Agar Peshab ke qatre ate hon to kya har namaz se pehle kapre pak karna zaroori hay ya nahin. Agar hai to is ka tareeqa kya hai. Aur kya har namaz se pehle penis aur tangon ko dhona zaroori hai ya nahin.
Country
chin - Canada
Answer
agar paishaab kernay k kaafi waqt guzarnay ki wajah say itminaan ho k paishaab naali(penis) main baaqi nahi raha or is doraan jism say koe rutubat kharij ho or os k baaray main shak ho k ye paishab hay k koe or rutubat tu wo paak kehlaay gi.agar aap ko yaqeen ho k ye paishab hay tu aap ko jism or badan ko paak kerna wajib hoga.aap paishaab k baad istibra karain.istibra aik mustahab amal hay jo merd hazraat is liay kertay hain k itminaan ho jaay k paishaab ab naali main baaqi nahi raha.or istibra k baad jo bhi mashkook rutubat niklay wo paak kehlaay gi or wuzu bhi baaqi rahay ga.mazeed ye k paishaab k baad kabhi kabhi aik rutubat bhi kharij hoti hay jis ko wadee kaha jaata hay jo k paak hay or is k nikalnay say wuzu bhi baaqi rehta hay .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#69,70,72).
Agar paishaab k qatray aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zarori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar ossay sirif itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirif namaz k waajibaat injaam day or zarori hay k mustahab kaam maslan azaan,iqamat or qunoot ko chorh day.laikin zarori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#306).
AOA, peeshab kay baad 1 mard nay 3 baar sharamgah paak ker li.phir istibra kertay huay sharamgah say cheentay jism per gir jaaen tau kya woh paak hein?please reply by Ayat-ul-Allahh seestani fatwas
Country
Karachi - Pakistan
Answer
Maqam e paishaab ko aik baar dhoona kaafi hay or behtar ye hay k 3 mertabah dhooya jaay.agar aap ko ye yaqeen (100%) ho k jo cheentay aap k jism per lag gaay hain wo paishaab k qatray hain jo paishaab ki naali say istibra kertay waqt niklay hain tu jism ka wo hissa najis ho jaay ga. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#62,119).
Salam agha sb. Mara sawal yah hay kah agar bagum sa char char karta hua ya koie film waghara dakhta hua agar shak ho jaia kay maney kharij ho gaie hay ya yaqeen ho jai kah kharij hoie the. to ase soorat main kay hamra paint aor shirt, ya shalwar qameez donon najas ho jate hain ya sirf shalwar, paint. aor qameez aor shirt dhona ke zaroorat ha ya naheen.
Country
rawalpindi - pakistan
Answer
jis jagah per lagay sirif wohi maqaam nijis hota hay jahaan nijasat lagi hay baaqi tamaam jagah paak rehti hay.mazeed ye k jis ko yaqeen ho k os k jism say maney karij hoe hay tu os per ghusl wajib hay sirif shak say ghusl wajib nahi huta.maney k nishaniyaan teen hain:i) lazzat say kharij ho.ii)uchal ker niklay.iii)nikalnay k baad jism sust hojaay.(ref:Aayat-ul-Allah Khamnaie(d.b),talee mul ehkaam,Pg# 50 & 100)
salam,,
mujhay jab peshab nahee b aaraha hota to b lagta hai k kuch qatray niklay hain plzzz. tellll me k kia ye peshab k hain??kia ab paak insaan is se napak hojata hai i never understand this problem,,,,,,,,plzzz reply me ASAP..
Country
bendigo - australia
Answer
agar paishaab kernay k kaafi waqt guzarnay ki wajah say itminaan ho k paishaab naali(penis) main baaqi nahi raha or is doraan jism say koe rutubat kharij ho or os k baaray main shak ho k ye paishab hay k koe or rutubat tu wo paak kehlaay gi.agar aap ko yaqeen ho k ye paishab hay tu aap ko jism or badan ko paak kerna wajib hoga.aap paishaab k baad istibra karain.istibra aik mustahab amal hay jo merd is liay kertay hain k itminaan ho jaay k paishaab ab naali main baaqi nahi raha.or istibra k baad jo bhi mashkook rutubat niklay wo paak kehlaay gi or wuzu bhi baaqi rahay ga.mazeed ye k paishaab k baad kabhi kabhi aik rutubat bhi kharij hoti hay jis ko wadee kaha jaata hay jo k paak hay or is k nikalnay say wuzu bhi baaqi reta hay .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#69,70,72).
Salam u Ailiakum
i want to ask that if a person has problem of piles and bleeding after motion is done.is the splashes of blood is pak or not .plz do answer my question
Country
l - pakistan
Answer
Bawaseer(piles) k khoon k cheentay(splashes) najis hain. Agar piles (bawaseer) ki bemari ki wajah sa agar maqam e pakhana sa khoon niakalty huay tangon pay lag jaay tu taang ko paak kerna hoga.Laikin agar khoon kaprhay k os jagah per laga ho jo khoon nikalnay ki jagah k qareeb ho, ya jism main maqam e pakhana or is k qareeb laga ho tu namaz k liay is khoon ko paak kerna zaroori nahi ye maaf hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#838,839).
Salam
mera sawal yeh hai mai money kharij honai say pehlai jo ratobat nikalti hai woh pak hai ya nahi or aghar money kharij nahi howi or us say pehlai kharij honai wali ratobar kharij hojai to kia us halat mai namaz perhi ja sakti hai ya nahi Plz reply as soon as possible in waiting 4 ur reply ?
Country
Karachi - Pakistan
Answer
ji haan woh rutubat paak hai aur namaz bhi parhi ja sakti hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail (11 edition), masla no.72.
i wanna ask the difference between Najis And Haram
Country
Melbourne - Australia
Answer
Haram:Har wo amal jis ka tark karna shareat ki nigah main zaroori ho...Najis ki 2 qismain hain Najis-ul-Ain:Jo zaatan najis ho aur paak na ho sakti ho jaisay peshab aur pakhana waghaira..Mutanajjis:Jo zaatan najis na ho balkay kisi najis-ul-ain ki wajah say najis ho jaey.
agher koi aisa kapra ho jis ko dohnay k baad nickora nahi ja sakta for example (molty form) ya (4pai) tau is surat mai with out nichoray paak ho jai ga.
Country
karachi - pakistan
Answer
Molty Foam un cheezoon main say hay jin ko nichora ja sakta hay.Agar najis cheez ko kur ya jari
pani main aik martaba yoon duboo diya jaey kay pani is kay tamam najis maqamaat tak pohunch jaey
to wo cheez paak ho jaey gee aur qaaleen ya daree aur libaas waghaira ko paak karnay kay liye
isay nichorna aur isi tarah malna ya paaon say ragarna zaroori nahi hay.aur agar badan ya libaas
peshaab say najis ho gaya ho to usay kur paani main do martaba dhona zaroori hay albatta jari
pani main aik martaba dhona kafi hay.agar najis chatai ko jo dhaagoon say bani hoi ho kur ya jari
pani main duboo diya jaey to ain-e-najasat door honay kay baad wo paak ho jaey gee,laikin agar
usay qaleel pani say dhoya jaey to do martaba dhonay kay saath jis tarah bhi mumkin ho is ka
nichorna zaroori hay khwah is main paaon hi kion na chalanay parain,takay is ka dhowan alag ho
jaey.(Lihaza charpai ko agar qaleel pani say dhoay to jis tarah bhi mumkin ho is ka nichorna
zaroori hay)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.153,154,157.
Salamun Alikum,
Hum yehan Toronto kay jis area main rehtain hain akser abadi Ahmadi (Qadyani)ki hai, un kay sath atluqat main kehan tak ehtyat karni chahye yani khanay peenay of milnay julnay main
an early repy will be highly appreciated.
Country
Toronto - Canada
Answer
Wo shakhs jo kisi Nabi ki Nabuwwat aur Zarooriyaat-e-Deen main say kisi aik ka inkaar karay jo juzuwi toor par hi sahi Rasool-e-Akram SAWW ki takzeeb ka sabab banay Najis hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.103...Musafaha karna aur aisa khana khana jo najis na ho is main bazaat-e-khud koi haraj nahi hay aur jaiz hay.Ref:Book-4 Q.No.28...Haan agar najis cheez kisi paak cheez ko is tarah lag jaey kay un main say koi aik is qadar tar ho kay aik ki taree dosri tak pohunch jaey to paak cheez najis ho jaey gee.masalan Qadiyani ka haath kisi saalan ya tarr khanay par lagg jaey to wo khana najis ho jaey ga.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.119
When i wake up i can feel a bit of semen but i cannot tell if it is mani or mazi, can i read salat in this state?
Country
Gloucester - UK
Answer
Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat Mazi ho to paak hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.62,Masala No.345,Pg.25,Masala No.70.
Salam-o- Aalikum,
Mera sawal yeh hai key humari office main tamam peon hindu hain aur Approximately 50% staff non-muslim hai, aur aik hi wash room hai, aik cooler hai jis main sai sun pani peetay hain. main pani tu office ka nahin peta laikin wash room ka bahat masla hota hai ?
Country
Karachi - Pakistan
Answer
Salam un alaikum,
Aqai Sistani kee nigah mein hindu najis hein laikin esaai, jews aur majosi paak hein. Lehaza agar aap ko office key bathroom key najis honay ka yaqeen ho aur tari key libas ya badan ka koi hissa wahan lag jaye to sirf wohi hissa najis mana jaye ga aur namaz key liye us ka paak karna zaroori hoga.
NOTE: We are sorry for the late reply.
salam,plz mujhey is baat ka ans dain k jub sex key baad mani agar bedsheet per gir jai tu kia woh bedsheet haraam hojati hey??? agar hojati hey tu us ko paak karnay key liay us hissay ko dhoya jai ya poori bedsheet??
isi tarah agar jo kapray hum is key baad pehnay woh kia gusal key baad bhi pehen saktey hain ya woh najis hojatey hain?
plz yeh bhi batai key ans kaha milay ga is web site per ya meray email address per aaiga???aur kitnay dino baad milay ga?
khuda hafiz
Country
karachi - pakistan
Answer
Bed-Sheet par najasat girney say bed-sheet haram nahi hoti balkay najis hoti hay.aur is ko paak karnay kay liye sirf itna hissa dhoo lena kaafi hay kay jitney hissay par najasat lagee hay..aur jo kapray us waqt aap nay pehnay hoay hoon agar najasat us tak pohunch jaey to wo bhi najis ho jain gay.aur agar najasat in tak na pohunchay to wo paak hain aur ghusl kay baad inhee kaproo ko pehen saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.31,Masala No.122.
salam
ager kissi muslim ka passeena lebass per lag jay or ham ko maloom na ho k aaya pak hai ya najees tuo hum kiya uss hi lebass main namz ada ker saktay hain
or ager bad main maloom ho k uss nai koi wajeeb gussol nahi kiya tuo ada ki jani wali namz k liye kiya hukum hai
wasalam
Country
karachi - pakistan
Answer
Agar kisi paak cheez kay baray main ye na jaanta ho kay paak hay ya najis to wo paak hay,musalmaan ka paseena choonkay paak hay lihaza is main namaz parhnay main koi haraj nahi hay.agar koi insaan koi wajib ghusl anjaam na day to is ka paseena najasaat main say shumaar nahi kiya gaya hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.30,Masala No.114-116
Raat ko sotay wakt money kharij ho gai thi aur bistar ki chadar kay sath metres bhi najis ho gaya tha chadar to may nay pak kar li metres kay liye kiya hukum hay kiunkay metres ko dhoya to nahi ja sakta may nay metres ki site change kar di hay najis honay wala hissa neechay kar diya hay aur dusray hissay par chadar bicha raha hoon aur usi par sota hoon?
Country
KARACHI - PAKISTAN
Answer
Agar usay kur ya jari pani main dhoya jaey to ain-e-najasat door honay kay baad wo paak ho jaey gee laikin agar usay qaleel pani main dhoya jaey to jis tarah bhi mumkin ho us ka nichorna zaroori hay,khwah is main paaon hi kion na chalanay parain takay is ka dhoowan alag ho jaey.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.36 Masala No.157.
salam
kya jo adami bhi iesi movie dehkhe jiss sey shewat aati ho to kiya, To kiya jo rutubat body sey kharij ho woo aur jo ahtelaam mein kharij ho woo, dono mein faraq hai ya nahi?because logoo ne dono mein faraq dehkha hai.
plz tell me !!!!! (all four mujtahid as above in menu)
Country
karachi - pakistan
Answer
Salam un alaikum,
Baaz auqaat shewat key doraan aisee ratoobat kharij hoti jo mani nahi hoti balkeh mani sey pehlay kee ratoobat hoti hay jisay mazi kehtay hein, yeh ratobat paak hay. Laikin agar shewat key doraan khaarij honay wali ratobat mani ho to phir wo najis hogi aur us key baad gusul bhi wajib hoga. Ehtelaam mein jo ratobat kharij hoti hay wo najis hay aur us key baad gusul wajib hota hay.
Ref: Tazeeh ul Masail Aqai Sistani (Probe No. 74)
Agar koi kapra najis ho jaye to kya kissi gareeb ko us ki najasat ka bataey bagair de sakte hain? aur agar woh kapra aisa ho jo pak nahi ho sakta ho maslan aisa kapra jis se rang nikal ta ho?
Country
-
Answer
Salam un Alaikum,
Kapray kee najasat key baray mein batlana zaroori nahi hay. Wo kapra jis ka rang nikalta hay usay baarish (rain) key pani sey paak kiya ja saktaa hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail A.Khoei Probe No. 147 & 2366.
AS-SALAM-UAKUM
I WILL LIKE TO KNOW CAN WE EAT FOOD COOKED BY A HINDU COOK
Country
delhi - india
Answer
Salam un alaikum
Agar aap ko maloom hay keh us hindu ney khanay ko mas kiya hay to giza najis hay aur usay khana jayez nahi hay. Agar maloom na ho keh mas kiya hay ya nahi to khana jayez hay.
Ref: Mujtahid Sey Pochay Gaye Sawalat (Part 1) Question No. 16