Online Question & Answer System   

Homepage

View Topic Wise Questions

Ask Question

Search Question

 

 

  Topic:  Haiz

  Ques. ID 2550

Print   

  Question salamun alaikum,mera sawal yeh hai kay maiany apnay ghar aik amal kurnay ka ahtamam kiya hai jis main hum aurtain milkay salawat ki tasbeeh parhaingay and hadees e kisa or dua e tawassul parhaingay,laikin mujhay periods aagaye hain,to kya main haiz ki halat main yeh tasbeeh parh sakty hoon,plz reply me soon,JAZAKALLAH,ALLAHHAFIZ.  
  Country   - canada
  Answer jee haan aap haiz ki halat main ye sab kaam kersakti hain or iska sawab bhi hay. Kawateen per periods main khuch kaam kernay haram hain 1)apnay jism ka koe hissa Quran ki huroof say or isi terah ambiya (a.s) or 14 masoomo k namo ko chona. 2)masji dul haraam or mamji dun nabawi(s.a.w.w) main dahkil hona. 3)baqi tamaam masajid main rukna.is terah ehtiyaat e wajib hay k imamo k haram main rukna. 4)masjid main koe cheez rakna chahay masjd k bahar say rakhay. 5)on 4 ayaat ki tilawat kerna jin k perhnay say sijdah wajib hojata hay. 6)jin ibadaat k liay paaki(taharat) zarori hay(maslan namaz,roza) ka baja lana. 7)hambistari / jima (intercourse). (ref: Aayat-ul-Allah Khamnaie (D.B),Talee mul ehkaam,page #100,101) tawzee hul masail,sawal #228,229.  
  Topic  Haiz
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khamnaie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 2173

Print   

  Question mulana sahab mera ye sawal ha k jab haiz ki halat may hamary rozay choot jatay ha to jab ramzan k baad ham nay aglay ramzan tak un rozo ko pura karna ho to kiya unko pura karnay k liye eid k dosray din roza rakna lazim ha or agar kisi nay eid k dosray din roza na rakna ho wo na pak ho to wo apnay rozay kaisay poray karay.  
  Country  lahore - pakistan
  Answer bismehi taala, haiz ki wajeh se chode huye rozo ki qaza mahe ramzan ke fawran baad karna zaroori nahin hain albatta agla mahe ramzan aane se pehle qaza kar leni chahiye (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaal no.475)  
  Topic  Haiz
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 2142

Print   

  Question ek aurat yan larki ko haiz ki halat main namaz ki ejazat hay?  
  Country  qetta - pakistan
  Answer bismehi taala, In makhsoos ayam main Namaz aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,JAIZ NAHI hay.laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu,ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat waghaira.Haaiza kay liye mustahib hay kay Namaz kay waqt apnay aap ko khoon say paak karay aur Rooi(Cotton) ka tukra badlay aur wuzu karay aur agar wuzu na kar sakay to tayammum karay aur Namaz ki jaga par ro-baqibla ho kar itni dair tak baithay jitni dair usay Namaz parhnay main lagti hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.76,78,Masala No.448,466.and I-21.  
  Topic  Haiz
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 2119

Print   

  Question A.A thanks k apnay mujay wazifa bataya karnay ko manay usay magrib ki namaz k bad suroo kiya ha parna or ma usay daily parhoo gi usi time p par mujay ye pochna tha k ma usay kitnay din parhoo agar napaki k din ayee jab ma 7 din na par sakoo to usay kuch hoga to nai na or sura muzammil ma par lo lakin wo 41 days parna ha or pir napaki k din may chot jayee gi usk liye kaya karna.or ma chahti ho k is amal k sath ap mujay koi wazifa batayee jisko parnay say meray ghar walay khudi is rishtay k liyee man jayyeee or haan kar dain.or manay quran say faul nikalnay ka pocha tha us jawab ko ma kis topic may parhoo plz bata dain reply me jaldi.  
  Country  lahore - pakistan
  Answer w.s. 1) haiz ki muddat k darmiyan amal ko chod dene se inshaAllah koi nuqsan nahi hoga. 2) haiz ki halat me sajde wali char surto k alawa qurane majeed ki tilawat karana makrooh he (yaani sawab kam milega, yaani aap sure muzammil ki tilawat ko haiz ki halt me bhi jari rakh sakate hain albatta yeh khayal karna hoga k hath qurane majeed k alfaz par na lage) (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 483,456) 3)quran se istekahara kiya ja sakta he, aur is k liye kitab mafatihul jenan me tariqe likhe huve hain, shadi k mutalliq yeh istekhara kiya ja sakta he k phulan jagah par rishta karna kaisa he ?  
  Topic  Haiz
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1859

Print   

  Question after periods ghusal kerna zaroori hae or us ka tariqa kia hae...plz reply soon  
  Country  multan - pakistan
  Answer bismehi taala, gusale haiz wajib he, tatibi gusal me ahteyate lazim ki bina par gusal ki niyyat se pahle pura sar or gardan or bad me badan dhona zaroori he or bahetar he k badan ko pahle daeen tarf se or bad me baeen tarf se dhoya jae. (tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 367)  
  Topic  Haiz
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1797

Print   

  Question kya haiz ki halat mein aurat se humbistari jaiz hai?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer bismehi taala, sharmgah me jemaa jaiz nahi (ref: tawzihul masail Aytullah Khumeni (r.a.) masaala no.450)  
  Topic  Haiz
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khumeni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1557

Print   

  Question salam moulana shab mera sawal ya ha ka larkio ka jab haiz ka din chal reha hota haan to kia 4 din ka baad sa us ka sath humbastari kar sakta haan plz jaldi jawab di jia ga kyu ka kuch moulana khata haan ka agar baccha nahi hota ho to ap larki ka sath halat haoz ma jab larki ka 4 ya 5 din chal reha ho ap us ka sath kaam kar sakta ho plz bhataya ya thik ha ya nahi is bata ma aayat-ul-allah seestani ka fatwa ha plz reply me as soon as possible  
  Country  karachi - pakistan
  Answer ji haan. haiz kay ayyam (days) mein aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono kay liyay haram hai. khuwa dukhool sirf supari ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkay ehtiyaat-e-wajib yeh hai ke supari se kam miqdar mein bhi dukhool na kia jai. albatta yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima kay liyay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi kay bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho). REF: A.Sistani, Tauzeeh-ul-masail, masla no. 448+435.  
  Topic  Haiz
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1155

Print   

  Question mujay 10 days periods hothay hain (10 kay baad blood nahi ata) but 3 din k baad bleeding stop ho jaati hai phir kisi kis din hoti hai but 9th day ko phir say hoti hai.mujay yeh poochna hai k ager may ghusl(bath) ker loo jub bleeding stop ho jay 4th ya 5th day aur sex ker loo husband say tho kia yeh sahi hai?  
  Country  lahore - palistan
  Answer A.Sistani kay nazdeek : Agar aap ko waqt means Date kay aitibaar say bhi same days main bleeding hoti hay to aisi soorat main Aihtiyat e Wajib ki bina par zaroori hay kay wo jin dinoo main blood nahi aya hay un kaamoo say parheez karay jo Haiza par Haram hay.aur Mustahaza kay Aamal ko anjaam day. (Note: aap kay Haiz ki Aadat Days kay aitibar say wohi din shumaar hongay jis main aap ko bleeding hoti hay means agar start main 3 days aur phir 3days gap aur baad main 3 days to total 6 days ki aadat shumar hogee na kay 9 days ki.) Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.469 Part-2. Pg.79. Agar aap ko waqt kay aitibaar say different days main bleeding hoti hay to aap ki zimmerdari hay kay aap jin days main blood nahi aata hay un main Aihtiyat karain yani Paak aurat par jo cheezain wajib hain (masalan NAMAZ) unhain anjaam dain aur jo cheezain Haiza aurat par Haram hain(masalan JIMA) un say parheez karain. Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.482 Part-2 Pg.85 Masala ki Wazahat: Waqt(Date) aur Adad (Days) ki adat rakhnay wali aurat usay kehtay hain jisay yekey baad deegare 2 months main same date par aur same days main blood aaey masalan dono months main 7 days blood aaey aur date 1-7 hi ho both months main. Waqt ki aadat rakhnay wali aurat usay kehtay hain jisay yekey baad deegare same date par blood aaey laikin days different hon masalan 1st day to 7th day blood aaey 1st month main aur 2nd month main 1st to 8th day tak aaey. Adad ki aadat rakhnay wali aurat usay kehtay hain jisay 2 months main barabar days blood aaey laikin date different ho.masala 1st month main 1st say 5th tak blood aaey aur 2nd month main 25th say 30th tak aaey to uski aadat 5 days ki hogee. Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.468 Pg.78 Topic-HAAIZ KI QISMAIN.  
  Topic  Haiz
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1037

Print   

  Question jab periods ke din hote hain ladies ke to kia woh Quran parh sakti hai ya jo surah zabani yaad ho un ko parhna sahi hai like Ayatul Kursi wagaira aur agar Quran khol kar surah parhti hai yeh ehtiyat ke sath ke huroof per hath na lagay to kia sahi hai plus shab e kadar ki ratein hain so agar is halat main Joshn e kabeer ke amal kiyeh jaye to sahi hoga ?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Quran Majeed ki wo Ayatain Jin kay Parhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka is Haalat main parhna Haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Ilawaa Quran ko Saath rakhna,Iskay Hashiye ko Choona aur Ibaarat kay Darmiyani Hissay ko Mass karna Makrooh hay.Dua e Joshan e Kabir Parnay main koi Haraj nahi hay Sirf Khuda aur uski Makhsoos Sifaat ko choona Haraam Hay.Ref:Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.  
  Topic  Haiz
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 980

Print   

  Question How can a woman pray during menses, if she wants to at the time of azan / namzaz?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer In makhsoos ayam main Namaz aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,JAIZ NAHI hay.laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu,ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat waghaira.Haaiza kay liye mustahib hay kay Namaz kay waqt apnay aap ko khoon say paak karay aur Rooi(Cotton) ka tukra badlay aur wuzu karay aur agar wuzu na kar sakay to tayammum karay aur Namaz ki jaga par ro-baqibla ho kar itni dair tak baithay jitni dair usay Namaz parhnay main lagti hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.76,78,Masala No.448,466.and I-21.  
  Topic  Haiz
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 918

Print   

  Question halat_e_haiz main nazer dili chize kahasakti hai  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Jee haan JAIZ hay.Ref: Isftiftaat A.Khaminae K-34.  
  Topic  Haiz
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khamnaie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 281

Print   

  Question if a woman gets tahir after midnight (blood of haizz stops after midnight) is it wajib for her to perform ghusl and pray magrib /ishaa or only namaz e fajr is wajib on her ? 2.how will be midnight calculated according to ayatullah khoir.a?  
  Country   -
  Answer 1:Kisi uzr ki wajah say maghrib ya isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to aihtiyaat-e-wajib ki bina par usay chahiye kay subah ki azan say pehlay pehlay ada aur qaza ki niyyat kay baghair namaz parhay (lihaza aap ghusl kar kay (aur behtar ye hay kay ghusl say pehlay wuzu karay) namaz-e-maghrib o isha baghair ada aur qaza kay anjaam dain)...2:Adhi raat ka hisaab awwal-e-ghuroob-e-aaftab say ibtida-e-tuloo-e-aaftab tak karna chahiye.(is bina par maghrib o isha ki namaz ka aakhiri waqt zohar-e-sharee kay 12 ghantay baad tak hay)masalan agar zohar ka waqt 12:30 bajay din main hota hay to maghrib o isha ka waqt raat 12:30 tak rahay ga.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.472,748.Minhaajus Saaliheen Masala No.134.  
  Topic  Haiz
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khoie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 109

Print   

  Question Kiya najasat e haiz ki halat main shohar kisi bhi qism ka rabta rakhna sahih hay?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Najasat e Haiz ki haalat main Aurat say Jima(Sexual Intercourse) kay Ilawa har qism ka rabta rakh saktey hain. Ref:Masala No.459 Pg.No.102.(Urdu Tauzeeh-ul-Masail)  
  Topic  Haiz
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khoie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

Copyrights © 2006-2007 reserved for Qoitrat.org.
Email: info@qoitrat.org