mujhe ye poochna tha k mujh se bht se gunah surzard hoye hoye hain... bht se anjanay mei aur bhtt saray jaaan krr... main her baar Allah se touba karti hn pr phr behak jati hn... ap kuch parhne k liye batayein jis se main apne nafs pr qaboo rakh sakon... gunah ki maafi k liye kya karon... koi khass dua ya khass namaz hai to bata dein
Country
Al-ain - UAE
Answer
bismehi taala, aane wali shabhae qadr 19-21-23 ki rato me touba ka behtreen moqa he aur toba k liye sahifaye kamela jise sahifaye sajjadiya bhi kahete he us me moujood "dua-e-tuba" ek behtreen dua he.
agar ham nay apnay guzishta tamam gunahoo ki tauba karni ho to wo ham kaisay karain iska koi proper tarika bata dain detail may plz
Country
lahore - pakistan
Answer
bismehi taala, sab se pehle to parvardigare aalam ki barghah me ham ne jo gunah kiye ho un par pshemani honi chahiye, us ke baad aeenda gunah na karne ka pakka irada phi hona chahiye, is k baad tisre marahel me jo gunah kiya gaya he uska azala karna bhi zaroori he aur woh is tarh se k agar namaz ko choda gaya ho to us ki qaza karni padegi aur agar kisi ko kisi qisma ka nuqsan phonchaya tha to woh nuqsan pura karna padega, yeh sari batain insan k apne gunaho ki qafiyyat par he, in umoor ki anjam dahee k baad raheeem o kareem parvadigar aalam se mohammad w aale mohammad s.a.w.w. ka wasta dekar dua ki jaye to inshaAllah zaroor tauba qabool ho jayegi.
salam.mje mencse problm he sirf dag lagta he 3 ya 4 din meri shadi ko 2 sal se zyada ho gae hen lakin olad nahi hoi ap batae me kia karon jis se me thik ho jaon or olad b jald ho jae
Country
hail - sa
Answer
w.s. tibbul aeemma me Hazrat Imam Jaafar Sadiq alhis salam se ek hadees bayan ki gaee he. jis me aap alhisslam ne farmaya: jab kbhi kisi momeen ko koi marz lahaq ho jaye to marz ki jagh hath rakhkar Bismillahir rahmanir raheem "w nonazzelo menal quraane ma how shefauw w rahmatul lil muameneen w la yazeeduz zalemeen ella khasara" (sure bani israeel ayat no. 82) padhe to kaysihi bimari kyun na ho inshaAllah dur ho jayegi. (naeemul aamal page no.358)
Salam. Mere liye dua kijiye. Mujhe ek rishta aya tha. . Mere ghr walo ko and sabko pasand hai. But ladke ke papa kehrahe hai mai boht pasand hun but woh maang bhi boht rahe hai. Ladka boht acha hai. Ap kuch aisi dua bataye k rishta manzur hojaye nd ladke ke papa manjaye..alhfz nd ap b mere liye dua kijiye alhfz
Country
Hyderabad - India
Answer
w.s. agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.
Aslamo alikum kya app meri email per mughay shaadi ka asaan sa wazeefa dey saktay hi iss say meri jaldi shaadi achi jageh ho jaye
Country
lahore - pakistan
Answer
w.s. agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.
a.o.a
molana shahib plz plz mujay kaui duwa ya wazifa bata dain tak meri kisi achchy say insan say shadi ho jay .meri age 34 ho ge hai.i m syed n shia ,educated,belong to a rich family too.may nay phely be q kia tha aap say.but kaui reply nahi mila.
thx
Allah hafiz
Country
lahore - pakistan
Answer
agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.
a.o.a dear molana mujay ap ke mail mili jis may aap nay inform kia k mera sawal update ho gia hai but may nay sari website viste ker le but mujay mera answer nahi mil raha.plz help me .i donot remember my q # also.but my q was that plz tell me any duwa k meri shadi ho jay i m syed 32year old girl.
thx Allah hafiz
Country
lahore - pakistan
Answer
book MISBAAH KAFHIMI & DUR-UN-NAZEEM mein hai ke agar kisi larki kay liyay kaheen se koi rishta na aaraha ho to Quran kay Para no.16, Sura TAHA, Ayat no. 131-132 kagaz par likh kar taweez bana kar us larki kay bazu (arms) par baandh dain. insha allah in ayaat ki barkat se us ki jald shadi ho jaigi. REF: Amaliyaat-e-Qurani, hisa 2, pg no.50, shumara no.18.