salam, 1 ghar mai majlis barpa hoti hai jis mai lADIES MARSIEY NOHEY OR MAJLIS PHARTI HAI, JIN KE AWAZ NA MHERAMO TAK B JATI HAI, OR KUCH SUNI HAZRAT IS KA MAZAK B URATEY HAI. KIA YEH JAIZ HAI
Country
karachi - pakistan
Answer
Aurat k liay ye jaiz nahi k wo apni awaaz ko khoobsorat or dikhash banaay k sunnay walay ki tabiyat hijaan aawar ho,chahay sunnay wala aurat ka mehram hi Q nah ho.(Jadeed Fiqhi masail,Maslah#500,Ayatullah seestani(d.b).)
1.Hum ne suna hai ke Biwi marnay ke baad Shohar ke liye Na-mehrum ho Jati hai woh na us ko hath laga sakta hai na dekh sakta hai kya yehi sahi hai ?
2. Kehtay hain joray asmanon par bantay hain .isi liye zameen par bhi wohi jora banta hai kya roz e akhrir bhi yehi jora banay ga ?
Country
Lahore - Pakistan
Answer
Jee nahi.bivi mernay k baad shohar k liay na-mehram nahi hojati.balkeh mernay k baad bhi bivi shohar ko or shohar bivi ko baghair kis perday k ghusl day sakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#548)
Salam, me aik medical college ka student hu and meri class me larke bi hai n larkiya bhi..aik class me hone ki waja se larkyoo se baat krna lazmi hojata hai.. is bare me kya hukum hai??
Country
karachi - pakistan
Answer
w.s. khilwat k maqam par agar mulaqat na ho to us soorat me jaiz he jab insan un tamam bato se dur ho jin k hote hue haram me padne ka khouf ho sakata he. (ref: mujthid se puchh gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 4 page 65-66)
Salaam. Mera sawal yeh hai kay kya hum recorded programs jin main baz dafah na mehram kay shoulders ya gardan kay hissay dikh rahay hotay hain . Hum issay dekh saktay hai ya nahi? Thanks.
Country
Karachi - Pakistan
Answer
aurat kay liyay na-mehram mard ke jisim par nazar dalna haram hai, lekin aurat mard kay jisim kay un hisso eg. sar(head), dono haath, dono pindliyoo par jinhain urfan chupana zaroori nahi hai, lazzat kay iraday kay bagair nazar dalay aur haram mein mubtila honay ka khauf na ho to koi haraj aur ishkaal nahi hai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 2392.
ASSALAM O ALIKUM
AGAR KOYE LARKI LARKON SAY DOSTI NAHI KARNA CHAHTI. MAGAR WOH UN KO ISLAM KI BATAY BATATI HAY .tu yeh jaiz hay ya nahi?
Country
khi - pak
Answer
agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein parnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139.
Salam
mera sawal yeh hai mai money kharij honai say pehlai jo ratobat nikalti hai woh pak hai ya nahi or aghar money kharij nahi howi or us say pehlai kharij honai wali ratobar kharij hojai to kia us halat mai namaz perhi ja sakti hai ya nahi Plz reply as soon as possible in waiting 4 ur reply ?
salam.muje ye pochna ha k agar koi apni biwi se baat karey phone pe aur baat krte hue ya kuch soch k uski mani kharij hojae,to uskey barey mai kia hukum ha?kia is se gunah hota ha aur ghusl wajib hojata hai?aur ehtelaam kisey kehtye hain?
Country
Karachi - Pakistan
Answer
1, woh rutubat jo kabhi kabhi shewat ubharnay par mard kay aala-e-tanasul se kharij hoti hai usay "mazi" kehtay hain jo paak hai, lehaza is par ghusl-e-janabat nahi hoga. aur guna bhi nahi hoga kyon ke woh miya biwi hain. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 70+nikha ke ahkaam, pg 25+334.
2, insaan ka aik khaas had tak pochna, ke jis kay saat woh qadir ho jai mani kay nikaalnay par (is se farq nahi parhta ke yeh halat-e-need mein ho ya jaagtay huway). REF: mustalihaat-e-fiqh, buloog, pg no. 107.
SALAM main ek teacher hoo kia main girls ko para sacta hoo
Country
karachi - pakistan
Answer
Jaiz hay agar haram main parnay ka khouf na ho (agarchay wo haram main parna haram nazar hi say kion na ho) lihaza agar haram main parnay ka khouf ho agarchay rafta rafta hi sahi to phir ye jaiz nahi hoga.Ref:Istiftaat A.Sistani S-48.
Can we see any Na Mehram by our eyes.?Answer me in detail
Country
karachi - pakistan
Answer
1:Mard kay liye na-mehram aurat ka jism dekhna aur isi tarah is kay baloon ko dekhna khwah lazzat kay iraday say ho ya is kay baghair,Haram main mubtala honay ka khouf ho ya na ho Haram hay..Is kay chehray par nigah dalna aur haathoo ko kalaiyoon tak dekhna agar lazzat kay iraday say ho ya Haram main mubtala honay ka khouf ho to Haram hay.balkay Aihtiyat-e-Mustahab ye hay kay agar lazzat kay iraday kay baghair ya haram main mubtala honay ka khouf na ho tab bhi chehray aur haathoo ko kalaiyoon tak na dekhay...2:Wo be-parda aurtain jinhain agar koi parda karnay kay liye kahay to wo isko aihmiyat na deti ho,un kay badan ko dekhnay main agar lazzat ka qasd ya haram main mubtala honay ka khouf na ho to koi ishkaal nahi,is hukum main kafir aur ghair-kafir aurtoo main koi farq nahi.isi tarah un kay haath,chehray aur jism kay deegar hissay jihain chupanay ki wo aadi nahi,koi farq nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2392,2393.
Assalaamualikum my name is huda i m 14 years old mera sawal yeh hai kay kya hum male doctor sey test (blood test, hepatiatis , sugar test etc ) kar wa saktein hain jabkay hamain jan ka khatra bhi nahi hai. Thank you
Country
karachi - Pakistan
Answer
Aurat agar na-mehram mard say apni kisi aisi beemari ka ilaj karanay par majboor ho jiska ilaaj wo behtar tor par kar sakta ho to usay ijazat hay kay wo na-mehram mard say apna ilaj karwa sakti hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2400.
salam
mara sawal ye hai k ager kissi k matay per zada ball hain tuo kiya un ko bhi chopna hai ,
ager koi larka body buliding keray tuo kiya ye qulat hai.yani ak terhan say uss ka ye kam zeenat hogaya .
wassalam
Country
karachi - pakistan
Answer
Jee haan,Khawateen kay liye na-mehramoo say chehray aur hathoo kay ilawa baqi tamam badan aur baaloo ka chupana wajib hay.Ref:Book-1 Q.No.140...Larkoo kay body building karnay main bazat-e-khud koi haraj nahi hay,jaisay mard kay chotee aasteen ki qameez pehenna aur eye brows banwana jaiz hay.Ref:Book-4 Q.No.123,135...Haan albatta aurat kay liye na-mehram mard kay jism par nazar daalna Lazzat kay iraday say aur haram main mubtala honay kay khouf kay saath Haram hay balkay Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par lazzat ka irada aur haram main mubtala honay kay khouf na ho tab bhi nigah nahi daalni chahiye.laikin agar aurat mard kay jism kay un hissoo masalan SAR,DONO HAATHOO,aur DONO PINDLIOON par jinhain umooman mard nahi chupatay lazzat kay iraday kay baghair nazar daalay aur haram main mubtala honay ka khouf na ho to koi Ishkaal nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2392.
salam
kia kisi namehram say dosti ki jai tu haraam hey jub key hum us say milna rahey ho aur agar milay tu bhi pardey may milay aur kia us say phone per baat ki jasakti hey i mean kia awaaz sunana haraam hey ya us may koi prb nahi??
khudha hafiz
Country
karachi - pakistan
Answer
Na-mehram say dosti jaiz nahi hay.Aik mard kisi khatoon say aisi batain kar sakta hay jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jab kay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni jasakti hain jab kay haram main na parnay ka itmeenan ho albatta is soorat main aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur baqreek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho.Ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125.