suba ko jab ma apni sharwar pa niga dalta hon to wo karak hoe vi hote ha,to ma apni rat pa ghor karta hon to sirf ya pata chalta ha ka sirf money ka oochal na ka amal hoa ha baqi nishaniyan ni hoe to ma is ko money man lon.
thank q.
Country
karachi - pakistan
Answer
Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345).
Mera sawal yeh hai kai kia mian biwi mulaqat kai bad aur ghusal sai pehlay kuch kha pee saktay hain.
Country
Karachi - Pakistan
Answer
Jee haan,hambistari k baad, ghusl say pehlay khana peena jaiz hay.laikin aisa kerna makhroh hay.haan agar haath monh dhoolain or kulli ker lain tu makhroh nahi hay.or agar sirif haath dhoolain tub hi krahiyat(makhroh) kam ho jaay gi.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#355).
agar neind me nijasat(mani) ajayeto ghusul jaruri hai? aur uski dua kya hai?
Country
vijayawada - india
Answer
Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.
Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
Ghusl e janabat ki dua perhna mustahab hay wajib nahi.or wo dua ye hay:
۱- Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÊÞÈá ÓÚíí æÇÌÚá ãÇ ÚäÏß ÎíÑÇð áí ¡ Çááåã ÇÌÚáäí ãä ÇáÊæÇÈíä æÇÌÚáäí ãä ÇáãÊØåÑíä
(Allaa humma tah hir qalbee watqabbal sa’yee waj’al maa indaka khairal lee . Allaahummaj al’nee mi’nat taw’wabeena waj al’nee minal mutatah’hireen )
۲- Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÇÔÑÍ ÕÏÑí æÃÌÑ Úáì áÓÇäí ãÏÍÊß æÇáËäÇÁ Úáíß ¡ Çááåã ÇÌÚáå áí ØåæÑÇð æÔÝÇÁÇð æäæÑÇð ¡ Åäß Úáì ßá ÔíÁ ÞÏíÑ
(Allaahumma tahhir qalbee wash’rh sadree wa ajir alaa lisaa’nee mid’hataka was’sanaaa alaik. Allaahummjalho lee tahooran wa shifaan a wa nooraa. innak alaa kulle shaiein qadeer.)
(Ref: sistani(d.b),sheh e urwatul wusqa,part#1, maslah#683 ).
Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.
or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67)
agar begair kuch kiye koi sex story sun k ya soch k ya tv p sexy sen dekh kar jo pani nikalta ha wo pak ha k nai ya usk bad gusal wajib ha.
Country
lahore - pakistan
Answer
Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemaar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah seestani(D.B)Tauzeehul masil,malah#70,354-353)
as salam u alaikum.agar ghusal janabat kiay baghair bivi nashta bana dey or dono usi haalat mein khaa lien to woh halal hay k haraam?is k baray mein kia hukam hay?
Country
riyadh - saudia arabia
Answer
Halat e janabat main khaana peena makhrooh hay, laikin agar haath(palm),monh(face) or kolli ker lay tu ye kaam makhroh bhi nahi hay, or agar sirif haath hi dhoolay tab bhi karahiyat(makhrooh) kam hojati hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#355).
assalamualikum sir my question is k kiya hlate jnabat main quran majeed sunnay main koi gnah ha plz axplane me thanks ALLAH HAFIZ
Country
rawalpindi - pakistan
Answer
Halat e janabat main quran majeed sunnay main koe gunah nahi hay.balkeh halat e janabat main quran majeed ka perhna bhi jaiz hay.laikin 7 say ziyadah ayaat ka perhna makhroh hay(yaani 7 ayaat k baad say sawaab khuch kam milay ga),or wo 4 ayaat perhna jin k perhnay per sijadah wajib hojata hay perhana haram haain.or janabat main quran majeed ki tehreer(writing) ko choona bhi haram hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#354,355).
rat ko sote waqt koi sexy khawab dekh raha ho or mehsos ho k ahtlam ho raha ha or usi waqt ankh khol jae.
apni sharamga ko dekhe to us me se koi ratubat (mani,mazi,gadi)na nikle to kia ghusal wajib ho jata ha
Country
lahore - pakistan
Answer
agar kisi shaks ko shak ho k os k jism say mani nikli hay ya nahi tu os per ghusl e janabat wajib nahi hay.mazeed ye k mazi,wazi,wadik nikalnay per ghusl wajib nahi hota.(Ref:Ayat ullah Seestani(D.B)tauzee hul masail Maslah#351 & 70).
sir mera sawal ye hai apse ke agar kapro per mani lag jaye tu usko pak karne ka kiya tareeqa hai plz answer me fast thanks
Country
lahore - pakistan
Answer
Agar mani lag jaye tu usko paak karne ka tareeqa ye hay k mani ki nijasat ko door ker k aik mertabah os jagah per paani daala jaay,jab wo paani beh jaay tu wo cheez paak hojati hay,laikin libaas or is jaisi hi chezoo ko nichornah bhi zarori hay.(ref:Ayat Ullah Ayat Ullah Seestani(d.b), (d.b), Tauzee hul masail, maslah#155).
Assalamoalaikum.sir mere satt aksrr assa mehsaoos hoota hai ..kai mere pisab ki jaga sai kuch drops kharij hoo gai hai...so plzz iss mai gusall karna hota hai ..ya voo pkk hai ......ALLAH HAFFIZ
Country
karachi - Pakistan
Answer
w.s., Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352
Every 3 to 4 times a day a
sticky substance comes out of penis I think it is mani. it comes out even i am no thinking of sex. I offer 5 times prayer. I m very worried will i get gunah.
Country
Mumbai - India
Answer
bismehi taala, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352
sir apne bata ya nahi ke uchal se kiya murad hai aur shehwat kise kehte hai plz tell me fast maine yahi sawal apse kaye dafa kar diya hai but apne answer nahi diya plz jawab bata de aur maine apse ye bhi pochna tha ke agar mazi nikle ya ratoobat tu kapre napak tu nahi hote aur ye ratoobt kiya hoti hai plz tell me fasat thankzzzz
Country
lahore - pakistan
Answer
Mani ka uchal ker nikalnay say muraad hay k wo aik dam say bahar aati hay(yani jump maar kar),or shehwat say muraad hay k mani k jism say bahar aanay per aik lazzat(lust) si mehsoos hoti hay.or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Seestani(D.B)tauzee hul masail Maslah#70,71,345).
aa jana biwi ko back siad karna os ke marzi b ho.ghunnah ha ya nikaha tota ha thank u
Country
ksrachi - pakistan
Answer
bismehi taala, peechay se jima karna aurat (women) ki marzi kay bagair ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai aur agar aurat razi bhi ho to yeh kaam shadeed makrooh hai. (REF: www.sistani.org)
Salam! Mjhe ye bataden kay islam main shariat kay mutabiq wife sey humbistary ka kya tariqa hai please?
Country
Sukkur - Pakistan
Answer
bismehi taala, Aala-e-Tanasul ghair mutaaraf tareeqay say daakhil karnay main zaroori hay kay Aurat bhi raazi ho. Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par Aurat ki razamandi kay baghair Dubur-pakhany kay maqaam- main Jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki razamandi kay daath dubur main jima karna sakht makrooh amal hay.Ref:www.sistani.org Arabic-Jima.19,23
assalmu alikum-me ye janna chahta hu k ek shohar ka uski bewi k sath sex karne ka islam ki roshni me kya tarika hona chahiye..plz tell me.
Country
meerut - india
Answer
w.s., Aala-e-Tanasul ghair mutaaraf tareeqay say daakhil karnay main zaroori hay kay Aurat bhi raazi ho. Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par Aurat ki razamandi kay baghair Dubur-pakhany kay maqaam- main Jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki razamandi kay daath dubur main jima karna sakht makrooh amal hay.Ref:www.sistani.org Arabic-Jima.19,23
can you please explain in details of what exacly to do or recite, to become paak again after having sex?
Country
PEI - canada
Answer
bismehi taala, First and foremost is recommended urination (Testbre), even if out any moisture suspected semen after washing do not have to return. And then purified into the impurity so that your body is clean of any impurity and remove any blocker prevents water from reaching the skin (dye nails for example). Now comes first intention Vtnoi (bathed ghusl (for example) an act of worship to God Almighty) and faith enough in the purpose of self does not need the term. Then wash the head and neck pouring water on them an engine of your hands to make sure that the water has reached all parts of the head and neck that did not reach water, but to do so. Then wash the rest of the body on the safe side first you wash the right side of the body is first poured water on it and move your hand to ensure the water to all parts of the right side, including money Alaourtan Wei Shi joint venture between the left and right. And do not forget the soles of the foot and between the fingers. Then wash the left side pouring water over them and move the hand to ensure that the water to all parts of the body, and as it did on the right. Then they have completed the washing. And you can move your hand in any direction you want during the washing and what you want you can pour water in the body should be as dry as some believe, but must have most of the washing water from the humidity. This type of Washing-called ordinal. There is another type called Alaratmasi is that all your body immersed in the water a lot (the river, for example) one time and faith. Incidentally, all Alagsal whether obligatory or desirable only differ in intention (except to wash the deceased) and substitute for ablution (except istihaadah and Alagsal which is not proven mustahabb).
salamun alikum
sawal ya ha k agr biwi apny mian k uzwe tanasul ko itna chusay k inzal ki had ajay or mian apny ap ko bahir discharge kar day.is halat mai us ka mujib hojana halal ha ya haram.kia ya istamna k zumray mai tu nai ata.
Country
lahore - pakistan
Answer
w.s., Aisa karna Jaiz hay,magar ye kay ratoobat Halaq say na niglay. Ref:Istiftaat A.Sistani I-2.
Mujhe ek or sawal poochna hai k...agr koi esi baat karne se pani aajye to kya ghusal wajib hota hai?ya kuch sex k bare mai suna jaye to gela hone se kya ghusal wajib hai??plz do ans me plz plz plz
Country
farwaniya - kuwait
Answer
bismehi taala, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352
pls dont publish my email id aurat ka shehwat se mani nikalne ka matlab samjhaiye kya aurat ko bhi inzaal hota hai jaisa mard ko hota hai janbish ke saath pls reply soon
Country
abha - saudi arabia
Answer
bismehi taala, Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 Pg.62.
Assal-o-alikum, men ya puchna chahta hun ke hum miyan biwi pager chadar daly milty hen is men koi harj to nahi ha jabke humne ak dosry ko pura dakha bhi ha.
Country
karachi - pakistan
Answer
w.s. Mian bewi aik dosray ka poora badan dekh saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.327 Aytullah Seestani (d.b.)
dabar mai dakhol k baad gusal wajib hai? agr pora dakhol na howa ho?
Country
-
Answer
agar koi shakhs jema kare or uzue tnasul supari ki miqdar taq ya us se ziyada orat ki farj main dakhil ho jae to Khawah ye dukhul farj main ho ia dubar me or khawah wo baligh ho ya nabaligh or khawah mani kharij ho ya na ho duno mujnib ho jate hai (masalan no. 348, tawzuhul masail Ayatullah sistani (d.b.)) or mujnib hane ki bina par gusale janabat wajib ho jaega.
MUJHE MALUM KARNA HAI K QURAN SHARIF KIN AUQAT MAIN NAHI PARH SAKTE AUR ASER K BAD NAMAZ AUR QURAN SHARIF PARHANE KA KIYA KIYA HUKUM HAI. SHUKRIYA
Country
KARACHI - PAKISTAN
Answer
janabat ki halat main un ayat main se kisi ayat ka padhna jin ke padhnese sajada wajib hata hain haram hain. wo ayatain (1) sure sjda ayat 15 (2) sure fusselat ayat 37 (3) sure wannajam ayat 62 (4) sure alaq ayat 19 hain. (masala no.355 tawzihul masail aqai sistani (d.b.) urdu)
Assalam u Alaikum. My question is "Agar apni fiance se bat kerte ho agar uzwe tanasul se jo ratobut nikalti hai jo k pak hai n us wuzu batil nhn hota tu kia us k sath apne clothes ko bi pak kerna perta hai?" ya kapre bi pak hote hain us ratubat k kharij hone k bad??
Country
Karachi - Pakistan
Answer
w.s. cloth pak he or pak karne ki zaroorat nahi (Jo ratoobat Cher Char k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo PAAK hai aur GHUSL bhi wajib nahi hai). Ref:Tauzeeh Ayatullah Sistani Prob No 345
mera sawal yeh hai ke , aurat main jo jinsi khefiyat bedaar hoti hai , jis ke waja se transparent pani nikalta hai [ mani ] , woh kitna nikale tu aurat pak hai aur kis hadh ke baad woh napak hojati hai ius mani ki waja se.
Kindly respond as soon as possible.
Country
- UAE
Answer
b.t. Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 Pg.62.
Dear sir,
Assalam-o-alaikum mera sawal ye ke main jub big peshab ker tu hun to us ke sath muj ko drops aa te hain yaan koi hot cheez kha loon to phir bi lees dar cheez nikelti hai batien ke us so raat me ghusal farz hai
i wait your message
your sincerely
fahad ali
Country
pakistan - sialkot
Answer
w.s. Salam un Alaikum, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352
kia aurat ko us ka husband peechay se fuck kur sukta hai?
Country
rawalpindi - pakistan
Answer
b.t. aur peechay se jima karna aurat (women) ki marzi kay bagair ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai aur agar aurat razi bhi ho to yeh kaam shadeed makrooh hai. REF: www.sistani.org
ASALAMUALLIKUM JANAB MEIN APNI MANGATAR SE BAAT KARTA HUN TO MERI SHARAM GAGH SE PANI NIKALNEY LAGTA HAI MEIN JO BHI BAT KARUN TO MANI JO HOTA HAI WHO MANI KI TARAH NAHI HOTA HAI DROOPS HOTE HAIN DABANEY SE NIKALTEY HAI OR LESS BANTI HAI TO KIYA IS MEIN GHUSAL WAJIB HAI
Country
karachi - pakistan
Answer
w.s. Salam un Alaikum, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352
agr koi shatain ke behkawe me aa kar fahas tasveer dekhe aur us ke ek ya do qatre nikel jae to us ke lie gusal farz hai ya phir wazo kar ke namaz par sakta hai
Country
karachi - pakistan
Answer
b.t. Salam un Alaikum, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352
hum bistri karnay kay bad ghusal karna parta hai ager mani na nikle ho to is sorat main ghusal karna partay ga ya nahi
Country
lahore - pakistan
Answer
bismehi taala, agar koi shakhs jema kare or uzue tanasul supari ki miqdar tak ya us se ziyada orat k faraj me dakhil ho jae to khawah mani kahrij ho ya n ho dono mujnib ho jate hain(ref: tawzihul masail, Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 348) (ghusale janabat karna zaroori hoga.)
MIAN BIVI IKATHAY HOON KAPRAY BHI UTRAY HOON IKATHAY LIPTAY HOON LEKIN INZAL NA HO TO KIA GHUSAL WAJIB HOTA HAY KE NAHEEN
Country
KHUSHAB - PAKISTAN
Answer
bismehi taala, do chizo se insan junub ho jata he awal jema aur duwwam mani k kharij hone se (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 351) (junub hone ki surat me gusale janabat wajib hota he)
kiya miya biwi k hum bister hone k baad miya ka back side say ana magar kerna wahaan say he jahaan say ejazat hai islam may jaiz hai k nahi?
Country
salalah - oman
Answer
bismehi taala, miya-biwi jis tarh bhi dono razi ho ek-dusre se lazzat utha sakte hain. haiz ki halt me jemaa karna jaiz nahi he or maqaad me dukhul nahin karna chahiye.(www.sistani.org. topic: ham bistari q.5)
mera sawal yeih hai ka agar ko e jawan howa aur us ki mani bhi nilalti hai lakin us ko ghusal ka pata nahi tha kay kis tarah kartay hain aur ghusal kay baghir he namaz ada karta raha to ab us ko kya karna chaiyay kya ko e kafara ada karna ho ga
Country
Islamabad - Pakistan
Answer
A.Sistani kay nazdeek us ki namazain batil hain,aur usay tamam namazoo ki qaza karni hogee magar koi kaffara nahi hay.*:Agar usay ghusl kay hawalay say hi maloom nahi tha aur us nay ghusl nahi kiya balkay wuzu kar kay namazain parh lee to wo chahay Jahil-e-Qasir ho ya Jahil-e-Muqassir ho is ko tamam namazoo ki qaza karni hogee.*:Agar usay ghusl kay hawalay say to maloom tha laikin ghusl ka tareeqa maloom nahi tha to agar us nay ghusl is tarah say kiya kay pehlay sar dhota tha to is ka ghusl sahih hay aur agar aisa nahi karta tha to agar wo jaahil-e-qaasir tha to namazoo ki qaza nahi hay aur agar jahil-e-muqassir tha to qaza laazmi hay.....** Jahil-e-Qaasir:Jis kay liye masala maloom karna mumkin na ho...** Jahil-e-Muqassir:Jis kay masala maloom karna mumkin ho aur wo kotahi karay ya jaan boojh kar maloom na karay.Ref:Jadeed Masail Book-2 Pg.No.92,Mujtahid say poochay gaey sawalaat Book-3 Pg.25,Book-1 Pg.No.23.
my question is that " agar kisii larkay say baat kartay howay rutubat niklay too kia gus e janabt wajib hay ?"
Country
karachi - pakistan
Answer
Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 Pg.62.
salam alaykum mera aik sawal hain ka jab main apni biwi sa pak main telephone pain bat karta hu to mere sharamgah sa pani nikalta hain toda bohat jo ka mani nahi hain to kiya is halat main ghusal-e-janabat muj pain wajib ho jata hain plz answer with details thnxx
Country
frankfurt - germany
Answer
Salam un Alaikum
Ji nahi aap par Ghusl wajib nahi hai(Jo ratoobat Cher Char k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo PAAK hai aur GHUSL bhi wajib nahi hai).
Ref:Tauzeeh Ayatullah Sistani Prob No 345
salam walekum
mera sawal yeh hai kai agar kisi shaks ko ahtelam ho to kia us kai liye yeh zarori hai kai woh apni bedsheet aur clothes ko wash kare ya sirf gusl -e- janabat karlena hi kafi hai plz reply me soon waslam
Country
Karachi - Pakistan
Answer
BedSheet ko paak karna wajib nahi hay,aur kapray agar un umoor main istemaal karay kay jis main kaproon ka paak hona shart hay masalan Namaz to wajib hay kay kaproon ko paak karay.Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.
HUM KO YEH KAISE PATA CHALEY KE JO RATOOBAT HUMARE BADAN SE KHARIJ HOI YEH KE AYA YEH MANI HAI YA KOI AUR RATOOBAT.
Country
KARACHI - PAKISTAN
Answer
Salam un Alaikum,
Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee.
Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein pehlee aur dosri alaamat zaroori nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352
MY MUJTAHID IS AAYAT-UL-ALLAH SEESTANI.
I WANT TO ASK QUESTION ABOUT JANABAT.
JANABAT SABIT HONE KA TARIQA TO YEH HAI NA KE MANI UCHAL KAR NIKLE AUR SHEWAT KE SATH NIKLE. AGAR MANI AISE HI NIKLE KE NA TO UCHAL KAR NIKLE AUR NA HI SHEWAT KE SATH NIKLE KHALI DROP NIKLE TO IS SURAT MAI GUSL-E-JANABAT WAJIB HO JATA HAI YA NAHI. AGAR NAHI HOTA TO YEH NAJIS HAI YA PAK.
Country
KARACHI - PAKISTAN
Answer
Assalam-o-alaikum
Agar aap ko yaqeen hia key yeh ratoobat mani hia to chahe wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat key sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per gusl wajib hoga.
Agar aap key badan se koi ratoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga
Ref : Tauzeeh-ul-Masail Agha sistani Prob no 351 and 352