Kiya larkay k nikkah k waqt larkay k asal baap ka naam laina zarori hai ya jis nay pala hai us ka naam kafi hai. KIya jis ny pala hai us ka naam baap ki jaga lainay sai nikkah ho jata hai.
Country
karachi - pakistan
Answer
Nikah main baap ka naam laina laazim nahi hay, is k baghair bhi nikah sahi hay.on tamaam maqamaat per jahan baap ka naam lina ho wahaan sagay baap ka naam lia jaay or on tamaam maqamaat per jahan baap ki ijzat laazmi ho, wahan sagay baap ki ijazat li jaay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2333 & e-mail Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b).
I am engaged to a girl, with all the consent of her and my parents. After Engagement, we would meet each other, I want to ask can we both do Muta now, and is it required to ask he father again, when we are engaged with their consent?
Country
Karachi - Pakistan
Answer
In case a girl, who has reached the age of puberty, is virgin and mature (i.e. she can distinguish between what is good or bad for her) wishes to marry, she should obtain permission in this behalf from her father or paternal grandfather, likewise on the basis of precaution (Ehtiyaat e wajib), though she may be passing her life independently. It is not, however, necessary for her to obtain such permission from her mother or brother. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341).
bina kisi gawah k nikah yani larka larki khod hi Allah ko hazir nazir jan kar ek dosry ko apny nikah mai Qoboll kar sakty hai kya?
Country
karachi - pakistan
Answer
b.t. jo ladki sane bulug ko phonch chuki ho or rashida ho yaani apna bura bhala samaj sakti ho agar wo shadi karna chahe or kunwari ho to use chahiye k apne bap ya dada se ijazat le (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2336) agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks)
Can a sunni maulvi conduct a nikah of a sunni man with a shia girl in a shia way, if so what are the main requirements of the nikah in a shia fiqh?
Country
Islamabad - Pakistan
Answer
jee han, Aqade nikah ki sharayet me hain ke:-
1. ahteyat wajib he ke sahih arabi me padha jae.
2. sigha padhne wala aqalmand ho or ahteyat wajib he ke baligh bhi hon.
3. ye ke mard w orat or uska wakeel sigha padhte waqt qasde insha rakhte hon. (ref: tawzihul masail, Ayatullah Khumeni masala no. 2367, page no. 391)
B.T. agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks)
salam ale kum, mujheyeh jaanah hai kei agar kissi shia nei kissi majboori kei tehet aik sunni mulannah sei apna nikah parwaya ho toh kya woh nikah jaezz hai? ya dubhara shia tarikei sei karwana honga??
Country
-
Answer
Salam un alaikum,
Mazkoora soorat mai nikah sahih hia.
Ref:Istiftaat Aqai Sistani