Online Question & Answer System   

Homepage

View Topic Wise Questions

Ask Question

Search Question

 

 

  Topic:  Namaz kay Aihkaam

  Ques. ID 3937

Print   

  Question asalamoalikum imam sb mera app say sawal hai k jab may paint pehanta ho to namaz k doran usay nechay say fold karo ya nahi pls jald jawab day sukriya  
  Country  gujrat - pakistan
  Answer Aisa kerna wajib nahi hay.(Ayat Ullah Khoie(d.b),Tauzee hul masail, maslah#806-847).  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khoie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 3850

Print   

  Question what is ikhfa  
  Country  merryland - pakistan
  Answer Ikhfa say muraad qir’at ya zikr ko dheemi awaaz(down voice) main perhna.Ikhfa qir’at ko pehchaan e ka miyaar urf e aam(aam loog) hay.yani agar aam loog ye keh dain k ye awaaz Ikhfa hay tu is ko Ikhfa samjha jaay ga.Ikhfa qir’at main ye laazim hay k zabaan or haunt(lips) harkat karain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen part#1,malah#620)  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 2535

Print   

  Question Kya namaz jute pahanke padi ja sakti hai?As Wahabi tells?  
  Country  Baroda - India
  Answer Namaz main Halat e sijdah main Zarori hay k pair k dauno angothay(toes) zameen per lagaay jaain.( ref: Ayat ullah Seestani(D.B),Tauzee hul masail maslah # 1049).  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1887

Print   

  Question Kiya Namaz kay akhri(last) Sajde mai "Subhana Rabiyal Alaho Wabe Hamday" kahne kai baad bhi kuch aur kahna/pharna zaroori(necessary) hai?  
  Country  Los Angeles - United States
  Answer b.t."Subhana Rabiyal Alaho Wabe Hamday" kahne kai baad kuch aur padhna zaroori nahi he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1036)  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1882

Print   

  Question Q) Can Sajda be performed on a coin like a Rs 1, Rs 2, Rs 5 coin?  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer bismehi taala, in par sajda karna sahih nahin (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1063)  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1647

Print   

  Question 1] Kya mein Mustahib Namaz computer par kamm karty huey aada ki jaa sakti hai? 2] Kya mustahib namaz office kay lye tayar hony kay baad, qibley ka rukh kar kay isharun [signs] mein parhi jaa sakti hai? 3] Kya mustahib namaz signs mein kare ho kar, qibla rooh ho par parhi jaa sakti hai? 4] Kya yeh namaz ghar kay kaam karty huey parhi jaa sakti hai? 5] Kya mustahib namaz wadu kay begair parhi jaa sakti hai? 6] Kya jummah ki namaz mein yeh amal sahi hai kay hum Jummah ki niyat Qurbatanillah ki niyat say parhein aur Zohr ahetiyat Qurbatanillah ki niyat sey parhein? Zara isski wazahat karein kyun kay mujhe pata hai kay Jummah ki tamam sharait hon tu zohr nahi parhi jaati. Bas sirf iss amal kay baare mein jaana hai kay yeh sahi hai nahi.  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer bismehi taala, (1-2-3-4) = nafal namaze halate ikhteyar me beth kar padhi ja sakati hain, mustabah namaz rasta chalte huye or sawari ki halat me padhi ja sakati hain, or agar insan in dono halto me mustahab namaz padhe to zaroori nahi ke uska munh kible ki tarf ho (ref: tawzihul masail urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 754, 769) (5) mustabab namazo me wazu sharte sehat he. (ref: tawzihul masail urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 315 page # 78) (6) agar namaze juma me zaroori sharayet puri ho to wo namaze zohar se afazal he or zohar ki jageh le sakati he. agar koi mukallaf namaze juma padh le to zohar ke badale usi par ektefa kar sakata he. (ref: jadid masail Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 27 page # 77) is masaale me mazeed maloomat ke liye aap www.sistani.com se ruju karen, ham bhi Insha Allah aap ka masala bhej denge.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1528

Print   

  Question Q.1: kia tashood main ali un waliullah kehna sahi hy ya nahi.  
  Country  karachi - pakistan
  Answer ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi. REF: A.Sistani, www.sistani.org.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1510

Print   

  Question mera sawal hay k aurat ki namaz main (farz namaz main) 2 rakato k baad teesri rakat main sana nahi parhain aur alhamdo k baad koi surat nahi parhtain hain aur teesri aur chothi rakat main ?  
  Country  delhi - india
  Answer Aihtiyaat ki bina par mard aur aurat dono par wajib hay kay namaz ki teesri aur chothi rakat main chahain to sirf sura-e-alhamd ya sirf tasbeehaat-e-arbaa parhain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.994.Albatta in do rakatoo main Tasbeehaate Arbaa parhna ziada behtar hay.aur Aihtiyaat-e-Mustahab ye hay kay 3 martaba Tasbeehaate Arbaa parhi jaey.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.992.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1491

Print   

  Question mera sawal yeh hai k pakistan k time key mutabiq multan city mein "maghriban"ki azan takreeban 7:10 pm per hoti hai or taqreeban 7:25pm per pora andhera cha jata hai agar main kisi waja sey andherey k baad magrib ki namaz ada karoon to kiya meri "niyat","qaza" ki ho gi or yahi condition agar "namaz-e-fajr" ki ho jomein kabhi neend ki waja se nahin parh sakta to kiya mein 6:30am ya 7:30am per bhi fajr ki namaz qaza ki niyat se ada kar sakta hoon?  
  Country  multan - pakistan
  Answer magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shaks kay liyay aadhi raat tak rehta hai. aur is dauran magrib ki namaz "ada" ki niyat se bajalae. aur agar koi shaks ikhtiyari halat me magrib aur isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to ehtiyat-e-wajib ki bina par zaroori hai ke azan-e-subah se phelay qaza aur ada ki niyat kiyay bagair in namazon ko parhay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 724+728. aur agar fajar ki namaz fajar kay waqt me anjaam di ja rahi hai to ussay "ada" ki niyyat se parhain gay, chahay faqat aik rakat ada karnay ka waqt hi baqi ho. aur agar waqt guzar janay ke baad anjaam di jai to "qaza" ki niyyat se parhi jai gi. aur fajar ka waqt yeh hai keh subah ki azan ke qareeb mashriq (east) ki taraf se aik sufaidi upper uthti hai jissay "fajar-e-awwal" kaha jata hai. jab yeh sufaidi phail jai to woh "fajar-e-dowwom" aur "subah ki namaz ka awwal-e-waqt" hai. aur subah ki namaz ka akhiri waqt suraj nikalnay tak hai. lihaza is waqt kay baad namaz "qaza" kar kay parhi jai gi, chahay ussay phir baad mein jis waqt bhi anjaam diya jai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 729+736.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1316

Print   

  Question SALAM. KYA NAMAZ-E-FAJIR SUBBAH TUK QAZA NAHI HOTI.  
  Country  pakistan - karachi
  Answer Namaz e Fajar ki qaza ka waqt Tuloo e Aaftaab tak hay.Ref:Tauzeeh A.Khaminae Q.No.372.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khamnaie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1242

Print   

  Question a.o.a molana kia namaz awaz k sath per saktya hain athni awaz kay telawaty ke awaz sirf kud ko hee aay. thx allah hafiz  
  Country  lahore - pakistan
  Answer 1:Mard par Aihtiyaat ki bina par wajib hay kay subah,maghrib aur Isha ki Namaz main Alhamd aur Sura Buland awaz say parhay...2:Mard aur Aurat Dono par Aihtiyaat ki bina par Wajib hay kay Zohar aur Asar main Alhamd aur Sura Aahista parhain...3:Subah,Maghrib aur Isha ki Namaz main Aurat Alhamd aur Sura buland awaaz say ya ashista jaisay chahay parh sakti hay laikin agar Na-Mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho aur us ka sunna haram ho to Aihtiyaat ki bina par aahista parhay...4:Awaz kay buland aur Ahista honay ka mayaar Urf-e-Aam hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.979-981.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1146

Print   

  Question Tashhud mai Ashhado anna Ali Wali Allah perna jaiz hai?  
  Country  Gujranwala - Pakistan
  Answer Aihtiyaat ki bina par JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org (I-1)  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1137

Print   

  Question Kya Quran TARAKUS SALAAT ko kafir kahta hai  
  Country  Hyderabad - syed_ali248,india
  Answer Taarikus Salaat Kaafir nahi balkay Gunahgaar hay.Ref:Istiftaat A.Sistani S-23.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1135

Print   

  Question maghrib aur isha ki namaz ka time kab tak rehta hai?kia isha ki namaz ka time namaz e subah se pehle tak rehta hai?  
  Country  karachi - Pakistan
  Answer Maghrib aur Isha ki Namaz ka waqt Mukhtar Shakhs (wo shakhs jis kay liye Namaz ko waqt main parhna mumkin ho aur sharaan koi uzr na rakhta ho)kay liye aadhi raat (Raat ka hisab Sooraj guroob honay ki ibtidaa say tuloo e fajr tak hay) tak rehta hay laikin jin logoo ko koi uzr ho masalan bhool janay ki wajah say ya Haiz ya in jaisay doosray umoor ki wajah say agar wo aadhi raat say pehlay wo namaz na parh sakay hoo to un kay liye maghrib aur isha ki namaz ka waqt tuloo e fajr tak baqi rehta hay.Agar koi Ikhtiyari haalat main maghrib aur Isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to aihtiyat e wajib ki bina par zaroori hay kay Azan e Subh say pehlay Ada aur Qaza ki niyyat kay baghair in namazoo ko anjaam dain.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.724,728.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1066

Print   

  Question whom should(kis tarahan) one pray namaz when he is on the moon. and a person is in a country where 6 months days &six months nights.plz reply as soon as possible. and request to do ur service properly.  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Baaz makhsoos shehroon kay makhsoos mausamoo main kai kai din ya kai kai maheenay Soraj ghuroob nahi hota,aisi soorat main batoor-e-aihtiyat musalmaan ko chahiye kay apnay shehar kay us nazdeek tareen shehar par aitemaad karay jahan 24 hours main din aur raat hotay hain,yani us shehar kay shab-o-roz ko apnay shehar kay shab-o-roz samjhay aur apnay paanch(5) waqt ki namazoon ko hamsaya shehar kay auqaat kay mutabiq qurbat-e-mutlaqa ki niyyat say parhay.Ref:Jadeed Fiqhi Masail A.Sistani Masala No.69,Pg.No.76.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1034

Print   

  Question Agar kisi ko paeshab karne ke baad harkat(movement) karne par paeshab ke katre gire to use kya karna chahiye? aesi halat me uska namaz aur dusri ibaadaton ka adaa karna kaisa hai? Aur is bimari ka koi ilaaj, taaweez ya naksh ho to de.  
  Country  Gujarat - India
  Answer Ye Jawab A.Sistani kay Fatawa kay Mutabiq hay..Answer:1..Usay chahiye kay Istibraa karay jis ka tareeqa Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.69 main dekha ja sakta hay,aur beemari na honay ki soorat main aisi haalat main kay jab istibra na kiya ho namaz BATIL hay...*1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Peeshaab kay qatray roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day..2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peeshab kay qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay qatray kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chand namazoon kay liye bhi kafi hay siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308,787-Masala No.345,Pg.No.62.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1028

Print   

  Question namaz paadtey me biwi aur moula per burey burey khayal atey hain jinko sochker ruk kaap jai , isskey liyeh kya kerey  
  Country  lko - india
  Answer Namaz ki haalat main Khuda ki Yaad main rahay aur Khuzoo o Khushoo aur Waqar aur Yaksooi say Namaz parhay aur khayaal rakhay kay kis HASTI say kalaam kar raha hay aur apnay aap ko khuda wandeAalam ki Azmat aur buzurgi kay muqablay main HAQEER aur NACHEEZ samjhay.Ulema is ka aik aur Hal bayan kartay hain kay Namaz kay Azkaar kay Tarjumay ko Yaad karain aur Arabi parhtay hoay us tarjumay ki taraf bhi tawajjuh dain to khayal batnay say bhi mehfooz rahay ga aur yaksooi say Namaz Parh paingay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.121-122.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1024

Print   

  Question SALAAM. 1. MUJHE GASTRIC ULCER HAI JIS KI WAJAH SE KABHI BHI GAS KHARIG HONE LAGTI HAI AB IS SURAT MAI WAZOO AUR NAMAZ KA KIYA HUKUM HAI. 2. BIWI KE SATH MAZAK KARNE SE YA KOI TASVEER YA FILM DEKHNE SE MAKAM-E-PESHAB SE CHIKNI CHEEZ KHARIJ HOTI HAI YEH NAJIS HAI YA PAK?  
  Country  KARACHI - PAKISTAN
  Answer *1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Riyah roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day..2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba REEH kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay REEH kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chan namazoon kay liye bhi kafi siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi..*2jo rutubat cher chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt apni sharamgaah main mehsoos karta hay wo paak hay,Is say ghusl bhi wajib nahi hota aur na hi ye wuzu ko baatil karti hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308-Masala No.345,Pg.No.62.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1017

Print   

  Question as salam ale kum, meri qaza namaze baaki hai,mei abhi namaz baith kar parti hu kyuki mere pairo mei bohot takleef hai.mera sawal yeh hai kei kya mei apni qaza namaze jo baaki hai unhe baith kar adaa kar sakti hu??plz reply soon  
  Country  muscat - oman
  Answer Jab tak Insaan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hay kay na baithay masalan Agar kharay honay ki haalat main kisi ka badan harkat karta ho ya wo kisi cheez par taik laganay par ya badan ko thora sa terha karnay par majboor ho to zaroori hay kay jaisay bhi ho sakay khara ho kar Namaz parhay laikin agar wo kisi tarah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hay kay seedha baith jaey aur baith kar Namaz parhay.Is main Qaza aur Ada Namaz main koi Farq nahi hay.Ref:Tauzeeh ul Masail Pg.158.Masala No.957  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 984

Print   

  Question Nammaaz me buland perhne ke bare me kya hukum hai ? Kitna buland aur sirf qiraat ya zikr bhi please detail me jawab dein  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer 1:Mard par Aihtiyat ki bina par wajib hay kay subah ,maghrib aur Isha ki namazon main Al-Hamd aur soora buland awaz say parhay aur mard aur aurat dono par aihtiyat ki bina par wajib hay kay zohar aur asar ki namaz main Al-Hamd aur sora aahista parhain..2:Subah,Maghrib aur Isha ki Namaz main aurat Al-Hamd aur sora buland awaz say ya aahista jaisa chahay parh sakti hay laikin agar na-mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho to aithiyat ki bina par aahista parhay aur kaifiyat ye ho kay usay apni awaz sunana haram ho to zaroori hay kay aahista parhay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to aihtiyat e laazim ki bina par uski namaz batil hay.3:Agar koi shakhs jis namaz ko buland awaz say parhna zaroori hay usay jaan boojh kar aahista parhay ya jo namaz aahista parhni zaroori hay usay jaan boojh kar buland aawaz say parhay to aihtiyat e lazim ki bina par uski namaz batil hay.laikin agar bhool janay ki wajah say ya masala na jannay ki wajah say aisa karay to sahih hay.naiz al-hamd aur soora parhnay kay doraan bhi agar wo mutawajjeh ho jaey kay is say ghalati hoi hay to zaroori nahi hay kay namaz ka jo hissa parh chuka ho usay dobara parhay. 4:Agar koi shakhs Al-Hamd aur soora parhnay kay doraan apni awaz mamool say ziada buland karay masalan in sortoon ko aisay parhay jaisay Faryaad kar raha ho to uski namaz batil hay.Note: In tamam masail main buland aur aahista parhnay kay masalay ka talluq faqat Qirat say hay baqiya Azkaar main usay Ikhtiyaar hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.980,981,982,983.Pg.161.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 977

Print   

  Question mein ager safer mein ho aur nmaz qaser perhi wapsi per mein apni city se door hoon ke namaz kasur hai lekin rastein mein hoon aur azan ho gai mager kaza hone se phele phonch gaya aur namaz qaser perhoon ke poori shukrya  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Aap ko Namaz poori parhna hogee.Ref: Mujtahid say pooochay gaey sawalaat Book-4 Q.No.77.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 976

Print   

  Question mujhe maloom kerna tha keh cents jin mein alchol denated mix hoti hai kya woh laga ker namazz perhi ja sakti hai  
  Country  lahore - pakistan
  Answer In ka Istemaal JAIZ hay.(means Namaz Sahih hay)Ref:Mujtahid say Poochay Gaey Sawalaat Book-4 Ques. No.45  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 952

Print   

  Question Salaam Alaikum, Fajr, Maghrib aur Isha ki Namaaz me Surah hamd aur dosri Surah ka buland awaaz me perhna zaroori hai ? kitni buland awaaz ? Aur Zuhr aur Asr ki namaaz me kitni slow awaaz me ? Aur kya ye namaaz ka rukn hai ( aisa na karne pe namaaz batil hai ) ? Ayatullah Khoie aur Ayatullah Seestani ke fatwe ke mutabiq jawaab dein  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Jee haan Mard kay liye Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say parhna zaroori hay Is ka Mayaar URF hay aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay.aur Agar jaan boojh kar jahan buland awaz say parhna hay aahista parhay aur jahan aahista awaz main parhna hay wahan buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahih hay.Ref:Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 951

Print   

  Question Mein Pichley 15 dinon se baghair sajda gah ke namaz parh raha tha la ilmi mein phir meray dost ne mujhe bataya ke sajda gah ke baghair namaz nahin ho sakti. Aap se darkhawast hai ke meri rehnumai farmaien ke meri namaz batil hai ya nahin. shukriya  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Agar koi shakhs aisi cheez par sajda karay kay jis par sajda karna durust nahi hay (bhoolay say ya is aitiqaad kay saath kay is par sajda karna sahih hay) to agar wo sajday say sar uthanay kay baad ya Namaz parh lenay kay baad mutawajjeh ho kay jis cheez par wo sajda kar raha tha wo sahih nahi tha to is ki namaz sahih hay.Ref: Minhaajus Saaliheen Pg.186 Masala No.558.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 936

Print   

  Question Salaam, namaaz me talwe dhamp ne ke bare me ka hukum hai.  
  Country   -
  Answer Aurat kay liye Namaz main Pair kay Talway chupana wajib nahi hay.Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala No.518 Pg.174  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 861

Print   

  Question Islam main five namaz allow hai but fiq-e-jaferria main laag three namaz parteh hian aur mosque main teen martaba aazan hoti hia  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Fiqh e Jafery main bhi log 5 Namazain parhtay hain.Laikin Azan 3 is liye detay hain kion kay wo Jam bainas Salatain kartay hain yani Zohar aur Asr ko Jama kartay hain aur Maghrib aur Isha ko Jama kartay hain Kion in Namazon ko Juda kar kay Parhna Lazim nahi hay,Agarchay Afzal ye hay kay har Namaz ko uskay Fazeelat kay Waqt main ada karain balkay fazeelat kay waqt kay bhi Awwal e Waqt main ada karay.Kionkay Rasool SAwW nay Zohar o Asr aur Maghrib o Isha ko 1 Azan aur 2 Iqamatoon kay saath Jama kiya hay baghair kisi wajah kay.Ref:Isitiftaat A.Sistani I-8.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 828

Print   

  Question kounse namazke kithne rakaath  
  Country  hyd - india
  Answer Salam un alaikum Aap ka sawal clear nahi hai laikin jo samajh aaraha hai us k mutabiq jawab yeh hai k Fajar ki namaz 2 rakat hai jabke Zohr ki 4 aur Asr ki 4 rakat hain aur jabke Maghrib ki 3 rakat aur Isha ki 4 rakat hain  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khamnaie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 806

Print   

  Question i have listen that in fazr namaz in last two rakat we does not read surrah after surah fatiha is it true or not plz ans me  
  Country  Rawalpindi - Pakistan
  Answer Teesri aur chothi rakat main mukallaf ko tasbeehaat-e-arbaa aur sura-e-Hamd kay darmiyan ikhtiyar hay.(yani chahay to sura-e-fatiha parhay chahay to tasbeehaat-e-arbaa parhay)Ref:Istiftaat A.Sistani I-27  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 805

Print   

  Question plz tell me the proper way to offer prayer for women  
  Country  Rawalpindi - Pakistan
  Answer Aurat kay liye Namaz parhnay ka tareeqa wohi hay jo mardoo kay liye hay magar ye kay namaz kay waqt aurat apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur aihtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaaey,lihaza agar aurat chadar is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnoo tak paaon ka laazmi ka zahiri hissa dhanpna zaroori nahi hay laikin ye yaqeen karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar shaanp li hay zaroori hay kay chehray kay atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.777...Subah Maghrib aur Isha ki namaz main aurat alhamd aur soora buland ya aahista aawaz say ,jaisa chahay parh sakti hay.laikin agar na-mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho to aihtiyat-e-wajib ki bina par aahista parhay.aur kaifiyat ye ho kay usay apni awaz sunana haram ho to zaroori hay kay aahista parhay aur is kay ba-wajood agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to aihtiyat ki bina par namaz batil hay.jab kay zohar aur asar ki namazoon main mardoo ki tarah aihtiyat ki bina par wajib hay kay aahista parhay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.979,981.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 681

Print   

  Question please let me know the timings for all the five prayers (Nimaz) at which these get Qaza.  
  Country  lahore - pakistan
  Answer A.Sistani kay nazdeek.. Namaz-e-Fajr:Subah ki azan kay qareeb mashriq ki taraf say aik safeedi ooper uthti hay jisay fajr-e-awwal kaha jata hay jab ye safeedi phail jaey to wo fajr-e-doom aur subah ki namaz ka awwal-e-waqt hay aur subah ki namaz ka aakhri waqt sooraj nikalnay tak hay,is kay baad namaz-e-fajr qaza ho jati hay..Namaz-e-Zohar-o-Asr:Zohar aur Asr ki namaz ka waqt zawal-e-aaftab (zohar-e-sharee yani aadha din guzar janay) kay baad say ghuroob tak hay.is kay baad namaz-e-zohar-o-asr qaza ho jati hay.aur ghuroob-e-aaftaab say itni dair pehlay kay sirf chaar rakat namaz ka waqt baqi reh jaey to namaz-e-zohar qaza ho jati hay aur sirf namaz-e-asr ka waqt baqi bachta hay..Namaz-e-Maghrib-o-Isha:Agar shak ho kay sooraj ghuroob hoa hay ya nahi aur is baat ka aihtimaal ho kay soorajpahaaroo,imaaratoo ya darakhtoo kay peechay chup gaya hay to zaroori hay kay jab tak mashriq ki taraf ki surkhi jo sooraj ghuroob honay kay baad numoodaar hoti hay insaan kay sar kay ooper say na guzar jaey maghrib ki namaz na parhay balkay agar shak na ho tab bhi aihtiyaat-e-wajib ki bina par zaroori hay kay mazkoora waqt tak sabr karay.Maghrib aur Isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs kay liye aadhi raat tak rehta hay laikin jin logoon ko koi uzr ho masalan bhool janay ki wajah say ya neend ya haiz ya in jaisay doosray umoor ki wajah say aadhi raat say pehlay na parh sakay hoon to in kay liye maghrib o isha ki namaz ka waqt fajr tuloo honay tak baqi rehta hay laikin in dono namazoo kay darmiyan mutawajjeh honay ki soorat main tarteeb motabar hay yani isha ki namaz ko jaan boojh kar maghrib ki namaz say pehlay parhay to batil hay laikin agar isha ki namaz ada karnay ki miqdaar say ziada waqt baqi na raha ho to is soorat main lazim hay kay isha ki namaz ko maghrib ki namaz say pehlay parhay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.123-126,Masala No.718,723,724,729.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 678

Print   

  Question Molana sahab Salam, mera wawal hai keh mai Landhi me kam karta hu jis ka fasla takreeban 30 se 35 Kilo meter hai kia mejeh Kaser Namaz parni hogi Ya puri Namaz Parni Hogi Thanks  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Jee Nahi.aap ko poori namaz parhni paray gee.Ref:Tauzeehul Masail A.Khoie Masala No.1289.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khoie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 333

Print   

  Question I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!  
  Country  Oslo - Norway
  Answer Salam un alaikum It is not permissable at all. Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087 We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khamnaie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 332

Print   

  Question I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!  
  Country  Oslo - Norway
  Answer Salam un alaikum It is not permissable at all. Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087 We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 331

Print   

  Question I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!  
  Country  Oslo - Norway
  Answer Salam un alaikum It is not permissable at all. Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087 We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khumeni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 330

Print   

  Question I want to ask about Shadat E Salasa in our five time prayers (salat )!. some momenin are saying also shadat for wilayat e imam Ali as in tashud! Please let me know if it is permitted or not to say the shadat e wilayat in tashud ? Some people say that it is mustahib and other belive that it is wajib but because of nasbis and enemies of ahlebayt mujtehedin could not allow it!  
  Country  Oslo - Norway
  Answer Salam un alaikum It is not permissable at all. Refrence:Tauzeeh ul Masail Agha Sistani Prob No.1087 We are extremely sorry for late reply due to some technical prob in our website.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khoie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 323

Print   

  Question Namaz main doaey qunoot kay baad moo par hath phair lain to kiya hukum hai.  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Aisa karna makrooh hay.Ref:Urwatul Wusqa Pg.188,Masala No.11.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 300

Print   

  Question AOA YAALIMADAD shia namaz aik sath kion ada kertay hain and plz i need ans in detail with authentic books  
  Country  lhr - pakistan
  Answer Fiqh e Jafery main bhi log 5 Namazain parhtay hain.Laikin Azan 3 is liye detay hain kion kay wo Jam bainas Salatain kartay hain yani Zohar aur Asr ko Jama kartay hain aur Maghrib aur Isha ko Jama kartay hain Kion in Namazon ko Juda kar kay Parhna Lazim nahi hay,Agarchay Afzal ye hay kay har Namaz ko uskay Fazeelat kay Waqt main ada karain balkay fazeelat kay waqt kay bhi Awwal e Waqt main ada karay.Kionkay Rasool SAWW nay Zohar o Asr aur Maghrib o Isha ko 1 Azan aur 2 Iqamatoon kay saath Jama kiya hay baghair kisi wajah kay.Ref:Isitiftaat A.Sistani I-8.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 277

Print   

  Question asalam o alikum, namaz main ruku k foran bad ager sajday main bholy say cahlay jaain tuo kiya hukum hai. wassalam.  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Ruku kay baad qayam rukn nahi hay lihaza agar koi shakhs isay bhool kar tark karday to is ki namaz sahih hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.945.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 226

Print   

  Question salam, 1,pls tell me the jamaat namaz rules in detail tht wht we hav to read with paish imam in zohrain and magribain. 2,during the break in magrib and isha can i offer my fajar namaz(qaz-e-umri) wuring the period. 3,wazo ki niyat kia hona zarori hian namaz le lie 4,agar koi shaks jamaat ke saath namaz parhna chahta hian to woh jamaat ke saath kaise start kare i mean woh namaz ke lie kia niyat kare jab ke jamaat akhri rakat main ho to. pls send me its answer as soon as possilbe iltamas-e-dua  
  Country  karachi - pakitsan
  Answer Salam un alaikum, 1) You have to read every thing with paish-e-imam except Sor-e-Fatiha and second sora in 1st and 2nd rakaat. 2) Yes, you can offer the qaza of fajr. 3) Agar yeh niyyat kee jaye keh "Mein wuzu karta hoon qurbatan-ilal-allah". 4) Wo niyyat yeh karay ga keh "Mein namaz-e-jamaat parhta hoon qubatan-ilal-allah". Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 288, 1470  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khamnaie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 146

Print   

  Question Q:1 Whose reward is more than the other between these two namaz ? (1) wajib namaz e.g. namaz e zuhr OR (2) mustahib namaz e.g. namaz e tahajjuj ( namaz e shab )  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Salam un Alaikum, We are extremely sorry for the late reply because of some functional reasons. We will try our best for the quick responce later. The obligatory prayer (wajib namaz) has more reward.  
  Topic  Namaz kay Aihkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

Copyrights © 2006-2007 reserved for Qoitrat.org.
Email: info@qoitrat.org