1. awratoon ke kitne gusool hain or kon kon se?
2. agar awrat ko kisi bina per muni nikalti hai tu gusool wajib ghai?
Country
Karwar - India
Answer
1) Aurton per 7 ghusl wajib hain:
1) Ghusl e Janabat 2) Ghusl e Haiz 3)Ghusl e Nifaas 4)Ghusl e Istehaza 5)Ghusl e masay mayyit 6)Ghusl e mayyit
7)Wo ghusl jo nazar ya qasam waghairah ki wajah say wajib ho jaay.
Or agar chaad ya soraj ko mukammal girhan laga ho or mukallaf jaan boojh ker namaz e ayaat nah perhay yahaan tak keh namaz qaza hojaay tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay keh is namaz ki qaza k liay ghusl karay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#344 ki heading).
2) Jee haan, aurto k jism say bhi mani kharij ho tu on per bhi namaz perhnay k liay or aisi hi dosri ibdaat k liay ghusl kerna wajib hojata hay.Wo rutubat jo aurat say shewat k saath kharij hoti hay, agar is had tak ho keh osay inzaal(discharging of semen) or libaas ko aloodah(dirty) kerday,ye aam taur per os waqt nikalti hay jab aurat hijaan e shewat ki intehaa(maximum stage of lust/sex) tak pohanch jay,tu aisi rutubat najib bhi hogi os is k nikalnay per aurat ko ghusl e janabat bhi kerna zarori hoga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345,356).
Nafas ka gusl kis tarike se kiya jata hai uski kya duwa hai.plz bataye
Country
mumbai - india
Answer
Tamaam wajib or mustahab ghusl ka tareeqa aik hi hay.ghusl e nifaas ka bhi tareeqa waisa hi hay jaisa ghusl e juma ya janabat ka ghusl. ghusl main koe bhi dua perhna wajib nahi hay.
Ghusl ka tariqa:
Sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa(Right) or baad main ulta(Left) hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360)
assalamu alaikum
wat is the dua for gusul-e-jinabat(At first night(hambistari ke bad), mard our ourat keliye gusul ki duva kya hai?)
2) kya shadi se pehle hambistaree gunah hai?( shadi hone valee ladkike sath)
Country
bengalore - india
Answer
1)Ghusl e janabat kertay wqat dua perhna wajib nahi hay.ye dua perhna behter hay.
Çáªã ØªÑ ÞáÈی æÇÔÑÍ áی ÕÏÑی æ ÇÌÑ)
(Úáی áÓÇäی ãÏ Íʘ æÇáËäÇÁ Úáی˜ Çááªã ÇÌÚáÀ áی تæÑÇ æ ÔÝÇÁ æ äæÑÇ Çä˜ Úáی ˜á ÔیÁ ÞÏ یÑ۔
“allaahumma tahhir qalbee washrah lee sadree wa ajri alaa lisaanee midhatak wassana.a alaik allaahummajalho lee tahooraa washifa awa nooraa innaka alaa kulli shaein qadeer.”
2)Nikah say pehlay hambistari kerna haraam hay.(Ayatullah Seestani(d.b),jaded fiqhi masail,maslah # 429).
Salam o Alekum, Mujay Ghosul e Janabat ka tariqa batadain
Country
karachi - pakistan
Answer
Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah Khoe(d.b), tauzee hul masail,maslah#367-372).
ghus le janabat ka asal islam mein tariqa keya he (na ke molvies ke point of view se) jese kehtein hein ke moon mein / nak mein is had taq pani jaye to ghusal hoga verna nahi jism ka koi hisa khusk reh jaye to nahi ho ga is mein haqeeqat keya he
--- aghar mein sada naha lon beghair nak / moon mein panid dale / jism ka koi hisa khusk rehjaye to ghusle janabat ho jaye ga
Country
lahore - pakistan
Answer
Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- ehtiyaat laazim hay k sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar or garden ka koe hissa khushk hay tu dobaarah say ghusl karain or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif os hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzee hul masail,maslah#359 to 364)
Mera swaal yeh hai k nahaney ke doran wuzu ho jata hai ya alahda karna parega.agar nahaney ke doran sharmgah ko haath lag jai to wuzu baqi rahe ga .Nahaney ke doran wuzu ka kia tariqa hai?
Country
Faisalabad - Pakistan
Answer
Tamaam wajib or mustahab ghusl k baad, namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori nahi hay (siwaay ghusl e istihazah e mutwasitah k).or ghusl e janabat k baad namaz k liay wuzu kerna haram hay.Agar nahanay say aap ka matlab sirif aam nahana hay tu is say pehlay ya baad main namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori hoga.(ref: Ayat ullah Seestani (D.B),Tazee hul masail,Maslah # 389). or sharmgah ko haath laganay say wuzu batil nahi hota.wuzu sirif 7 Chezo say batil hota hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B),Tazee hul masail,Maslah # 322).
Assalamoalaikum...sir mer sawal ye hai k ..gusle janabat karnay sai phlay pooray jism ko acchi tarhan dhona zaroori hai ...ya sirf wohi hissa dho laina kafi hai jo nijiss hai..or agar gusal sai phlay jism ko dho laina wajib tha ..tu kya mere sary(all) rozay or namaz batil hain ....
shukriya
Country
karachi - Pakistan
Answer
w.s. sifr wahi hissa dhona kafi he jo najis ho (Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)
sir agar roozay k dauraan gusal farz hojaay to gusal krtay waqt kuli aur naak mai paani daal sktay ha issay roaza tootay ga to nai plzzzzz sir jaldi answer day dain
Country
d.i.khan - pakistan
Answer
bismehi taala, gusal me kuli karna aur nak me pani dal-na zaroori nahin (ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)
agar mujhay sir rozay main nend ma ahtlam hojat to us ka main kesay ghusal karoo
Country
karachi - pakistan
Answer
bismehi taala,(agar jism par koi najasat lagi huee ho to ghusal se pehle use hata lena chahiye aur us k baad) Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)
sir jee jaise apne kaha ke sab se pehle sar aur gardan ko dhona chahiye ye humne wuzu karne se pehle karna hai ya baad main aur dosri bat ye ke sar dhote hue paani jism main bhi lag jata hai aur gardan ko kaise dhoye ge aur agar sar dhote hue shoulder per ya jism ke kise aur hisse main paani lag jaye tu usse kuch hota tu nahi thanx question thoda ziada lamba tha plz reply lazmi karna bye thakz
Country
lahore - pakistan
Answer
Ghusl main ehtiyaat e lazim ye hay k niyat k saath pehlay sar or garden ko mukamal taur per dhoya jaay,or os k baad pora jism ko dhoya jaay,or behtar ye hay jism ko do hisso main dhoya jaay pehlay jism ko daain taraf(right side) say or baad main jism ko baain taraf(left side) say jism ka koe bhi hissa khushk(dry) nah rehjaay.sar or garden ko dhotay waqt agar paani jism k kisi or hissay(maslan shoulder) per bhi lag raha ho tu koe maslah nahi. Tamaam wajib or mutahab ghusl k kernay k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori nahi hay albatta mustahab hay k wuzu karain. Laikin ghusl e janabat k baad tu zarori hay k wuzu nah karain.or ghusl e istihaza e mutawassitah (aurato ka aik ghusl) k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna hoga. (ref”Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#360,389) .
sir jee agar mujhe per ghusl janabt farz nahi hai aur jumma hai tu uski niyyat kiya hogi aur wo ghusl kaise karna hai plz jaldi bata dena bcoz kal jumma hai isliye thanks
Country
lahore - pakistan
Answer
bismehi taala, ghusle juma karta hoo qurbatan elal-llah, yeh niyyat karna kafi he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.651)
sir jee agar ghusl janabt mujh per farz ho gaya hai aur jumma bhii hai tu iski kiya niyyat hogi plz batana lazmi thanks
Country
lahore - pakistan
Answer
bismehi taala, ghusale janabat aur ghusle jumma dono ki niyyat kar ke ek hi ghusal kiya ja sakta he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.395)
sir jee 7 gusul farz hai apne bataya tu iska tareeqa bhi bata de ?
Country
lahore - pakistan
Answer
bismehi taala, Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367
sir ji main gusul pehle aise karta tha apne btana hai ke wo sahi tha ya galat jahan per janabt lagi hoti thi usko pak karna phir poora wuzu karna aur phir 3 bar right shoulder per pani bahana aur phir 3bar left shoulder per aur phit pore jism main tu kiya main ye gusul sahi karta tha ?
Country
lahore - pakistan
Answer
bismehi taala,(agar jism par koi najasat lagi huee ho to ghusal se pehle use hata lena chahiye aur us k baad) Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380) (agr is tariqe se aap ne ghusal kiya ho to saheeh he)
agr roza ki halt ma soty hoy insan napak ho gya to fraz gusal kis trha kry
Country
shahdara - pakistan
Answer
bismehi taala, Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)(agar jism par koi najasat lagi huee ho to ghusal se pehle use hata lena chahiye)
gusul karne ki niyat plz tell me right now bcoz mere pass time bohat kam hai plzzzz
Country
lahore - pakistan
Answer
bismehi taala, yeh zaroori nahi k gusal k waqat niyyat kare k wajib gusal kar raha he, balk faqat qurbatan allllah yaani Allah taala ki reza k irade se gusal kare to kafi he.(ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.364)
salam un alikum
i would like to ask kia koi shsks or us ki biwi aik dusray ki sharamgah ko suck kar saktay hain.plz send the answer.kia ya halal ha?
Country
Lahore - pakistan
Answer
w.s., aap k sawal k jawab k liye Aytullah Khamenei ka refrence availabe nahi he, aap apne sawal k liye www.wilayah.org ya www.khamenei.de par ruju karain.
bismehi taala, Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367
bismehi taala, ghusal k qasd se pahele sar aur gardan aur phir jism ka baqi hissa dhoya jae aur ahteyate wajib ki bina par pahle bayan hissa aur phir dayan hissa dhoya jae. (istfitaat aur jawabat part 1 Aytullah Khamenai (d.b.)
I had my right foot toe dressed, and I had intercource, How shall I be able to offer prayer, I mean what is the proceedure for Ghusal, and geting Pak?
Country
Dammam - Saudi Arabia
Answer
Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367
bismehi taala, yeh zaroori nahi k gusal k waqat niyyat kare k wajib gusal kar raha he, balk faqat qurbatan allllah yaani Allah taala ki reza k irade se gusal kare to kafi he.(ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.364)
salaamun alaikum
humbistari ke dauraan agar sirf mard ki mani niklay,to kya biwi per bhi ghusl wajib hoga?
Country
karachi - pakistan
Answer
w.s. agar hambistari ke dauraan uzue tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada aurat ki faraj me dakhil ho jaye to dono mujnib ho jate hain (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.355)
asalam.u.aliakum mera sawal ye hai.k jab hum gusule jonabad karte hai.us ke bad hum bakhair wazo nimaz pad sakte hai. kiya gusul.e. junabad ki bad wazi karna chahia.plz jawab zara jalidi di jie.pichli bar b main ne sawal pucha ta.abtak us sawal ka jawab nahi mila muje. khuda hafiz
Country
ghazni - afghanistan
Answer
w.s. Jis shakhs nay ghusl e janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.389)
kya ghusul pani nahne se pehle kartein hai yaa nahnaa poora hone baad kartein hai
Country
-
Answer
Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)(ghusal se pehle ya baad me nahana zaroori nahi he albatta agar jism par koi najasat lagi huee ho to ghusal se pehle use hata lena chahiye)
AOA main yeh maloom kerna chata hoon kay koe bhi gusal kerta hoon tu main sab say pehlay saray jisam say chiknayee saf ker kay phir neyat kertahon gusal ki or phir head and neck per pani dalnay kay baad right side phir leftside per pani dalta hoon kia mera gusal ka method sahee han. jo baat mujay hit kerti han woo aik tu yeh kay sir or gerdun per aik saath pani dalna han ya seperate or dosra yeh kay main shower use kerta hoon koe jug etc. use nahi kerta buss musalsal pani dalta hoon aik aik dafa plz answer me kuda hafize
Country
Guelph - Canada
Answer
bismehi taala, aap ka tariqa saheeh he, sar aur gardan ko ek sath bhi dho sakte hain aur alag algah bhi, bas yeh yaad rakhna zaroori he k Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. (ref: tawzeeh ul masail Aqai Seestani (d.b.) Probe No (367 & 380)
A.O.A main yeh deryaf kerna chata hoon kay Juma kay din jo gosal kia jata han uss kay bad namaz kay liya wazoo lazmi nahi jasakay wajib gosal kay baad?
Country
Guelph - Canada
Answer
bismehi taala, jee gusale juma ke baad jamaz k liye wuzu karna zaroori nahin (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaal no. 651 & 653)
salam agar showar me khare ho kar ghusal kya jaye to wajib hai q k beth kar mujhe wahim hota hai k meri pishab nahi nikal gayi ho
jub me halaq main pani dalti ho to jata to hai likin conform nahi hota k gaya k nahi pani anadr tak aur phir me 3 ghont pani bhi pii leti ho
jub nakk me pani charhti ho to ander takk nahi pohncta ya ye khyie k nahi ho pata me koshish karti jate hoo magar nahi ho pata mujhe samjh nahi ata me kya karoo me ghusal karti hi rehti ho k sahi hua k nahi app is ka hall plz mujhe jaldi send kar de k me kya karoo dono cheezo ka
dua bki darkhuast
Allah hafiz
Country
dallas - usa
Answer
aam halat mein bhi yeh ikhtiyaar hai keh chahay ghusul bhaith kar karay ya kharay reh kar ya kisi aur position mein ghusul karay. aur jahan tak halaq tak ya naak kay andar tak pani ponchanay ki baat hai to in jago par pani ponchana zaroori hi nahi hai, kyon ke har woh jaga jo jisim ka batin (inner) shumaar ho us ka dhona wajib nahi hai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 373.
Aihtilaam kay baad Ghusl-e-Janabat kay waqt wo hissa jo aihtilaam ki wajah say Sperm say najis hoa hay wo paak karna zaroori hay ya nahi ?
aur agar masala na jantey hoay is baat ka ghusl sey pehlay khayal na ho kay najis hissa pak karna hay to us kay liye kiya hukum hay ?aur pehlay ki namazoo ka kiya hukum hay.
Country
pakistan - karachi
Answer
Ghusl shuroo karnay say pehlay pooray badan ko dhona wajib nahi,balkay har uzu ko dhonay kay liye itna kafi hay kay ghusl kay waqt paak ho.is bina par agar ghusl say pehlay uzu-e-badan paak ho to ghusl aur namaz dono sahih hay.aur agar uzu ghusl say pehlay paak nahi hay to namaz aur ghusl dono batil hain.aur namaz ki qaza wajib hay.chahay wo masala na bhi janta ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Khaminae Q.No.192
Salam Alikoum, Plz yeh fermaein k JINSI KHYALAT k saath jo chand drops AZA-E-TANASUL se kharij hote hain woh pak hain ya GHUSAL-E-JANABAT wajib hai? Buhut shukria. May Allah bless you
Country
London - England
Answer
woh rutubat paak hai aur ghusul janabat wajib nahi hai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 70, pg no. 25.
Ghusl-e-Janabat kay waqt agar insaan ko kaseer shak ho,aur wo yaqeen kay marahil asaani say hasil na kar paey kay badan kay parts sahih tarha dhulay hain ya nahi to is kay baray main kiya hukum hay?
Country
khi - pk
Answer
Jab koi shakhs apnay aazaa main say kisi aik uzu ko dhoolay phir shakk karay kay sahih dhoya hay ya nahi to wo apnay shakk ki parwah na karay chahay dosray uzu kay dhonay main daakhil honay kay baad hoa ho ya is say pehlay.Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala No.176
Agar Shehwat angaez tasawwurat ya kisi baat main shehwat hasil kartay
hoay penis say pani kharij ho jo kay libaas ko aalooda kar day to kiya
is soorat main ghusl-e-janabat wajib hota hay ya nahi?
Country
khi - pk
Answer
Jo ratoobat Cher Chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt insaan
apni sharamgah main mehsoos karta hay wo paak hay aur is say ghusl bhi
wajib nahi hota aur na hi ye wuzu ko batil karti hay.Ref:Tauzeehul
Masail Masala No.345.
Doran-e-Ghusl e Janat starting main jab sirf SIR aur GARDAN ka hissa
dhoya jata hay ,dhonay kay baad ghusl kay starting main hi SIR hi ka
kuch hissa na dhoay janay kay baray main shak guzre ! aur sir kay us
hissay ko jis kay na dhoay janay ka baray main shakk guzra ho usay dho
liya jaey aur phir gardan dholain aur is kay baad badan ko dho liye
jaey to ghusl sahih hoga ya nahi ?
Country
khi - pk
Answer
Ghusl Sahih hay.Agar SIR ya GARDAN ka kuch hissa dhoay janay kay baray
main shakk ho to Aihtiyat-e-Lazim ki bina par SIR aur GARDAN dhonay kay
baad badan ko dobara dhona zaroori hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani
Masala No.365.
Salaam.
kon kon say Ghusul Sharen Mostahib Sabit hain jin kay bad wazoo ki zarooret nahi hoti?
Country
karachi - Pakistan
Answer
Islami Shareat main bohat say ghusl mustahib hain,jin main say chand ye hain.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl...In tamam ghusloon kay baad wuzu karna zaroori nahi hay.(Aihtiyat-e-Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.643,636.
Salaam.
Kiya Mustahib Ghosel Jaisay Ghosel-e-Namaz Jommah, Eid, 23 Shab Ramzan etc. kernay kay baad namaz kay liyay wazoo bhi zaroori hota hai?
Country
Karachi - pakistan
Answer
Jin ghusloo ka mustahib hona sharaan sabit hay un kay zariye wo kaam anjaam diye ja saktay hain jin kay liye wuzu karna lazim hay,yani ghusl kay baad wuzu karna zaroori nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.636.
Gusal-e-Janabat kay bad wazu ki zaroorat nahin namaz ho jati hai?tu masaah ka kia hukam hai..?kia iski bhee zaroorat nahin?plz answer on my email
Country
lahore - pakistan
Answer
Choonkay MASAH wuzu ka hissa hay ghusl ka nahi aur ghusl-e-janabat kay baad zaroori hay kay wuzu na karay lihaza ghusl kafi hay MASAH ki zaroorat nahi.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.235,389
asslamo likom/ gusley janabet key alawa jo gusel ham rozana kar tey han , iss ka tareeka bata den. our iss ke neayet keya kar ni ho ge walikom slam/ hamid madina.. gujrat
Country
gujrat - pakistan
Answer
Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye
hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur
iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf
say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja
sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main
zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say
pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka
kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e
Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main
badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say
pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367
asslamo likom ,.mustaheb gusel kon kon sey han,our keya mustaheb gusel key bad wazoh ke zarorat baqi rahti ha, ya nahen.walikom salam, hamid , madina gujrat
Country
gujrat - pakistan
Answer
Masala No.634 main In Mustahib ghusloon ka tazkira kiya gaya hay.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl...In tamam ghusloon kay baad Aihtiyat-e-Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.389,684.
salam, agar jusool kartay waqat pani kisi tara "hairs of armpit" & "hairs below naval" ki teh(deep) mein ponoucha diya jaey tu kaya jusool ho jaey ga? wassalam.
Country
karachi - Pakistan
Answer
Agar wo baal itnay chotay hoon kay badan ka juz shumaar hotay hon to un ko dhona zaroori hay laikin agar baal baray hoon to is soorat main jild tak pani pohunchana zaroori hay laikin agar inhain dhoay baghair jild tak pani pohunchana mumkin na ho to zaroori hay kay un baaloon ko bhi dhoay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.378.
Kiya namaz-e-Jumma kay lia jo Ghsel kiya jata hai us kay baad wazoo ki zarooret hoti hai. Or wo kon kon say Ghosel hain jin kay baad namaz kay lia wazoo ki zarooret nahi hoti.
Country
Karachi - Pakistan
Answer
Jis shakhs nay ghusl e janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay balkay doosray wajib ghusloon kay baad bhi (siwaey ghusl e Istihaaza e Mutawassita) aur Mustahib ghusloon kay jin ka zikr Masala No.634 main kiya gaya hay baghair wuzu kay namaz parh sakta hay,Agarchay Aihtiyat e Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay.....Masala No.634 main In Mustahib ghusloon ka tazkira kiya gaya hay.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl..Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.389,684.
Is wudhu compulsory after any wajib ghusl or mustahab ghusl for namaz?
Country
Karachi - Pakistan
Answer
Jis shakhs nay ghusl e janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay balkay doosray wajib ghusloon kay baad bhi (siwaey ghusl e Istihaaza e Mutawassita) aur Mustahib ghusloon kay jin ka zikr Masala No.634 main kiya gaya hay baghair wuzu kay namaz parh sakta hay,Agarchay Aihtiyat e Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay.....Masala No.634 main In Mustahib ghusloon ka tazkira kiya gaya hay.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl..Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.389,684.
Agar ye Badan ka hissa nahi hay aur pani pohunchnay main Maanae (Rukaawat) ho to us ko Hataana Zaroori hay.Ref: Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.367.
kur pani ki miqdar aaj kal kahisab sa kitni ha or ager wajib ghusal karte waqt pani ke chinten kaproon per lag jayen to kapre pak hon ga?
Country
huderabad - pakistan
Answer
KUR,Pani ki wo miqdaar hay jo aisay bartan main aasakay jis ki gunjaish 36 Cubic Balisht ho (1 Balisht ki lambai taqreeban 22cm hoti hay) aur ye taqreeban 384 litres hota hay....Ghusl kay doraan jo pani zameen par girta hay wo pani paak hota hay is liye kapray par agar wo cheentain lag jain to kapra najis nahi hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.14..Mujtahid say poochay gaey sawalaat book-4 Q.No.15.
Meri mani kharij hoi aur is kay baad main nay ghusl e janabat ghalat anjaam diya ,ab meri pichli namazon aur roozoon kay baray main kiya hukum hay ?
Country
karachi - pakistan
Answer
Agar aapnay ghusl waqian ghalat anjaam diya hay tab bhi aapkay Rozay sahih hain.Laikin aapko Namaz ki Qaza karni paray gee,laikin aap apnay ghusl ka tareeqa batain takay ham aapko bata sakain kay aapka ghusl waqian ghalat hay ya nahi takay ye bataya ja sakay kay aapko Namaz ki karni hay ya nahi.Ref:Istiftaat A.Sistani (S-21)
Can you please explan in detail how to preform gusal after discharge of semen(mani)..thank you!
Country
dar-es-salaam - tanzania
Answer
Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main
zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka
kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367
Salam-o Alikum ,I want to ask abut gushal .Gushal kub wajib hay ?.(napkai ki sorat main) Kai dafa asa ho jata hay kay koi galt ches dekh kar ya soch kar "eraction"(azoo khas)ho jata hay aur bhir napaki niqal jati hay ju kay kaproon per lag jati ..is sorrat main app nay amli toor per tu kisi ko hath bhi nhin lagya hota.(yani koi kam tu nhin kya hota) aur ager app ko yaqeen ho kay app apni us jaga ko ashi trhan say pani kay sath saf kar laytay hain tu bhir bhi gusal karna zaroori hay ? pura jism ka gela karna aur saf karna zaroori hay ? ya sirf us jaga ko saf kar kay bhir sirf Wozoo kar liya jay ?... bary merhbani tafseelan jawb day dain .
Country
Multan - Pakistan
Answer
A.Sistani kay nazdeek,Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay kay liye aur aisi dosri ibadaat kay liye wajib hojata hay,laikin namaz-e-mayyat,sajda-e-sahw,sajda-e-shukr,aur Quran kay wajib sajdoon kay liye ghusl-e-janabat zaroori nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.65,Masala No.356...Do(2) cheezoon say insaan mujnib ho jata hay,aik jima aur dosray mani kharij honay say,khwah wo neend ki haalat main niklay ya jaagtay main ,kam ho ya ziada,shehwat kay saath niklay ya baghair shehwat kay,iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho aur aisi soorat main us par ghusl-e-janabat wajib ho jata hay,sirf paani say us maqam ko dhona kaafi nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.62,Masala No.344...Ghusl-e-Irtimasi ya ghul-e-tarteebi main ghusl say pehlay saray jism ka paak hona zaroori nahi hay balkay agar paani main ghouta lagaey ya ghusl kay iraday say paani badan par daalnay say badan paak ho jaey to bhi ghusl sahih ho jaeyga.albatta ye zaroori hay kay jis paani say ghusl kar raha ho wo taharat ki haalat say kharij na hojaey.masalan kur pani say ghusl kar raha ho.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.66,Masala No.371...Jis shakhs nay ghusl-e-janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.68,Masala No.389...Agar kisi shakhs kay badan say koi rutoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay ye mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo rutoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur uskay nikalnay kay baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar ib teen(3) alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo rutoobat mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemaar ho to phir zaroori nahi kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust ho jaey balkay agar sirf shehwat kay saath niklay to wo rutoobat mani kay hukum main hogee.Jo rutoobat cher chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt insaan apni sharmgaah main mehsoos karta hay wo paak hay is say ghusl bhi wajib nahi hota aur na hi ye ratoobat wuzu ko baatil karti hay.
Namaz kay liye ghusl-e-janabat kay ilawa dosray ghusl aihtiyat-e-wajib ki bina par kafi nahi hain yani in kay baad wuzu bhi karna
hoga.Ref:Istiftaat A.Khaminae Pg.No.71,Q.No.202
jis per koi ghusl wajib ho ,us ka paseena paak hay ya najis?
ager kisi ko bay hosh kiya jay aur wo is baat per razi na ho to kiya hukum hay ,chahay us kay zariey say kisi ko ghusl e mayyet sikhaya jaey to kiya ye sahi amal hai.
Country
karachi - pakistan
Answer
Salam un alaikum,
Jis shaks par gusal wajib ho us ka paseena paak hai. Mazkorah sorat e haal mein beshosh karna jayez nahi hai.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Prob No. 114
Salam walekum,
please tell me the niyat to recite before gusl(after sexual intercourse)
Country
New York - USA
Answer
A.Sistani kay nazdeek Niyyat is tarah ki jati hay (main ghusl karta/karti hoo QURBATAN ILALLAH).It is sufficient to intend getting nearness to Allah by getting Taharah (means it is not necessary to mention verbally)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.357 & Istiftaas I-51.
what is the method of taking bath of
the day JUMMA(FRIDAY)?
Country
-
Answer
Salam un alaikum,
A person should first make a niyyat for Ghusl. Thereafter one should first wash ones head and neck, and thereafter the remaining parts of ones body. It is better that one washes the right part of the body first and then the left part.
And if a person, while standing under the water, jerks each of these parts on ones body with an intention of performing Tartibi Ghusl, it will not be sufficient and the precaution is that one should not content oneself with it.
And if a person washes the body before washing the head, either intentionally, or on account of forgetfulness or because of not knowing the rule, Ghusl is void.
Ref: Tawzeeh ul Masail (English) Aqai Sistani Probe No. 367
mujhay ghusl-e-janabat ka tarteebi ghusl ka asaan tareeqa tafseel say bayan darma dijiye.
Country
Karachi - Pakistan
Answer
Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)
1. Ghusl-e-juma karnay ke baad wajib ya sunat namaazon kay liye wuzu karna zaroori hai ?
2. Washing powder me inaami scheme main gold tha aur ye sunke mein ne washing powder kharida aur inaam me gold nikla hai is ke baare me kya hukam hai ?
Country
-
Answer
Gusl-e-Jumma key baad wajib ya sunnat namazoon key liye wuzoo zaroori nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi (Topic of Mustahib Gusl)
Aap us gold ko use kar saktey hein.