mara sawal hai k hamary ghar main aik budkar orat rehti hai mari nani ki khidmat k lia lakin dill sy wo orat saf nai hai.islmi tor py bi kafi ahadiss ko badal k sunati hai or khud ko mualama batati hai jo nakabile burdasht hai.kya hum unki galat bato py tameez or lihaz ko samny rakhty hoe chup rahty or unki fazool bato py dehan na dy ker acha kerty hain ya hamain gunaha hoga?
Country
lahore - pakistan
Answer
Aap amar bil maroof (naik kaam ka hokum dayna) or nahi anil munkar (burae say rookna) ki shrait or darajaat k mutabiq amal karain.
Amar bil maroof ki 5 shaarit hain jin main say aik ye bhi hay k amar bil maroof or nahi anil mukar kernay wala maroof (achchay kaam) or munkar (buray kaam) ko jaanta ho k ye baat sahi hay ya ghalat.
Or is k 3 darajaat hain Jin main 2 ye hain. pehla derjah ye hay k aap 1) gunahar or gunah say dili naraf ka izhaar karain or os say mulaqaat or baat kerna chordain.2) zabaan say nasihat karain, or haram kaam say rokain or os kaam ka azaab biyaan karain.mazeed ye k kisi ko baghair tasdeeq k badkaar kehna aik barha gunah hay..(ref: yat ullah Khoie,Tauzee hul masail, Pg#304,305). (Ap ko chahiaay k on ki jo baatain aap ko khilaaf e shariyat lagti hain on ki ulama say tasdeeq Karin k ye batain sahi hain ya ghalat)
assalam o alaikum
sawal hai k mera recent nikkah hoa hai do maheeny bad shadi hai. mery husband namaz nhi party na h roza rakhty hain mery khny par unho ne nikkah k bad namazein start kr di t but ab phr sy nahi parhy n mera un ko namaz k liye force karna pasnd nhi. main bht pareshan hon mera dil door hota ja rha hai unsy q k woh namaz nhi party ap koi tareeka bataen k main kistrha samjhaon unhe plzzzzzz. n roza ki ahmiat or namaz tark karny wali ki saza.
jazakAllah
Country
karachi - pakistan
Answer
w.s., aap zabardasti nahin kar sakte, aap nasihat aur amr bil maaroof k zariye is kam se rok sakte hain. (ref: www.sistani.org/urdu/amr bil maaroof/q1)