Online Question & Answer System   

Homepage

View Topic Wise Questions

Ask Question

Search Question

 

 

  Topic:  Namaz-e-Ijara

  Ques. ID 1219

Print   

  Question how to perfom namaz-e-ijara  
  Country  bota - malaysia
  Answer 1.Zaroori hay kay ajeer Namaz kay Ajzaa o Sharait aur is kay munaafi cheezoon aur khalal kay aihkaam waghaira ko Ijtihaad ya sahih Taqleed kay zariye janta ho,haan jo shakhs na mujtahid ho aur na hi muqallid ho agar wo aihtiyat ki kaifiyat say aashna ho aur aihtiyat par amal pera ho to baeed nahi kay usay ajeer banana jaiz ho..2.Ajeer ka aadil hona shart nahi haybalkay is ka is tarah ameen hona kaafi hay kay Itmeenaan ho jaey kay wo sahih taur par anjaam day ga.baeed nahi hay kay baaligh hona zaroori na ho agarchay aihtiyat ye hay kay baligh ho..3.Mard aur Aurat main say har aik ko dosray ka ajeer banana jaiz hay..Namaz buland ya aahista awaz main parhnay ,badan chupanay,aur libaas ki sharait main jo namaz parh raha hayus ka khayal rakha jaey ga na kay marnay walay ka..4.Agar namaz kay mustahibbat ada karnay kay lihaaz say namaz ki kaifiyat moien na ki gae ho aur ijaray say bhi is ka pata na chalta ho kay namaz main mustahibbat ko anjaam dena wajib hay ya nahi,to qunoot aur rukoo ki takbeer waghaira jaisay maroof mustahibbat ka baja lana wajib hay..5.Qaza main Tarteeb wajib nahi hay.Ref:Tehreeul Waseela Imam Khumaini Part-1 Masala No.3,4,7,8,12.  
  Topic  Namaz-e-Ijara
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khamnaie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

Copyrights © 2006-2007 reserved for Qoitrat.org.
Email: info@qoitrat.org