Salams..
Sir ek sawal he mera... K...
Agar ek Shohar apni bivi ko jhoty gawah or jhoty saboto k buniyad pe us ko badchalan sabit kar k usy islami tareky se talak deta he or wo usy isalmi tareky se HAQ Muhar b ada karta he.... matlb kuch b.. pese jo wo us k nikha namy pe likhwaye thy.... to us larky(boy) ne GUNNAH kia na....? ye sab kar k....
or us larki ki zindagi barbad kar di... sirf apny gunah ka ye hi azala bhar k us larky ne usy HAQ Muhar k pese ya kuch b ada kar dea ta k us ki zindagi k kuch din achy guzry jab tak wo dosri shadi na kar le apni marzi se...
Ab main point ye he k jab us larky ne ye khamkhae us ko apny mufad k lea usy talaq di or islami tareky se Haq Muhar b ada kia.... To us larky(Boy) ki saza kia yahi khatam hue....? us dunia me to us se Allah us se waha hi hisab kitab ly le ga.. per is dunia me islam usy kia ye hi saza de sakta he k Haq Muhar ada karo or bas.... is ka matlab larki walo ne larki ka pesso k ewas saoda kia na..., bech di na apni bachi k bhae talaq ki sorat me pese deny pary gy larky walo ko.... kia Islam me ye hi saza he k pese do or bas....
Jaha tak Islam ka dosra nam insaf he..to us larki se kia insaf hua ye.......?
Sir agar ap mumkin samjhy k is sawal ka jawab ap de sakty he to plz mere zehan ko tassali de or mujhe samjhaye...
Country
KHI - Pak
Answer
Kisi bhi paak daman aurat per badchalani(najaiz ta’aalukaat) ka ilzaam lagana gunahaanay kabeerah(bohat berha gunah)hay. Or iski saza Islam main 80 korhay(whip) hain,jaisa ke sorah noor ki ayat 4 main hokum aaya hay.or sorah noor ki ayat 23 main kaha gaya hay k in logo per donya or akhirat main lanat hay or in ko sakht azaab hoga.or jahaan tak saza ka tal’luq hay tu hudood ki saza haakim e shara(mujtahid) k alawa kisi or k liay jaiz nahi k wo khud is per amal karay, agar onko is dinya main saza nahi mili to Allah qiyamat main zaroor aurat or merd k dermiyaan insaaf karay ga.ye baat bhi yaad rahay k mehar ka talaaq say koe tal’luq(link) nahi, meher aurat ka merd per aik haq hay jo merd ko ada kerna wajib hay.or mehar ada kernay ki 3 aqsaam hain 1)indat talab(jab bhi aurat tabab karay, 2)mo’ejjal(taay kiay hoay waqt per), 3)mo’ajjah(fauran
Mazeed ye k Imam jafer Sadiq (a.s) k hadees hay k “Allah k nazdeek talaaq say ziyadah koe buri cheez nahi”.Imam jafer sadiq (a.s) nay fermaya k nikah karo or talaaq nah do, kun k talaaq arsh ko hila dayti hay.imam jafer sadiq (a.s) nay fermaya k Allah her talaq daynay walay bughz (nafrat) rakhta hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Aasaan masail,Pg#119,120, & Minhaa jus saliheen Part#1 maslah #21,29 & Minhaa jus saliheen Part#3 maslah #302 @ pg #90 ).
I want to ask that I had homosex with 1 of my friend being a shia is it good? if it is wrong then what should I do?
Country
mysore - india
Answer
Ye Fiel(kaam) Gunahaan e Kabira main say hai aur Sakht tareen Azaab ka Bais hay Lihaaza aap fauri tor par Khuda ki bargaah main Nadim hotay hoay Tauba karain.Ref:www.sistani.org/html/ara (Lawaatat)