein Nabi-e-Kareem SAWW ne Hazrat Ali AS ke perokaron ko Shia ka laqab diya aur unhain jannat ki basharat di. For eg. Jabir bin abdullah se riwayat hai ke hum Rasool SAWW ke hozoor mein hazir thay ke Hazrat Ali AS tashreef lai. Rasool SAWW ne irshaad farmaya: qasam hai us zaat ki jis kay qabzay mein meri jaan hai, yeh (Ali AS) aur in kay Shia pas wohi qayamat kay rauz jannat kay rafii darjoo mein pochnay walay hain aur ussi halat mein yeh ayat nazil huwi ke "woh loog jo eeman lai aur naik kaam kartay hain, wohi loog sab khilqat se achhay hain". (Refrences: akhrajuhu ibn-e-asakir, pg no. 442.......alkhawarazimi, fasal no. 9, pg no. 62...........as-siyuti, fasal no. 17, pg no. 186..............fi dur-il-mansoor 6/379) (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 50) yeh sawal bhi bara eham hai keh Rasool SAWW ne yeh kyon farmaya ke Hazrat Ali AS aur un ke Shia hi aakhirat mein kaamyaab hongay? warna Rasool SAWW yeh bhi farma saktay thay keh qayamat ke din wohi loog kaamyaab hongay jo Quran ki taleemaat aur meri sunnat o tareeqay par chalaingay. is ki sidhi sadhi waja yehi nazar aati hai keh Rasool SAWW apnay baad is ummat mein honay wali "guroh-bandi" se aghaa thay. aur jis kay mutaliq Aap SAWW ne apni zindagi mein bhi yeh afsoosnaak khabar di thi keh meri ummat mein 73 firqay ban jaingay. Rasool SAWW yeh bhi jaantay thay keh is guroh-bandi ki soorat mein har gurauh ka daawa hoga keh woh hi Haq par hai aur unhi ka muaqqif (ideology) Quran & sunnat kay mutabiq hai. is liyay Rasool SAWW kay liyay yeh bhi zaroori tha keh Aap SAWW apnay baad us markaz (center) ki bhi nishandahi farma dain jis se milnay wala har hukum Quran & sunnat kay aain mutabiq ho. is liyay Rasool SAWW ne apnay baad Hazrat Ali AS ko apna Khalifa & Janasheen qarar diya. to hum me se kisi ne apnay liyay lafz-e-shia ka istemaal nahi kiya balkay yeh kaam to khud Rasool SAWW ne anjaam diya hai, aur is par khud Rasool SAWW razi hain. (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 53)
actually my father is a syed (naqvi)and my mom is a sunni so i all my life was confused to b honest but since last year i started my own research in london and now i m a complete shia beacuse i have found many ref in sunni books regarding what they do not believe i do discussions with a ahle hadith friend though my research in still on its way my question is who killed uthman the so called third caliph of islam and why did not mawla ALI a.s not find his murderer and punished them.
Country
london - uk
Answer
bismehi taala, 1) Hazrat Ali a.s. usman ko mazloom nahi samjhte the mgar is tarh qatal karna bhi achha nahi samjhte the (ref:tarikhe tibri jild 3 page 254) 2) khud hazrate ayesha ne usaman k liye kaha tha "yeh naasal yahudi ho gya he use qatal kar do" (ref:tarikhe tibri jild 3 page 76) 3)Hazrat Ali a.s. pure arasae khilafat Aap a.s. k khilaf ki jane wali jangho ka muqabla karne me masroof rahe. 4) usman ke qatilo me Mohammab bin abi bakr shamil the, aur ek riwayat k mutabiq unhone tisre khalifa ki dathi pakdi huee thi, jis par tisre khalifa ne kha k tumhare bap ne kbhi mere sath aysa suluk nahi kiya, Mohammad bin abi bakr ne jawab diya k tum ne mere bap ke waqat aysi harkatain bhi nahi ki thi.
Please give me quran refrence that would make me clear that our first khalifa is imam ali a.s.....if possible provide me with aayat numbers and english translations because i have to clear the doubts of a ahle-sunnat...
Assalam-u-alaikum
Mera Saval ye hy k Quran mein kahein per hath khol kr nemaz parhnay ka bayan aya hy ya nahi.
Country
Karachi - Pakistan
Answer
w.s. har hukm-e-sharyi kay liyay zaroori nahi keh woh quran mein maujood ho. quran-e-saamit mein na sahi quran-e-naatiq nay to poori zindagi haath khol kar hi namaz parhi, yehi sab se bari daleel hai. Bukhari ki mashoor tareen hadees hai, jis mein Rasool S.A.W.W. farmatay hain: SALLU KAMA RA-AITUMUNI USALLI (tum us tarhan namaz parho jis tarhan mujhay namaz parhtay dekhtay ho.). hairaankun baat yeh hai keh Rasool S.A.W.W. yeh amal (yanay namaz) apni zindagi mein 1 or 2 times nahi baja lae aur na hi Rasool S.A.W.W. nay logo se chup kar namazain parheen. is key bawajood sirf panjagana namaz (5 time prayers) mein ehle-sunnat kay 5 alag alag (different) nazaryaat bangae. Hazrat Ali A.S. jo khud ehle-sunnat kay liyay khalifa-e-rashid ki haisiyat rakhtay hain, Bukhari & Muslim ki riwayat mein hai keh Matraf-bin-abdullah kehtay hain keh hum nay Basra mein Hazrat Ali A.S. kay peechay namaz parhi. jab hum namaz se farig huway to Imran-bin-haseen jo ke sahabiy-e-Rasool thay, unho nay mera haath pakar kar kaha: Unho nay (yanay Hazrat Ali A.S nay) aisi namaz parhai jaisi Rasool S.A.W.W. parhaya kartay thay. ya yoon kaha keh unho nay mujhay Rasool S.A.W.W. ki namaz yaad dila di. (REF. No.1: tayassar-ul-bari sharh-e-bukhari, jild no. 1, pg no. 544 & REF No.2: sahi muslim maa mukhtasar sharh-e-nuwi, jild no. 2, pg no. 20, translated by waheed-uz-zaman). is ka matlab Rasool S.A.W.W. ki wafaat hotay hi tareeqa-e-namaz mein tabdeeli ho chuki thi, warna Rasool S.A.W.W. aur Ashaab-e-Rasool haath khol kar hi namaz parha kartay thay. jaisay Aaini sharh-e-kanzu-ud-daqaiq, pg no. 250, nolakhshur (i.e a book name) mein likhtay hain: Rasool S.A.W.W. aur aap kay sahaba haath khol kar namaz parhtay, yahan tak keh un ki ungaliyoon (fingers) kay siro mein khoon (blood) utar aata. REF: Shiyat ka muqadima, pg no. 233+226+239+237.
bismehi taala ya ali madad khena Jaiz hay.( Ref:Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hain, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hain or in ki itaat khuda ki itaat hain
Kuch log Kehtay hain Ya Muhammad kehan jaiz nahin hay
Country
Faisalabad - Pakistan
Answer
bismehi taala, is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (pub. by jamia talimate islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hain, mukhtasaran yeh ke ya Muhammad (s.a.a.w.) madad ham is liye kahate hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hain, goya in se madad manghna khuda se madad mangna hain or in ki itaat khuda ki itaat hain
I WANT TO KNOW ARE THOSE PEOPLE NON MUSLIM WHO SAYS THIS CURRENT QURAN IS INCOMPLETE AND REAL QURAN BRING BY LAST IMAM MEHDI AS ? as lots of shia alim say curent quran have mises some verse purily come in respect of prophet sw progany what ur fatwa agaisnt them ?
Country
gujranwala - PAKISTAN
Answer
bismehi taala, hamara aqida he k woh quran jo Khuda ki tarf se Hazrat Mohammad (s.a.a.w.) par nazil huva tha wahi quran aaj bagair kisi ziyadati aur kami k musalmano k pas mojood he. (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 3 page 96)
abubakar,usman,umar bohat bure hai or in ki ata at nahi karni chaye,is baat ko quran se bata de ayit number k sath plz jawab dijiye ga
Country
karachi - pakistan
Answer
bismehi taala, Quran-e-Majeed main Khudawan-e-Kareem nay irshad farmaya hay kay =tumhara wali o sarparast Khuda aur us ka Rasool aur wo log hain jo Iman laey aur namaz ko qaim karnay walay hain aur halat-e-rukoo main zakat detay hain= Sura Maida Ayat No.5..Riwayaat main ye baat sabit hay kay halat-e-rukoo main zakat sirf molaey kainaat shehenshaah-e-wilayat Ali ibne Abi Talib A.S nay ada ki hay,to is say sabit hay kay Hazrat Ali A.S Allah kay wali hain. jab parvadigar aalam ne apni, apne rasool (s.a.a.w.) ki aur apne wali Imam Ali (s.a.) ki hi itaat wajib ki ho to phir kisi aur ki itaat ki zaroorat hi nahi he.
meri aksr wahabio se behais hoti hai.us ne mujh se kaha k agar abobakar umar itne bure thay to ali(a.s) ne apne beto ka naam abobakar or umar q rakha plz jawab dijiey ga
Country
karachi - pakistan
Answer
bismehi taala, naam sare-hi b-zate khud achhe hi hote he isi liye har shakhs naam rakhte waqt us-ka intekhab karta he, baaz awqat hota yeh he k achhe nam rakhne wale logo ke aamal bure hote he jis ki wajeh se nam bhi bure lagane lagte he. Abubakr, Umar aur Usman nam k hamil achhe log bhi tarikh me guzare hain 1) Abu bakr ke nam ke ek sahabi the k jinhone khalifa-e-awal (abu bakr) ko khilafat gasb karne par toka tha (ref: kitabul yaqeen ibn jareer page no.108) 2) Umar bin salam ek sahabi the k jinka jange jamal se wapsi par ayesh se mukalema huva tha isi tarh ek aur sahabi umar bin malik bhi the. 3)usman bin mazoun ek buzurg sahabiye rasool s.a.w.w. the k jo hayate paygambar s.a.w.w. me hi wafat paye the aur aap s.a.w.w. ne un ki namaze janaza padhaee thi is k alawa usman bin hanif nam k ek sahabi the k jo Moula Ali a.s. ki khilafate zaheriya k zamane me aap a.s. ki tarf se basara k governor the k jinko talha aur zoober k basara par hamle k darmiyan be-dardi se shaheed kar diya gaya.
mukhtasar yeh he k us zamane me yeh naam aam tor par rayej the aur yaqeenan Moula Ali a.s. ne in achhe sahabiyo ko madde nazar rakh kar hi apne farzando k nam rakhe the na k un logo ko madde nazar rakh kar jo dukhtare rasool s.a.w.w.ka ghar jalane aye the.
who are ismailiya and zaid in shia and whose followers r they
Country
pune - india
Answer
bismehi taala, Imam Jaafare Sadiq (a.s.) ke baad Hazrate Ismail (k jin ki wafat Imam Sadiq (a.s.) ki zindgi me hi ho gai thi) ko Imam manne wale Ismaili he aur Imam Zainul Abedeen (a.s.) ke baad Hazrate Zaid shaheed ko imam manne wala firqa Zaidiya khelata he, yeh dono firqe is eatebar se shia he k Rasulullah (s.a.a.w.) k baad Moula Ali (a.s.) ko bila fasl Khalifa mante hain, albatta yeh log bich me bhatak gaye aur shia isna asheri nahin hain.
Ziadi kiss ki IMAAM ki aulad hen ? kya ye Syyed hen?
Country
Karachi - Pakistan
Answer
bismehi taala, Imam zainul abedin (a.s.) k farzand Hazrate Zaid shaheed ki awalad ko zaidi kaha jata he aur yeh isna ashere shia syed shumar hote hain, albattla yeh bhi zahen me rahe ke zaidi nam ka ek firqa bhi he jin ka isna asheri shio se koi taalluq nahi hain.
Was Prophet Mohammed s.a.w Shia or Sunni ??
Prove it please ..
May God Bless You .
Country
Karachi - Pakistan
Answer
phelay to yeh samajhnay ki zaroorat hai keh shia kisay kaha jata hai? aur Rasool SAWW ne shia ka lafz istimaal kia ya nahi kia? aur phir Rasool SAWW ne shia ka lafz kyon istimaal kia?
to shia kay urfi manay "Hazrat Ali AS. aur un ki aulaad kay perokar" kay hain.
aur baqi raha yeh sawal keh Rasool SAWW ne lafz-e-shia ka istemaal kia ya nahi? to biradiraan-e-ehle-sunnat ke jayyad alim Maulana ubaidulllah amar tasari ne Hazrat Ali AS ki sawaneh-umri ("arjah-ul-matalib fi manaqib-e-asad-ul-allah algalib", pg no. 657-659, tib-e-qadeem, matbooa Lahore) mein Rasool SAWW ki woh bohat sari ahadees ikhatti likkhi hain jin mein Nabi-e-Kareem SAWW ne Hazrat Ali AS ke perokaron ko Shia ka laqab diya aur unhain jannat ki basharat di.
For eg. Jabir bin abdullah se riwayat hai ke hum Rasool SAWW ke hozoor mein hazir thay ke Hazrat Ali AS tashreef lai. Rasool SAWW ne irshaad farmaya: qasam hai us zaat ki jis kay qabzay mein meri jaan hai, yeh (Ali AS) aur in kay Shia pas wohi qayamat kay rauz jannat kay rafii darjoo mein pochnay walay hain aur ussi halat mein yeh ayat nazil huwi ke "woh loog jo eeman lai aur naik kaam kartay hain, wohi loog sab khilqat se achhay hain". (Refrences: akhrajuhu ibn-e-asakir, pg no. 442.......alkhawarazimi, fasal no. 9, pg no. 62...........as-siyuti, fasal no. 17, pg no. 186..............fi dur-il-mansoor 6/379) (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 50)
yeh sawal bhi bara eham hai keh Rasool SAWW ne yeh kyon farmaya ke Hazrat Ali AS aur un ke Shia hi aakhirat mein kaamyaab hongay? warna Rasool SAWW yeh bhi farma saktay thay keh qayamat ke din wohi loog kaamyaab hongay jo Quran ki taleemaat aur meri sunnat o tareeqay par chalaingay. is ki sidhi sadhi waja yehi nazar aati hai keh Rasool SAWW apnay baad is ummat mein honay wali "guroh-bandi" se aghaa thay. aur jis kay mutaliq Aap SAWW ne apni zindagi mein bhi yeh afsoosnaak khabar di thi keh meri ummat mein 73 firqay ban jaingay. Rasool SAWW yeh bhi jaantay thay keh is guroh-bandi ki soorat mein har gurauh ka daawa hoga keh woh hi Haq par hai aur unhi ka muaqqif (ideology) Quran & sunnat kay mutabiq hai. is liyay Rasool SAWW kay liyay yeh bhi zaroori tha keh Aap SAWW apnay baad us markaz (center) ki bhi nishandahi farma dain jis se milnay wala har hukum Quran & sunnat kay aain mutabiq ho. is liyay Rasool SAWW ne apnay baad Hazrat Ali AS ko apna Khalifa & Janasheen qarar diya.
to hum me se kisi ne apnay liyay lafz-e-shia ka istemaal nahi kiya balkay yeh kaam to khud Rasool SAWW ne anjaam diya hai, aur is par khud Rasool SAWW razi hain. (REF: Shiyat ka muqaddima, pg no. 53)
The person who do not believe in Imamat and Adl in usool-e-deen ,he is considered a person But if the person openely propagate violations regarding above two aqaid of deen yet he be considered a muslim n will he b considered paak? regarding the same what abt the day of Judgement?
Country
khi - pk
Answer
agar koi shaks aisi cheez ka inkaar karay jo Rasool SAWW ki takzeeb ka sabab banay, chahey woh un aqaid mein ho jinhain Rasool SAWW nay hum tak ponchaya hai Example: Aqeeda-e-qayamat, (Aqeeda-e-adal-e-Ilahi), waghaira. ya aqaid ke ilawa ho Example: wajibaat, Zil-Qurba se muwaddat karna, wagaira. to is soorat mein woh kafir kehlai ga, aur najis bhi ho ga. (REF: www.sistani.org, arabic, alkuffar, pg no. 1, ques. no. 1)
isi tarha jo shaks bara imamo (Twelve Imams) mein se kisi aik ko bhi dushmani ki bina par gali de ya laanat karay, woh bhi najis hai. (REF: Tawzeeh-ul-masail, masla no. 107 ,www.sistani.org, arabic, alkuffar, pg no. 1, ques. no. 1)
1:why we open hands in prayer refrence some ayat.
2:why there is no zakat on rupees notes
3:if this the case then every one converts the things into money
4:when i goto bathroom and od istebra after some time i feel some drops coming out are these najis
5:why we offer both prayers at same time time
Country
lahore - pakistan
Answer
Aap ke sawal ka jawab Qusestion ID: 851 per phelay hi dia ja chuka hai.
akhri sawal jo aap ne abhi poocha hai is ka jawab yeh hai ke:
ahle-sunnat ki do (2) mashoor kitabain SAHIH BUKHARI aur SAHIH MUSLIM mein sarahatan (clearly) riwayat maujood hai ke khud Rasool SAWW ne aik hi waqt mein do (2) namazain aik saat ada kii.(Ref: Tayassar-ul-baari sherh-e-bukhari, jild no.2, pg no. 187, translated by Maulana Waheed-uz-zamaan khan, kitab-ut-tahajjud, published by taj company limited)
Hazrat Ibn-e-Abbas se riwayat hai ke:
Mein ne Rasool SAWW ke saat (zuhar aur asar) 8 rakatain aur (maghrib aur Isha) 7 rakatain mila ker parhi. Amr (name of a person) ne kaha, mein ne Abu-ush-shiqa se kaha, mein samajhta hoon ke (Rasool SAWW) ne zuhar mein dair ki aur asar mein jaldi aur Isha mein jaldi ki aur maghrib mein dair ki. Abu-ush-shiqa ne kaha, mein bhi aisa hi samajhta hon(Ref: Sahih Muslim ma-a mukhtasar sherh-e-nuwi, jild no.2, pg no.224-225, translated by Maulana Waheed-uz-zamaan khan, published by nomani kutub khana,urdu bazar,lahore)
Ibn-e-Abbas se riwayat hai ke woh kehtay hain ke Rasool SAWW ne zuhar aur asar aur maghrib aur isha ko madina mein bagair khauf aur bagair barish ke, jama kar ke parha.
Wakee (name of a person) ki riwayat mein hai ke mein ne Ibn-e-Abbas se kaha ke (Rasool SAWW) ne yeh kyon kia? to unho ne kaha, ta ke (Rasool SAWW) ki ummat ko takleef na ho.
Abi Muawiya ki riwayat mein hai ke Ibn-e-Abbas se kisi ne kaha ke kis iraday se (Rasool SAWW) ne yeh kia? unho ne kaha, ta ke (Rasool SAWW) ki ummat ko takleef na ho.
(Refrences of all above is in a book named SHIAT KA MUQADDIMA, pg.no. 252 & 254)
1:ayat from quran that why we open hands in namaz
2:why there is no zakat on rupees notes
3:if this(zakat not on rupees) then every one convert the things in money to save zakat
4:when i goto wash room after doing pis i do istebra then after that i feel that some drops are coming after some time are these najis
Country
lahore - pakistan
Answer
1. har hukm-e-sharyi kay liyay zaroori nahi keh woh quran mein maujood ho. quran-e-saamit mein na sahi quran-e-naatiq nay to poori zindagi haath khol kar hi namaz parhi, yehi sab se bari daleel hai.
Bukhari ki mashoor tareen hadees hai, jis mein Rasool S.A.W.W. farmatay hain: SALLU KAMA RA-AITUMUNI USALLI (tum us tarhan namaz parho jis tarhan mujhay namaz parhtay dekhtay ho.). hairaankun baat yeh hai keh Rasool S.A.W.W. yeh amal (yanay namaz) apni zindagi mein 1 or 2 times nahi baja lae aur na hi Rasool S.A.W.W. nay logo se chup kar namazain parheen. is key bawajood sirf panjagana namaz (5 time prayers) mein ehle-sunnat kay 5 alag alag (different) nazaryaat bangae.
Hazrat Ali A.S. jo khud ehle-sunnat kay liyay khalifa-e-rashid ki haisiyat rakhtay hain, Bukhari & Muslim ki riwayat mein hai keh Matraf-bin-abdullah kehtay hain keh hum nay Basra mein Hazrat Ali A.S. kay peechay namaz parhi. jab hum namaz se farig huway to Imran-bin-haseen jo ke sahabiy-e-Rasool thay, unho nay mera haath pakar kar kaha: Unho nay (yanay Hazrat Ali A.S nay) aisi namaz parhai jaisi Rasool S.A.W.W. parhaya kartay thay. ya yoon kaha keh unho nay mujhay Rasool S.A.W.W. ki namaz yaad dila di. (REF. No.1: tayassar-ul-bari sharh-e-bukhari, jild no. 1, pg no. 544 & REF No.2: sahi muslim maa mukhtasar sharh-e-nuwi, jild no. 2, pg no. 20, translated by waheed-uz-zaman). is ka matlab Rasool S.A.W.W. ki wafaat hotay hi tareeqa-e-namaz mein tabdeeli ho chuki thi, warna Rasool S.A.W.W. aur Ashaab-e-Rasool haath khol kar hi namaz parha kartay thay. jaisay Aaini sharh-e-kanzu-ud-daqaiq, pg no. 250, nolakhshur (i.e a book name) mein likhtay hain: Rasool S.A.W.W. aur aap kay sahaba haath khol kar namaz parhtay, yahan tak keh un ki ungaliyoon (fingers) kay siro mein khoon (blood) utar aata. REF: Shiyat ka muqadima, pg no. 233+226+239+237.
2. A.Sistani kay nazdeeq jis maal ka insaan muawiza day kar malik huwa ho aur us nay woh maal tijarat aur faida hasil karnay kay liyay mehfooz rakha ho to chand sharait kay saat ehtiyaat ki bina par zaroori hai keh us ka chaleeswa (40th) hisa bataur-e-zakaat day. (to is surat mein rupay par bhi zakat ehtiyaat ki bina par wajib ho jaigi). REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, maal-e-tijarat ki zakat, pg no. 285.
3. is kay ilawa wali surato mein for example gehoon (wheat) aur jao par zakat us waqt wajib hoti hai jab inhain "gehoon" aur "jao" kaha jae. lihaza agar koi shaks gehoon aur jao par zakat wajib honay kay baad khetoon aur darakhtoon ko baich bhi day tab bhi baichnay walay par is ki zakat daina wajib hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, masla no. 1824+1834.
4. (agar sahi tareeqay kay mutabiq istibra kiya hai aur phir) yeh ehtimaal ho raha hai keh peechab (urine) hai to is surat mein woh rutubat (liquid) paak samjhi jae gi. REF: A.Sistani, minhaj-us-saliheen, jild no. 1 (ebadaat), alfasl-ur-rabe: kaifiyat-ul-istibra.
shia ka kalma kahan se sabit hai? Quran main toh sunni ka kalma mil jata hai ek saath nahin lekin alag alag hi magar Ali un Wali Ullah kahin nahin milta poore Quran main toh shia yeh kalma kaise parhte hain?
Country
Karachi - Pakistan
Answer
Quran-e-Majeed main Khudawan-e-Kareem nay irshad farmaya hay kay =tumhara wali o sarparast Khuda aur us ka Rasool aur wo log hain jo Iman laey aur namaz ko qaim karnay walay hain aur halat-e-rukoo main zakat detay hain= Sura Maida Ayat No.5..Riwayaat main ye baat sabit hay kay halat-e-rukoo main zakat sirf molaey kainaat shehenshaah-e-wilayat Ali ibne Abi Talib A.S nay ada ki hay,to is say sabit hay kay Hazrat Ali A.S Allah kay wali hain.